Gulab Ka Phool Ki Aap Beeti Urdu Flower Autobiography In Hindi Gulab Ki Aap Beeti In Urdu Rose

  Lal Gulab      

Hindi Aik Phool Ki Aap Beeti In Urdu Flower Autobiography In Hindi Red Rose Aap Beeti

Zindagi Aik Gulab Ki Aap Beeti In Urdu: Main aik lal rang ka gulab ka phool tha (red rose flower) intihai mulaem aur dekhnay mein shandar. Main aik gehray darya ke kinare uga hua tha darya ke pani ke qatray jub mujh par partay mein pehle se bhi zayada tar o taza nazar ata meri khushbu ne darya ka aik kona mehka rakha tha isi liye log mere paas paray bench par ghanton bethay rehtay mujhe khilay hue pehla din tha main pehli baar dunya ko apni ankhon se dekh raha tha har manzar intihai khubsurat tha main bahar ke mausam ki dhoop mein chamak raha tha aur bohat khush tha keh achanaq khuch bache bhagtay hue mere paas aye pehle tou unhon ne meri khushbu mehsoos ki aur phir un mein se aik bache ne mujhe tor liya pehle tou mujhe gusa aya par woh bacha jis ne mujhe tora tha meri hi tarah aik phool tha usay dekh kar mera sara gusa khatam ho gaya. Us bache ne mujhe apne hathon mein liye darya ke kinare khelna shuru kar diya kabhi woh sar sabz ghas par mujhe dekhta aur kabhi darya kinare mujhe hathon mein liye bhagta rehta mujh gulab ke phool ko bhi us ka sath acha lagne laga.

Achanaq bacha bhagtay hue darya ke intihai qareeb pohanch gaya keh us bachay ki maa bhagti hoi us ke paas ayi aur usay dant'tay hue apne sath lay gayi aur aik bench par ja baithi. Bachne ne rotay hue intihai masoomait se phool ko yani mujhe apni maa ko paish kar diya us ki maa ne muskuratay hue mujhe aur apne bache donon ko pakar liya. Khuch dair tak main donon maa aur betay ki batain sunta raha woh apne betay ko samjha rahi thi ke darya ke bilkul qareeb jana khatarnak hota hai. Khuch hi dair mein woh sub darya ki sair ke baad rawana ho gaye. Ghar pohanch kar unhon ne aik chotay guldan mein pani bhara aur mujhe us mein laga diya. Agle din bache ki maa ne mujhe guldan se nikala aur apne shohar ke paas chali gayi us ne mujh gulab ko apne shohar ko de diya jis ne mujhe pakar kar mez par rakha aur chai petay hue akhbar parhta raha aur main is soch mein par gaya ke ye log mujh nazuk se gulab ko baar baar aik dusre ko kyoun de rahe hain achanaq mere khayalon ka silsila khuch youn tota keh us admi ne akhbar table par rakh kar mujhe thama aur bahir nikaltay hue us ne mujhe apne ghar ke lawn mein phenka aur aur apni car start kar ke chala gaya aur mein us ke ghar ke lawn mein uge baqi phoolon ko aur woh mujhe hairani se dekhte rahe aur phir maine apni baqi ki zindagi ye sochte hue guzaar di ke darya kinare meri zindagi kitni achi aur khubsurat thi.
logoblog

Thanks for reading Gulab Ka Phool Ki Aap Beeti Urdu Flower Autobiography In Hindi Gulab Ki Aap Beeti In Urdu Rose

No comments:

Post a Comment