Vaseline Benefits Urdu Petroleum Jelly Uses Vaseline Ke Faide In Hindi

  Lal Gulab      

Petroleum Jelly Benefits In Urdu Vaseline Uses Hindi

Vaseline Ke Faide In Urdu Petroleum Jelly Ka Istemal: Ye aik aisi cheez hai jo aksar gharon mein maujood hoti hai aur sardi ke mausam mein zayada istamal ki jati hai magar is ka istamal makhsoos makasid ke liye hi hota hai. Magar kia aap ko maloom hai ke ye aik aisi cheez hai jo dag dhabon ko mitane qeemti ashia ke tahafuz, khoobsurti aur degar mutad makasid ke liye istamal ki jasakti hai? Yakeen karna hosakta hai mushkil ho magar dawn se akhaz shuda darj zail tarike zarur is ki afadiyat ko sabit kar dain ge.
Lakri mein phans jane wali chewengum ko nikalna kabhi aap ke samne ghar ke maiz, kursi ya bistar ke neche chewengum phansi hui mili jisko nikalne ki koshishon ke bawajood nishan khatam nahin ho saka? To agar aenda is mushkil ka samna ho to chewengum wali jaga par kuch mikdar mein petroleum jelly laga kar is waqt ragren jab tak chewengum alag nahin hona shuru kar deti phir ise nikal lain. Lakri par pani ke dag saf karain kisi dawat ke bad lakri ke furniture par pani ke glass se banne wale gol dag bar karar rah jate hein inhain khatam karne ke liye in par petroleum jelly raat bhar ke liye laga kar chor dain aur phir subha saf karlen. Lather jackets ko aik bar phir naya banain aap ko apni pasandida leather ki jacket ki hifazat ke liye mehangi masnooat ki zarurat nahin balke petroleum jelly ye kam bakhoobi kar sakti hai. Petroleum jelly ko jacket par ragrain aur phir saf karlen jacket nai jaisi chamakne lage gi. Gari ki bettery ke liye behtren sard mausam mein gari ki bettery hamesha marne lagti hai kam darja hararat bijli ki mazahmat barhata hai aur engine oil ko garha kar deta hai jis se bettery ke liye kam karna mushkil hojata hai.

Bettery terminal ke galne se bhi bijli ki mazahmat mein izafa hota hai taham sardiyon ki amad se kabal terminal ko disconnect karen phir inhein aik wire brush se Saf karen inhain dubara connect karke in par petroleum jelly ki tah lagaden. Ye jelly inhein galne se bacha kar sardiyon ke masail se tahafuz mein madad degi. Bottle ke dhakan kholna asan banae agar kisi bottle ka dhakan kholna mushkil sabit ho to is ka dhakan khol kar halki si petroleum jelly bottle ke upri ghaire par mal den agli bar aap ko kholne mein koi masla nahin hoga. Khirkiyon aur almariyon ke darwaze apni almari ke darwaze ya khirki kholne mein mushkil ka samna hota hai? To aik chote paint brush ke zariye petroleum jelly ko khirki ya almari ke darwazon ke chokte par lagaden aur bas kamal dekhain.

Darwazun ki chir chirahat par kabu pain agar to darwaze ki chir chirahat aap ki tabyat par nagawar guzarti hai to ise khamosh karane ke liye petroleum jelly ko darwaze ke kabze par lagakar jadu dekhain. Jild ki nami bahal kare agar aap mahenge lip balm, makeup remover ya facial moistriser par paise Zaya nahin karna chahte to petroleum jelly behtren mutabadal sabit hosakti hai ye honton ki nami bahal rakhti hai. Foundation samet, eye shadow, maskara aur degar ko hatati hai aur chehre ki nami to bahal rakhna is ka kam hi hai. Perfume ki zindagi barhae aksar perfumes ki khushboo kuch dair mein khatam hojati hai agar aisa masla paish ae to kuch mikdar mein petroleum jelly ko nabz par lagain aur phir is par perfume ka spray bas phir dekhein ke khushboo kitne dair tak bar karar rahti hai. Ungli mein phas jane wali ring ko nikalen aksar logon ke hathon mein anghoothiyan phas jati hein jinhein nikalna kafi taklif da amal sabit hota hai is ko asan banane ke liye kuch mikdar mein petroleum jelly lagain aur phir ahistegi se nikal lain.
logoblog

Thanks for reading Vaseline Benefits Urdu Petroleum Jelly Uses Vaseline Ke Faide In Hindi

No comments:

Post a Comment