Cherry Benefits In Urdu Cherry Ke Faide In Hindi Cherry Juice For Skin

  Lal Gulab      

Cherry Benefits In Urdu Cherry Ke Faide In Urdu

Cherry Khayain Jaan Banayain: Khanon ke darmiyani waqfay mein agar bhook lage aur khuch halki phulki chez khane ko je chahe tou cherry bhook mitane ke liye behtar chez ho sakti hai is mein zair saray vitamins miltay hain cherry jitni zayada gehre rang ki ho gi utni hi us mein ye ghazai ajza hotay hain.

Potassium

Cherry mein dil ko sehatmand rakhne wali intihai aham ghazaiyat potassium ki bohtat hoti hai is se din ki dhadkan mamool par rehti hai aur hypertension ka khatra ghat jata hai kidney munasib tor par kaam karne ke qabil banti hain.

Antioxidant

Lal si khubsurat rang ki cherry darakhton par lagi khubsurat lagti hai par cherry khane ke faide bhi khubsurat hain is mein antioxidant bhi hai ye jism ko nuqsan pohanchane wale free redicals se tahafuz faraham karte jo waqt se pehle burha hone ka baes tasawar kiye jate hain.

Zaroori Vitamins

Agar aap khud ko kamzoor mehsoos kar rahe hain tou kamzoori rafa karne ke liye aap ko vitamins ki goliyan nigalne ki zaroorat nahin hai aik payala cheery kha kar aap 10.8 mg vitamic c aur k hasil kar sakte hain jo khoon pathon aur hadiyon mein aik collagen protein ki tashkeel ke liye zaroori hai.

Kam Hararay

Cherry mein hararay ki tadad kafi kam hai aik cherry khane se jism ko sirf 4 calories milti hain is liye agar cherry aap ko lazeez lagain tou aap kisi had tak agar inhain had se zayada bhi khayain tou sehat ko nuqsan pohanchne ka ahtmal kam hi ho ga.

Cherry Juice

Cherry ka juice intihai mazay ka hota hai bohat se log isay apna pasandida juice bhi zahir kartay hain aur is ke juice ke khwas ye hain keh is ko penay se un logon ki mushkilat khatam hoti hain jo sari raat neend ke intzar mein guzaar detay hain youn agla din bezaar aur thawakat ki wajah se daftari aur rozmara kamon mein kotahiyon ke ilawa ye bhi hota hai keh un ki sehat bhi kharab rehti hai aur kaam bhi sahi tarah anjam nahin de patay neend haqeeqatan aik naimat hai jin logon ko neend sahi na ati ho woh cheery ka juice raat ko peyain aur pur sakoon neend lain par masla ye hai keh ye mausmi phal hai jis mausam mein milay cherry khayain aur healthy life jeyain.
logoblog

Thanks for reading Cherry Benefits In Urdu Cherry Ke Faide In Hindi Cherry Juice For Skin

No comments:

Post a Comment