Cucumber Benefits In Urdu Kheera Ke Faide In Hindi Kheere Ka Juice Cucumber For Weight Gain

  Lal Gulab      

Cucumber Benefits In Urdu Kheera Ke Faide In Hindi

Kheera Medicine Bhi Aur Diet Bhi: Kheera nabatat ke mashoor khandan ka aisa rukan hai jo keh dunya ke aksar mumalik mein baray shoq se kuchla jata hai ye aik bail dar plant ki sabzi hai is ke plant ki bail ya tou zameen par pheel jati hai ya qareeb ke darakhton par charh jati hai. Is ki kasht ke baray mein pehle ye khayal kiya jata tha keh ye mausam garma mein hota hai aur is ke phal ko paktay waqt garmi ki zaroorat hoti hai lekin ab ye dunya ke aksar mulkon mein sara saal dastyab hota hai. Hamare mulk mein kheeray ki 2 iqsam dastyab hain number 1 desi kheera number 2 wilaiti kheera.

Desi Kheera

Desi kheera Pakistan mein aam paya jata hai is kheere ki jild chamakdar hoti hai is ka rang sabz o safaid hota hai aur zaiqay mein qadray sheerain.

Walaiti Kheera

Ye kheera bhi Pakistan mein kasht kiya jata hai lekin ye europe aur America mein hota hai is kheeray ki jild moti aur danay dar hoti hai magar ye chamak se mehroom hota hai aur zaiqe mein pheeka hota hai.

Kheere Ke Faide - Cucumber

Hamare mulk mein ye garmiyon ke dinon mein aik aam aur sastay damon milnay wali sabzi hai magar bohat hi kam log is ke dawai aur ghazai fayde jante hain ye bohat sare amraz ka aik behtareen qudrati ilaj hai.
Sub se behtareen kheera mukamal paka hua hota hai kheera istemal karne se pehle is par kala namak chirak kar use karna chahiye is se ye jald hazam ho jata hai ye hamare jism ko thandak pohanchata hai aur tabiyat mein sakoon paida karta hai. Kheera yarqan aur bukhar mein faide deta hai aur kaha jata hai ke khas tor par cucumber high blood pressure mein mufeed hai aur dil ko taskeen deta hai.

Tib e Nabvi SAWW Mein Kheera Ke Benefits

Kyoun keh kheeray mein thandak zayada hoti hai is liye baaz mazajon aur jismon ke liye ye nuqsan deh sabat ho sakta hai is liye is ko motdal karne ke liye is ke sath garam cheez bhi istemal karni chahiye agar zaroorat ho tou... Hamare Pyare Nabi SAWW ne kheray ke sath khajor istemak ki agar khajor na ho tou shehad ke sath khana bhi mufeed hai. Hazrat Muhammad PBUH ka irshad hai keh kamzoor log farba hone ke liye kheeray ke sath khajor khayain tou In Sha Allah motay ho jayain ge.

Jadeed Mushahidat

Is bhal mein ghazaiyat zayada hoti hai is ke beej peshab awar hain ye un munfarid sabziyon mein se aik hai jis ko khanay ke sath kacha khaya jata hai is ko cheel kar is par kali mirch ke sath lemon nichor kar khaya jaye tou is ki ghazaiyat mein izafa ho jata hai. Ye khanay ko hazam aur bhok barhata hai cucumber ke seeds nikal kar chilkay utar kar sukha laine ke baad pees kar shehad mein mila kar khanay se anton ki aksar bimariyan khatam ho jati hain. Kheeray ki bail ke patay leaves sukha kar pees kar un mein zera sayah mila kar bhoon laine ke baad pees lain aur chai ke chothai chamach ke barabar nashtay ke baad khayain is se galay ki sojan ujar jati hai. Lo ke mareezon ko bukhar ke doran kheere ke tukray kaat kar sar aur chehre par malne se faida hota hai tib unani mein kheera ke beej ka sharbat behtareen hai.
logoblog

Thanks for reading Cucumber Benefits In Urdu Kheera Ke Faide In Hindi Kheere Ka Juice Cucumber For Weight Gain

No comments:

Post a Comment