Manzar Nigari - How To Add Beautiful Scenes In Novel In Urdu And Poems
Course Number 3 - Manzar Nigari In Urdu
Agar aap is page par direct search engine se pohanchay hain tou main aap ko bata doun ke ye hamara urdu novel ka course number 3 hai jis mein main aap ko manzar nigari karna sikhaon ga agar aap ne bhi ye sare courses karne hain tou aap nechay All Courses mein jayain aur apna course abhi shuru karain is ki koi fees nahin maine sub ke liye isay free rakha hai nichay link diya hai jis par saray courses available hain.
Manzar Nigari Ki Tareef Main
samajhta hon jub tak manzar nagari kisi kahani mein shamil na ki jaye tab tak novel
beronak lagta hai. Manzar nagari hai kya? is ka tarika kya hai? asal
mein ye qudrati manazar ko is tarah kahani mein shamil karnay ka amal
hai keh youn mehsoos ho keh har manzar har lamha parhnay wale ki ankhon
mein ke samne ho. Main aap ko is ki bhi misal paish kar raha hon mera
mashwara yehi hai keh aap isay bhi apne lafzon mein jagah dain.
Example of Imagery
"Samandar
ki halki sabz rang ki lehrain aur un mein choti choti nelay rang ki
nachliyan sahil ke nazaray ki dilkashi barha rahi thien door samandar
mein kharay baray safaid behri jahazon par parti suraj ki sonay ki
rangat ki kirnon ne behri jahazon ko bhi chamakta sona bana diya tha jo
hamain door se bhi chamaktay dikhai de rahay thay. Kehte hain har
chamakti hoi chez sona nahin hoti par itna khubsurat nazara aur pur
sakoon mahool ho tou koi chez sonay se kam bhi nahin hoti".
More Examples
"Subah khubsurat hoti hai par aaj subah ki thandak aur asman par charhi gulabi rangat pichlay dinon se zayada thi jis ne mahool aur bhi khushgawar kar diya tha aur main aaj bhi subah ki sair ke liye ghar ke nazdeek aik baray park pohancha chuka tha park mein para bench hamesha mera subah intzar karta tha main aaj bhi usi bench par aa baitha tha mere samne rang barangay tulip ke phool muskura rahe thay sach hai phool zindagi ka ehsas hain khushbu hain ronaq hain".
Example Mukalma Ke Sath
"Sham honay ko thi suraj ki tapish kam hoti ja rahi thi hamara safar tha ke khatam hi nahin ho raha tha sehrai rait ur ur kar ankhin mein parti rahi par hum bhi manzil ki taraf barhtay rahe sehra ki hawayain hamare qadmon ke nishan mitati rahi aur hum bhi naye nishan banatay rahe. Chand hi lamhon mein sehra ke asman par sitaron ki amad ne nazara hi khas kar diya har taraf bas taray hi thay main aur mera bhai khuch lamhon ke liye rukay hamain maloom tha ke subah ki roshni se pehle hamain is sehra se nikalna ho ga is liye hum zayada dair nahin ruk saktay thay".
Isi tarah poetry mein bhi manzar nigari ka istemal kiya jata hai main apne novels aur shayari mein zayada tar khubsurat nazaron ka zikar karta hon aap bhi in ka zayada istemal karain is se tazgi aur khubsurka ehsas bhi barqarar rehta hai. Ab aap ne is course mein beautiful nature scenes add karna yani manzar nigari karna learn ki hai ab chaltay hain agle course ki taraf jis main aap ko mukalmay yani characters ke darmiyan baat cheet karna sikhai jaye gi aur khuch mukalma ki tips paish ki jayain gi.
No comments:
Post a Comment