Urdu Kahani Ittefaq Mein Barkat Hai Story In Urdu Unity Is Strength Essay In Urdu Ittefaq Mein Barkat Hai Speech
Aik ghana aur wasi jungle tha jis mein do bail rahte the woh dono gehre dost thay. Woh jismani tor par bohat tawana thay aur donon kafi pakay dost ban gaye thay. Har afat ka mil kar mukabla kartay aur usay shikast detay thay. Un ke ittefaq mein hi unki taqat ka raaz chupa tha un ke ittehad ne uinki taqat ko dugna kar diya tha.
Aik Baar aik shair ne un par hamla kar diya unhon ne bari bahadari se shair ka mukabla kiya shair ko dum daba kar bhagna para. Ye sab un ke ittehad ki badolat hi mumkin tha koi bhi qoum us waqt tak kamyab nahin hoti jab tak un mein ittehad na ho. Un ki taqat ki puray jungle ke janwaron par dhaak beth gayi thi kisi ko ye jurat na hui ke un ki taraf ankh utha kar dekhe.
Ittefaq ki baat dekhiye ke usi jungle mein aik lomri bhi abad thi woh bohat hoshyar thi aur un ke ittefaq se khamakha hasad karti thi aur un do bailon ki dosti aur muhabbat ko bilkul napasand karti thi. Lomri is chakar mein rehti keh kab moqa milay aur un ke darmiyan phoot daal de. Chand dino ke andar andar us ne aisa chakar chalaya ke dono bail aik dusre se bad zan ho gaye. Lomri ne dono bailon ke ek dusre ke khilaf kan bhare aur woh apni chal mein kamyab ho gayi yehi wajah thi keh un ki dosti aur muhabbat khatam ho ke reh gayi thi aik ko dusre se nafrat ho gayi thi aik ko dusre ki taklif se koi gharz na thi.
Kisi ne un ki na ittefaqi ki baat shair tak puhncha di us ne apni shikast ka badla lene ki thani aik din moka dekh kar shair ne aik bail par hamla kar diya us ka sathi bail usay bachane agey na aya us ne us ke tukre kar diye phir dusre bail par jhapta aur usey bhi halak kar diya is tarah woh na ittefaqi ke bais halak ho gaye.
Moral Ittefaq Mein Barkat Hai Urdu Kahani
No comments:
Post a Comment