Umeed Essay In Urdu Hope Umeed Par Duniya Kayam Hai Speech In Urdu Umeed

  Lal Gulab      

Umeed Essay In Urdu Importance Of Hope Speech In Urdu Umeed Pe Duniya Qaim Hai Essay In Hindi Don't Lose Hope

Dunya mein jo khuch bhi hum kar rahe hain ya jo khuch bhi ho raha hai umeed ke sahare ho raha hai umeed ka sahara bare bare nazuk waqton mein kaam ata hai. Ye umeed hi hai jo hamain masroof amal rakhe hue hai warna na umeedi cha jaye tou insan bilkul be amal ho kar reh jata hai. Umeed ki roshni hi humain musibaton aur takleefon mein chalne ka rasta dikhati hai. Umeed ki kiran hi bhujay hue dilon ko dobara sahara de kar khara kar deti hai. Umeed bari bari mayoosiyon ko door kar ke azam sameem bakhshti hai. Umeed hi ke sahare K2 jesay baray baharon ko sar kiya gaya aur ye umeed hi thi jis ke sahare insan chand par ja pohancha aur ab aur agey barh raha hai wahan par bhi usay umeed hi lay jaye gi. Jub hum kohistanon, sehraon aur hawaon ke bagolon mein uljh kar reh jate hain tou umeed hi ka daman pakar kar kamyabi se guzartay hain.

Humayon ne shikast khai umeed ne usay phir sahara diya phir koshish ki nakam raha magar phir bhi mayoos nahin hua phir maidan mein nikla phir shikast khai magar umeed ki dhaal ne usay sahara diya aur phir muqablay ke liye koshish ki is tarah se jub woh 6 dafa shikast kha chuka tou phir bhi umeed hi thi jis ne usay satwien dafa larne ke liye talwar hath mein pakrai woh dil mein fatah ki umeed lay kar maidan mein nikla aur pur umeed ho kar lara aur kamyab hua agar Humayon ko umeed sahara na deti tou woh Shehanshah hindustan na kehlata aur saltanat mughliya usi waqt khatam ho gayi hoti.

Columbus ne umeed ka sahara liya aur samandar mein qismat azmai ke liye chal diya us ke charon taraf pani hi pani tha. Pani ke thapeeron se jub jahaz dolne laga tou umeed hi us ke dil ko qaim rakhti thi us ke sathi mayoos ho jate thay aur usay wapas jane ka mashwara dete thay magar woh umeed ke sahare safar karta raha aur akhir kaar kamyab ho gaya.

Kisam bhi kheet mein beej isi umeed par dalta hai keh kal ko sabz lehlahati fasal dekhe ga aur phir usay katay ga. Mazdoor sara din is umeed par mehnat karta hai keh sham ko usay us ka mehnat ka silah mile. Talib ilm imtehan mein kamyabi ki umeed par hi mutalia karta hai. Subah ko log uthtay aur apne apne kamon par husool rozgar ki umeed lay kar chalte hain. Bare bare sanatkar manfat ki umeed par hi milain lagatay hain bazaron mein dukandar jo apni apni dukanain qareenay se sajaye baithay hain isi umeed par baithay hain keh sham ko apni rozi lay kar ghar jayain. Har musafir umeed ke sahare apne safar ka aghaz karta hai woh pur umeed hota hai keh falan waqt par apni manzil par pohanchon ga aur kaam karon ga.

Isi liye hukam hai keh Allah Ta'ala ki rehmat se na umeed nahin hona chahiye na umeedi gunah hai. Koi insan khuch bhi kar raha ho kahin bhi ja raha ho ameer ho ya ghareeb, kasht kar ho ya sanat kar har waqt pur umeed ho kar aur Khuda ki zaat ka sahara lay kar masroof amal rehna chahiye. Umeed ke phool hamesha khush rang hua karte hain aur is ka nateeja hamesha kamyabi ki surat mein nikalta hai isi liye tou umeed pe duniya qaim hai.
logoblog

Thanks for reading Umeed Essay In Urdu Hope Umeed Par Duniya Kayam Hai Speech In Urdu Umeed

No comments:

Post a Comment