Bangladesh History In Urdu Bangladesh Information In Hindi
1947 se 1971 tak dunya ke naqshay par Pakistan nazar anay wala ye mulk aaj Bangladesh ke naam se world map par nazar ata hai yahan par beshumar khubsurat alaqay hain aur ye mulk tezi se taraqi karta hua dunya ke developed mumalik mein shamil ho raha hai baray shehar dekh kar andaza hota hai ke is mulk ki mueshat kitni mazboot hoti ja rahi hai.
Bangladesh Meaning In Urdu: Bangladesh janoobi Asia ka aik mulk hai jo Myanmar ke sath mukhtasir si sarhad ke ilawa ye 3 itraf se bharat se mila hua hai aur janoob mein is ki sarhadain khaleej bengal se milti hain. Bharat ki riyasat ko mila kar bangali isay apna nasli watan kehte hain bagladesh ka matlab hai "Bangal Ka Mulk". Bangladesh ki rajdhani yani capital dhaka hai
Bangladesh Ki Tareekh
Bangladesh ki mojooda sarhadain 1947 mein taqseem hind ke moqa par wajood mein ayain jub ye Pakistan ke mashriqi hisay ke tor par bartania se azad hua. Pakistan ke donon mashriqi o maghribi hison ke darmiyan 1600 km ka fasla hail tha. Mushtarka mazhab hone ke bawajood Pakistan ke donon bazuon mein nasli o lasani khaleej barhti gayi jisay maghribi Pakistan ki aqbat andeesh hukumat ne mazeed wasi kar diya jo 1971 mein aik jang ke baad Sheikh Mujibur Rahman ki qayadat mein bangladesh ka qayam ka sabab bani us jang mein bangladesh ko inida ki mukamal madad hasil rahi.
Bagladesh apne qayam se mustaqil sayasi afratafri ka shikar hai aur ab tak 13 mukhtalif hukumatain bar sar iqtidar aa chuki hain aur kam az akm 4 fauji takht ho chukay hain.
Bagladesh apne qayam se mustaqil sayasi afratafri ka shikar hai aur ab tak 13 mukhtalif hukumatain bar sar iqtidar aa chuki hain aur kam az akm 4 fauji takht ho chukay hain.
Population Bangladesh Ki Abadi

No comments:
Post a Comment