Potato In Pregnancy In Urdu Is It Safe To Eat Potato In Pregnancy Hindi Side Effects Of Potatos

  Lal Gulab      

Potato In Pregnancy In Urdu  Hamal ke Doran Aloo Ka Istemal Acha Hai Ke Nahin In Hindi

Side Effects Of Potato In Pregnancy In Urdu: Agarcheh potato world mein taqreeban saray shoq se aur khoob khatay hain log is ki bani chips aur degar dishes bare shoq se khate hain lekin ab aik tehqeeq mein khabardar kiya gaya hai keh khawateen mein doran hamal haftay mein aik baar alu ya chips khane se sayan mein diabetes ka khatra barh jata hai yani agar koi khatoon haftay mein aik baar aloo khaye gi tou is mein zayabetees ka khatra 5 guna barh jata hai.

America mein tehqeeq mein kaha gaya keh potato mein mojood mashasta ki zayada maqdar khoon mein sugar ki satah ko teezi se barhati hai jis se hamla khatoon aur bache donon ko khatra lahaq ho sakta hai. British medical journal mein shaya hone wali is research ke doran 10 saal tak 21000 se zayada pregnant womens ki janch ki gayi aur diabetes ke khatray ko aloo ke zayada istemal se munsalik kiya gaya. Is tehqeeq mein 1991 se 2001 ke doran hamla hone wali nurseon ke cases par tehqeeq ki gayi jin mein se kisi aik ko bhi hamla hone se pehle koi khatarnak bimari nahin thi taham har 4 saal mein khawateen se un ke khane mein aloo ke istemal ke bare mein tafseelat li jati thi aur doran hamal hone wali diabetes ke cases ko bhi darj kiya gaya.

Research mein 10 saal ke doran hamal ke 21000 se zayada cases ko dekha gaya jin mein 854 khawateen during pregnancy diabetes ka shikar hoien. Is tehqeeq mein degar khatrat ko bhi samne rakha gaya jesa keh umar, khandani tareekh diabetes ki, khorak aur motapa shamil hai aur ye baat samne ayi keh jin nurses ne haftay ke doran 2 se 4 martaba 100 gram ublay hue aloo, aloo ka bhurta, pakay hue khushk aloo  ya chips khaye un mein hamal ke doran diabetes ke khatrat mein 27% izafa hua jub keh jin logon ne aik haftay ke doran 5 se zaid baar potato ya chips ka istemal kiya un mein ye khatra 50% barh gaya.

Results

Tehqeeq ki aham rukan ka kehna tha keh results bohat aham hain jis se pata chalta hai keh doran-e-hamal hone wali diabetes se womens mein preeclampsia yani behoshi aur qay aur high blood pressure ho sakta hai jis se maa ke pait mein bache ko sakht nuqsan pohanch sakta hai aur is ke taweel mudati asrat se maa type 2 diabetes ka khatra bhi ho sakta hai. Khuch khawateen mein us waqt sugar ki bimari hoti hai jo bache ki paidaesh ke baad aam tor par khatam ho jati hai lekin us se bache aur maa ki sehat ke liye taweerl mudati khatrat paida ho sakte hain.
logoblog

Thanks for reading Potato In Pregnancy In Urdu Is It Safe To Eat Potato In Pregnancy Hindi Side Effects Of Potatos

No comments:

Post a Comment