Course Number 2 - Hero Aur Dusre Kardar Shamil Karain - Novel Plot In Urdu
Ye course number 2 hai agar aap shuru se ye novel courses karna chahte hain tou nechay diye hue link All Courses mein jayain
Kardar Banayain - Create Characters
Sub
se aham role aap ke novel ka markazi kardar hota hai jis ka role bohat
strong hona chahiye markazi kardar hero ko kaha jata hai baqi ke characters bhi shandar hon ab ye aap ki kahani par
depend karta hai ke kitnay characters aap ko chahiyain is ke liye pichlay course mein novel settings se help lain aap ko baqi ke characters banane mein asani rahe gi.
How To Make Urdu Novel Plot Tips
Aap ko apne novel ke plot aur suspense par khas dihan dena hai khuch novels ka akhtitam sad hota hai aur khuch ka acha par mere experience ke hisab se emotional sad novel jisay parhnay wale parh kar ro parain woh novel dil mein ghar kar laita hai par agar mazahiya story likhna chahte hain tou funny dialogues jo dilchasp hon un ka istemal karain.What Is Plot In Novel - Must Read If You Want To Write Novel Likhna Chahte Hain Tou Isay Lazmi Parhain Aur Samjhain
Plot ko novel ki bunyad kehtay hain woh waqiat jo kahani mein waqia hote hain woh plot ka hisa hote hain aik plot mein 5 aham anasar hote hain jo keh mandraja zail hain in baton ko ghor se samjahin in ke bina aap ko plot bananay mein dushwari ho sakti hai.
1st: Pehla ansar taruf ya mutarif karwana hai yani isay kahani ka start kehtay hain jis mein characters yani kahani ke kardaron ka taruf karwaya jata hai ya jahan characters bantay hain. Is ke ilawa tanazaat aur aham problem jis par kahani chalay gi woh bhi is ka hisa hai.
2nd: Plot ka dusra ansar un mamlat ko agey barhanay ka amal hai jis maslay ya theme ko shuru mein bunyad bana kar shuru kiya gaya. Dusre ansar mein waqiat ki series ko rakha jata hai jo kahani ke aham tanaza ko barhaye gi ya hal karnay ki koshish ki jaye gi. Is waqt tak markazi kardar yani hero ka kardar kafi strong ho chuka hota hai aur jo markazi kardar ke ilawa jo kahani ke mazboot characters hotay hain is waqt tak woh bhi kafi mazboot ho chukay hote hain. Is ke ilawa is waqt tak kahani jis maslay par shuru ki gayi thi woh masla aur paicheeda yani complicated ho chuka hota hai aur jis wajah se excitement aur tension barh jati hai.
3rd: Tesray ansar ko Climax ya plot ka main point kehtay hain ye kahani ka turning point hota hai is waqt sub se zayada dilchaspi aur jazbaat ko paish kiya jata hai aur parhne wala sochta hai keh pata nahin ab agay kahani mein kya ho ga.
4th: Plot ka chotha ansar kahani ko end ki taraf lay kar jana hota hai is mein waqiat aur tanazaat hal hona shuru ho jatay hain aur markazi kardaron ko samne laya jata hai.
5th: Is ansar mein kahani ka natija bataya jata hai ye kahani ka end hota hai ab ye plot banane wale par hai keh woh tragic ending rakhta hai keh happy ending.
Aap ne novel ka plot banana seekh liya hai ab agla marhala novel start karna aur manzar nigari ka ata hai agle courses mein ab aap ye sekhain gey.
No comments:
Post a Comment