Achi Aadatein Urdu Essay Aachi Aadat Essay In Hindi Achi Adaton Se Faida Uthayain
Woh shakhs athens ke mazafat mein 12 saal se muqeem tha woh har roz kaam ke baad aik hi rastay se ghar jaya karta tha. Lekin phir woh kisi dusre alaqay mein muntaqil ho gaya. Aik din kaam ke baad woh ghar laut raha tha keh achanak usay ehsas hua keh woh ghalat rastay par hai kyoun keh woh apne puranay alaqay mein pohanch gaya tha. Dar haqeeqat woh adatan apne puranay ghar chala aya tha.
Hamari aadaat darasal hamari fitrat ka hi dusra naam hai aur munkhtalif tareeqon se hum par bohat gehra asar dalti hain. Is mafhoom mein adaat ko aag se tashbih di ja sakti hai. Aah andheray mein ujala karne ke ilawa hamare jismon ko hararat bakhshti aur hamare khanay ko bhi garam karti hai. Taham aag aik khatarnak dushman ban kar hamari zindagiyon aur asason ko tabah bhi kar sakti hai. Adaat par bhi ye baat sadaq ati hai agar ye achi hon tou bohat mufeed sabat hoti hain.
Adat se murad ye hai keh dusron ki taraf samaji o muasharti rawaiya hai logon ka matwaqa rawaiya bhi adat kehlati hai.
Achi Adat
Achi adaat se hum dushman ke dil mein bhi ghar bana sakte hain muashray mein bhi hamesha achi adat rakhne walon ko izzat ki nigah se dekha jata hai. Logon se husn ikhlaq se paish ana ye bhi achi adat hai sach bolna ye bhi aik achi adat hai. Logon ke sath musbat rawaiya un ko takleef se bachana ye bhi achi adat hai is ke ilawa haqeeqat goi yani sach kehna bhi achi adat hai. Muahsra insaf se hi qaim rehta hai agar insan na rahay tou muashray ki nakami ke ilawa koi rasta nahin rehta par agar insan faraham kiya jaye aur har insan apni apni jagah insaf pasand rahay tou woh musbat muashray ke qayam ka ishara hota hai aur ye aik achi adat mein bhi shumar hota hai.
No comments:
Post a Comment