Garmi Dano Ka ilaj In Urdu Garmi Danay Home Remedy Hindi Garmi Dano Ka Treatment Totke Tips

  Lal Gulab      
Beauty Tips Garmi Dano Ka ilaj In Urdu Garmi Danay Home Remedies Ghareelu Nuskha Treatment Garmi Dano Ka ilaj In Hindi

Mausam garma mein jild ke masail nihayat shiddat se ubhar kar samne atay hain is maslay ka khasoosi shikar khawateen hoti hain jo kitchen mein zayada kaam karti hain aag ke paas zayada dair kaam karne se un ki jild par garmi danay ban jatay hain. Garmi aur habs ke mausam mein hamara jism aag ki mamooli si tapish bardasht nahin kar sakta aur natija jism par surkh rang ke ye nanhay nanhay dane ubhar atay hain. Surkh rang ke ye nanhay nanhay dane na sirf dekhne mein bad numa maloom hote hain balkeh ye baes takleef bhi hote hain.

Taham ye danay khatarnak hargiz nahin hote is ke baraks unhain mutadi qarar dena zayada munasib ho ga kyoun keh har dana makhsoos mudat ke baad khushk ho kar jhar jata hai nez is ka koi nishan dagh bhi baqi nahin rehta. Mard jo din bhar dhoop mein kaam karte hain woh bhi garmi danon ka shikar ho jate hain taham baaz khawateen apni jild ke mamlay mein mamool se zayada hasas hoti hain woh garmi danon ki wajah se bohat preshan ho jati hain aur un ke khatmay ke liye mukhtalif qisam ki cream aur totkay istemal jarti hain jis ke natijay mein un danon ka khatma tou nahin hota albata jild mazeed kharab ho jati hai.

Garmi dano se mukamal tor par bachne ke liye mahireen ke paas koi thos hal nahin hai lekin mahireen ne garmi dano ki shidat aur kharish mein kami lanay ke mukhtalif totkay zaroor bataye hain jin par amal kar ke garmi dano aur kharish se nijat mumkin hai is hawalay se sar fehrist tou ye hai keh corn flour ko garmi danon par lagane se na sirf garmi dano ka khatma hota ha balkeh danon mein hone wali jalan mein numaya kami hoti hai is maqsad ke liye bazaar mein dastyab aam garmi danon ka powder bhi istemal kiya ja sakta hai ye powder baaz afrad ke liye zafada faida nahin deta balkeh un ko faida ki bajaye nuksan pohanchata hai aur woh alergy ka shikar ho jate hain is maqsad ke liye agar aap chahain tou aap apne ghar mein bhi bari asani se garmi dano ka powder bana sakte hain.

Is ke liye borik acid aur sada talkom powder aik jitni maqdar mein layain ab us mein talcom ki maqdar se adhi maqdar mein corn flour aur koi bhi perfume jo bhi aap ko zayada acha lagta ho us ke chand qatray us mein milayain aur un sub ko hathon ki madad se achi tarah se mix kar lain aur baad mein usay kisi dabay mein mehfooz kar lain aur istemal karain garmiyon mein paseene se jild mein paida hone wali kharish aur garmi dano ke khatme ke liye azmooda nuskha hai.
logoblog

Thanks for reading Garmi Dano Ka ilaj In Urdu Garmi Danay Home Remedy Hindi Garmi Dano Ka Treatment Totke Tips

No comments:

Post a Comment