Hindi Definition of Glacier Meaning In Urdu - Glacier Ki Tafeer
Mausam sarma mein baraf bari ke baad mausam garma mein barf ka pighlao aur amal tabkheer sari barf ko khatam karne mein nakam rehta hai. Is tarah saal ba saal barf ki maqdar barhti rehti hai pighalne aur dobara munjamid hone ki bana par barf sakht ho jati hai. Nez ye danaydar barf ban jati hai. Balai barf ke dabao se tehti barf sakht qalmi barf ki shakal ikhtyar kar laiti hai. Ye barf us barf se mukhtalif hoti hai jo pani ke munjamid hone se tashkeel pati hai nez is ke zarat ke darmiyan hawa mqeed ho jati hai.

Glacier Kya Hai
Jub barf ki teh khasi dabeez ho jati hai tou us ki nichli tahain aarzi hararat ki bana par naram rehti hain aur phisalna shuru kar deti hain is tarah glacier ki ibtida hoti hai.
Glacier Ki Jisamat o Harkat

No comments:
Post a Comment