Yellow Teeth Whitening Tips Urdu Daant Saaf Karne Ka Tarika Dant Safed Totka Gharelu Upay Hindi

  Lal Gulab      
Daant Safed Karne Ka Tarika White Teeth Saaf Karne Ka Totka In Hindi Upay Totkay
Hindi Teeth Whitening Tips In Urdu Kahte hein aik khoobsurat muskurahat insan ke chehre ki khoobsurti mein kai guna izafa kardeti hai aur muskurahat ko dilkash banane mein safaid aur chamakdar dant bunyadi kirdar ada karte hein taham danton ki sehat barkarar rakhne ke liye in par khasusi tawaja dene ki zarurat hai. Mahreen ka kahna hai ke logon ki aksiriyat danton ko darkar tawaja dene mein nakam rahti hai jis ki waja se danton se danton ki sehat ke masail janam lete hein, mahren ne danton ki safai ke liye chand eham tajaweez di hein jin par amal karke danton ki sehat ke hawale se paida hone wale masail par kabu paya jasakta hai.

Brush Karne Ka Sahi Tarika

Aik report ke mutabik dunya bhar mein 3 mein se aik fard subha mein brush nahin karta jabke aksiriyat galat tarike se brush karti hai jis ki waja se mun ki khatir khuwah safai nahin hopati. Mahren ke mutabik is bat ka khayal rakhna zaruri hai ke danton ki safai ke liye istamal kia jane wala brush zayada purana na ho aur har 3 month bad brush tabdeel karlia jae jabke dant saf karte hue brush ko uper neche ragarne ke bajae 45 degree ke zaviye mein seedha kia jae aur danton ke tamam hison par brush kia jae is tarah danton mein maujood bacteria ko khatam karne mein madad milti hai.

Chewingum Zayada Dair Chabane Se Parheez

Chewingum khane se mun ka zaika waqti tor par khushgawar hojata hai taham zayada dair tak chewingum chabana nuksan da hosakta hai. Mahren ka kehna hai ke chewingum 10 minute se zayada chabana thek nahin aur zaika khatam hojane ke bad ise phenk dena chahye kyun ke ye danton ki sehat ke liye bilkul bhi thek nahin kyun ke danton ki sakht cheezon ko torne ke liye banai gai hai jabke chewingum lachakdar hoti hai aur zayada chabane ki waja se danton mein toot phoot hosakti hai. Chewingum chabane ke doran hamara mada aik kisam ka taizab Paida karna shuru kardeta hai jo ke ghiza ko hazam karne mein madad deta hai taham jab ghiza made mein nahin jati to is ke mozar asrat made ke ulcer ki surat mein samne ahsakte hein.

Strawberry Aur Meethe Sode Ka Istamal

Danton ko chamakdar banane ke liye qudarti tarike sab se behtren aur kar amad hote hein, strawberry aur meetha soda is hawale se behtren nataij ke hamil hein. Mahren ne yahan aik nehayat kar amad totka bataya hai. 8 adad strawberry aur adha chamch meetha soda le kar paste banalain aur roi ka tukra lekar danton par achi tarah malen. Is tarah na sirf aap ke dant chamakdar hojaenge balke ciggratte, chae aur coffee ki waja se danton par banne wale dhabe bhi khatam kie jasakte hein strawberry mein pae jane wale khas ajza danton ko chamakdar banane mein madadgar sabit hote hein.

Nashte Ke Bad Danton Ki Safai

Logon ki aksiriyat subha sawere kuch bhi khane ya pene se pehle brush karna pasand Karti hai aur ye sehat ke liye bhi mufid hai taham mahren ka kahna hai ke kuch khane pene ke bad brush karna zayada mufid hota hai khas tor par is waqt jab aap ne meethi cheezain khai hon. Is tarah dant na sirf kera lagne se mehfooz rahte hein balke in ki mazbooti bhi barkarar rahti hai. Doctors ka kahna hai ke rat ko sone se kabal sab se akhri kam danton ki safai hona chahye aur is ke bad kuch bhi khane ya pene se siwae pani ke parhez karna chahye. Is tarah rat bhar dant bacteria lagne se mehfuz rahte hein aur danton ka uperi part bhi mehfuz rahti hai.

Zaban Ki Safai

Saaf aur mahekti sans ke liye zaban ka saf hona intehai zaruri hai jabke logon ki aksiriyat zaban ki safai ka khayal hi nahin rakhti, zaban par brush karna is liye bhi zaruri hai kyun ke is par bacteria bari tadad mein jama hojate hein aur inhi chupe hue bacteria ki waja se mun se badbu bhi ane lagti hai. Danton ki safai ke doran zaban par bhi brush karne se is masle se kafi had tak nijat pai jasakti hai jabke zaban ki safai ke khasusi tor par banaya gaya ala bhi istamal kia jasakta hai.

Danton Mein Khalal Karna

Mahren danton mein khalal karne ke amal ko bhi sehat ke liye behtren amal karar dete hein aur is se na sirf danton ki behtar tarike se safai hojati hai balke is se hairat angez tor par dil ke amraz ke bachao mein bhi madad milti hai. Danton mein khalal karne se ghiza ke phanse hue tukre jo ke bacteria ki afzaish mein madadgar sabit hote hein nikal jate hein. British dental health foundation ke chief exicutive doctor najil cartor ka kahna hai ke khalal karna danton ki sehat mandana routine ka aik eham hisa hai aur danton ko brush karne se kabal din mein kam az kam aik martaba khalal karna zaruri hai. Taham danton ke darmiyan khala ki safai karte waqt intehai ahtiyat ki zarurat hai aur iske liye danton ke liye khalal karne wala Munasib ala istamal karna chahye kyunke kisi gair mayari cheez se ya phir teezi se danton mein khalal karne se mashooron ke azlat ko nuksan puhnch sakta hai. Mahren ka kahna hai ke agar in baton par amal karlia jae to danton ko saaf aur kera lagne se mehfooz banaya jasakta hai. Taham is ke sath zaruri hai ke meethi cheezon ke istamal mein aitadal ka rawaiya apnaya jaye.
logoblog

Thanks for reading Yellow Teeth Whitening Tips Urdu Daant Saaf Karne Ka Tarika Dant Safed Totka Gharelu Upay Hindi

No comments:

Post a Comment