Khana Kaba Urdu History Khana Kaba Ki Maloomat Khana Kaaba Tareekh Waqia Information

  Lal Gulab      

Information About Khana Kaba Urdu History Khana Ka Waqia Bunyad

Khana Kaba Ki Malomat In Urdu Masjid Haram ke wast mein waqia aik (Khana kaba, Kaba ya Baitullah) imarat hai jo Musalmano ka kibla hai, jis ki taraf rukh karke wo ibadat kia karte hain. Ye deen islam ka mukaddas taren makam hai. Sahab hasiyat musalmano par zindagi mein aik martaba Baitullah ka Hajj karna faraz hai.

Tarikh Khana Kaba Ki Tareekh

Hazrat Ibrahim A.S ka kaim karda Baitullah bagair chat ke aik mustatil numa imarat thi jis ke dono darwaze khule the jo satah zameen ke barabar the jin se har khas o aam ko guzarne ki ijazat thi. Is ki tameer mein 5 paharon ke pathar istamal hue the jabke is ki bunyadon mein aj bhi wohi pathar hain jo Hazrat Ibrahim A.S ne rakhe the. Khana Khuda ka ye andaz sadiyon tak raha ta o katika quraish ne 604 mein apne mali mufadat ke tahafuz ke liye is mein tabdeeli kar di kyun ke zaireen jo nazar o niyaz andar rakhte the woh chori ho jati thien. 

Khana Kaba o Masjid Haram

Quraish ne Baitullah ke Shumal ki taraf 3 hath jaga chhor kar imarat ko maktab numa (yani Kaba) bana dia tha. Waja ye batai jati hai ke rupee paise ki kami thi kyun ke haq o halal ki kamai se Baitullah ki tameer karni thi aur ye kamai galban har dor mein kam rahi hai. Lekin inhon ne is par chat bhi dal di ta ke uper se mehfooz rahi, magrabi darwaza band kardia gaya jabke mashraki darwaze ko zameen se itna uncha kardia gaya ke sirf khawas hi quraish ki ijazat se andar jasaken. Allah ke Ghar ko bara sa darwaza aur tala bhi laga dia gaya jo muktadar halkon ke mizaj aur soch ke ain mutabik tha. Halanka Nabi SAWW jo is tameer mein shamil the aur Hajra sood ko is jaga rakhne ka mashoor zamana wakia bhi ronuma hua tha ki khuwaish thi ke Baitullah ko Ibrahemi tameer ke mutabik hi banaya jae. Hazrat Abdullah Bin Zubair R.A (jo Hazrat Ayesha R.A ke bhange the aur Hazrat Imam Hussain R.A ki shahadat ke bator ihtijaj yazeed bin mawia se Bagawat karte hue Makka mein apni khudmukhtari ka ailan kia tha) ne Nabi pak SAWW ki khuwaish ka aihtaram karte hue 685 mein Baitullah ko dubara Ibrahemi tarz par tameer karwaya tha magar Hajaj Bin Yousaf ne 693 mein inhain shikast di to dubara qureshi tarz par tameer karadia jise bad azan tamam musalman hukumrano ne barkarar rakha.

