Green Chilli Benefits In Urdu Hari Mirch Ke Faide In Hindi Sabz Mirch Uses Istemal

  Lal Gulab      

Green Chilli Benefits In Urdu Sabz Mirch Ke Fawaid Hari Mirch k Fayde In Hindi

Mera aaj ka mauzoo sabz mirch ke fawaid hai is se pehle bhi mein kafi sabziyon ke fawaid aap ko bata chuka hon ta ke aap inhein istamal mein lakar apni sehat ko behtar karsaken. Aaj bhi meri koshish hai ke aap mere aaj ke mazmoon se bhi bharpur faida utha sakain. 
Yun to Sabz mirch dekhne mein bari bhali aur khoobsurat nazar ati hai lekin khane se pata chalta hai ke is ka zaika kitna taiz hai. Lekin aik bat hai ke agar is ka istamal khano mein na kia jae to hamare khane bhi mazedar na hon. 

Hari mirch har kisam ke khano mein istamal ki jasakti hai chahe daal, haleem, sabzi aur gosht ho ye aik pasandida sabzi hai. Aur is sabzi mein vitamin c ki kafi mikdar pai jati hai. Vitamin c hamari jild ke liye bohat mufid hai is se hamari jild taro taza rahti hai.

Aise khawateen o hazrat jin ki jild ko kisi waja se nuksan puhnch chuka hai wo apni khorak mein aise phal aur sabziyan istamal karen jin mein vitamin c ki mikdar zayada ho sabz mirch bhi aisi hi aik sabzi hai jis mein vitamin c ki mikdar maujood hai. Hari mirch mein Vitamin A bhi paya jata hai jo hamari benai ke liye behtren tonic hai aise khawateen hazrat jin ki nazar kamzor ho inhein aisi sabziyan aur phal istamal karni chahyen jin mein vitamin A ki mikdar zayada ho. Is ke ilawa sabz mirch mein B6 aur protein bhi pai jati hai. Sabz mirch mein pae jane wale tamam ajza hamari sehat ki zamanat hein is liye hamare liye zaruri hai ke hum is sabzi mein pae jane wale ajza se bharpur faida uthaen aur ise apne roz mara ke khano mein istamal karen. Sabz mirch insani jism mein madafati nizam ko mazboot banati hai. Agar ise salad ke tor par istamal mein laya jae to ye nizam hazma ko behtar banati hai. Sabz mirchon ko kabhi bhi hath mein pakar kar na katen balke marble ya lakri ke takhte par rakh kar kati jaen Is tarah khasusan khawateen jalan se bach sakti hein. Aik dilchasp bat aur ke hari mirch ke khane se aap ka mood khush gawar rahta hai. Is mein maujood Endorphin aik hormone hai jo aap ke dimag tak jata hai iski waja se hi aap ka mood acha rahta hai.

Sabz Mirch Ke Degar Qeemti Fawaid:

  • Lungs ke cancer mein sabz mirch ka istamal mufid rahta hai.
  • Green Chilli hamari hadiyon ko mazboot aur tawana banati hai.
  • Chilli ke istamal karne walon mein bharti umar ke asrat dair se zahir hote hein.
  • Chehre se jhuriyan khatam ho jati hein sabz mirch ke istamal se qabz ka marz nahin hota.
  • Sabz mirch ko khansi mein khana bohat mufid hai sabz mirch afal mada ko darust rakhti hein.
  • Hari mirch ka istamal haiza hojane ki surat mein kia jae to afaka hota hai.
  • Hari mirch ka istamal ankhoon aur benai ke liye faida mand hai.
  • Sabz mirch hamari jild ke liye bhi mufid hai sabz mirch sharab noshi se hone wale bure asrat ka khatma karti hai.
  • Green Chilli hamein khana hazam karne mein hamari madad gar hai.
  • Sabz mirch hamare jism se faltu charbi kam kardeti hai jis se hamara wazan mein kami hoti hai.
  • Green Chilli ke istamal se hamare jism mein maujood tissue behtar tor par kam karte hein.
  • Sabz mirch sardi ke mausam mein thandak se bachati hai sabz mirch kalb mein tahreek paida karne ka sabab banti hai.
logoblog

Thanks for reading Green Chilli Benefits In Urdu Hari Mirch Ke Faide In Hindi Sabz Mirch Uses Istemal

No comments:

Post a Comment