Imarat Ki Sakht Tameer Khana Kaba Construction

Khana Kaba ke andar 3 satoon aur 2 chatain hain. Baab Kaba ke mutwazi aik aur darwaza tha deewar mein nishan nazar ata hai yahan Nabi Pak SAWW Namaz ada karte the. Kaba ke andar rukoon iraqi ke paas baab toba hai jo aluminum ki 50 siriyan hain jo Kaba ki chat tak jati hain. Chat par sawa meter ka seshe ka aik hisa hai jo qudarti roshni andar puhnchata hai. Kaba ke andar sang mar mar ke patharon se tameer hui aur qeemti parde latke hue hain jabke qadeem hidayat par mabni aik sandook bhi andar rakha hua hai. Kaba ki maujooda imarat ki akhri bar 1996 mein tameer Ki gai thi aur is ki bunyadon ko nae sire se bhara gaya tha. Kaba ki satah mataf se takriban 2 meter buland hai jabke ye imarat 14 meter unchi hai. Kaba ki deewarain aik meter se zayada chori hain jabke is ki shumal ki taraf nisf dayre mein jaga hai ise hateem kahte hain is mein tameeri Ibrahemi ki 3 meter jaga ke ilawa wo makam bhi shamil hai jo Hazrat Ibraem A.S ne Hazrat Hajra A.S aur Hazrat Ismael A.S ke rahne ke liye banaya tha jise baab Ismael kaha jata hai. Hateem: Hateem jise hijra Ismael bhi kaha jata hai, khana Kaba ke shumal ki simat aik deewar hai jis ke bahar se tawaf kia jata hai. Is deewar ke mutalik kaha jata hai ke wo khana kaba mein shamil thi. Hateem ki unchai 30 inch (90 centimeter) hai aur chorai 1.5 meter (4.9 feet) hai.

Maqam e Ibrahim

Khana kaba se takriban sawa 13 meter mashrik ki janib makam ibraem kaim hai. Ye wo pathar hai jo Baitullah ki tameer ke waqt Hazrat Ibrahim A.S Ne Apne qad se unchi deewar kaim karne ke liye istamal kia tha ta ke wo is par unche hokar deewar tameer karen. 1967 se pehle is makam par aik kamra tha magar ab sone ki aik jali mein band hai. Is makam ko moosale ka darja hasil hai aur Imam Kaaba is ki taraf se kaba ki taraf rukh kar ke namaz parhate hain. Tawaf ke bad yahan do Rakat Nafil parhne ka hukum hai. Hijra Sood: Kaba ke janoob mashraki rukun par nasb takriban adhai feet katar ke chandi mein marhe hue mukhtalif shaklon ke 8 chote chote siya pathar hain jin ke bare mein islami ikida hai ke tameeri Ibrahemi ke waqt Janat se Hazrat Jibrael A.S lae the aur bad azan tameer quraish ke doran Nabi Akram SAWW ne apne dast mubarak se is jaga nasb kia tha aur aik bohat bare fasad se qoum ko bachaya. Ye mukadas pathar hajaj bin yousaf ke kaba par hamle mein tukre tukre hogaya the jise bad mein chandi mein marh dia gaya. Kaba sharif ka tawaf bhi Hajra Aswad se Shuru hota hai aur har chakar par agar mumkin ho to hijra sood ko bosa daina chahye warna dor se hi hath ke ishare se bosa dia jasakta hai. Hajj ke dino mein har kisi ko is mukkadas pathar ko bosa daina ya istalam karna mumkin ho pata.

Kunwan Zam Zam

Masjid haram mein Kaba ke janoob mashrik mein takriban 21 meter ke fasle par ta khane mein Aab zam zam ka kunwan hai jo Hazrat Ibrahim A.S aur Hazrat Hajra A.S ke shair khuwar bete Hazrat Ismael A.S ki piyas bujhane ke bahane Allah Talah ne takriban 4 hazar saal kabal aik mojze ki surat mein Makka Mukarma ke be Aab o giyah ragistan mein jari kia jo waqt ke sath sookh gaya tha. Nabi pak SAWW ke Dada Hazrat Abdul Muttalib ne ishara khuda wandi se dubara khudwaya jo aj tak jari o sari hai. Aab zam zam ka sab se bara dahana hijra sood ke paas hai jabke azaan ki jaga ke ilawa sifa o marwa ke mukhtalif makamat se bhi nikalta hai. 1953 tak tamam kunwon se pani dool Ke zariye nikala jata tha magar ab Masjid Haram ke andar o bahir mukhtalif makamat par Aab zam zam ki sabilain lagadi gai hain. Aab zam zam ka pani Masjid Nabvi mein bhi aam milta hai aur Hajaj Karam ye pani dunya bhar mein apne sath le jate hain.

Darwaza

Kaba sharif mein dakhil hone ke liye sirf aik darwaza hai jise baab kaba kaha jata hai. Baab Kaba zameen ya haram ke farash se 2.13 meter uper hai. Ye darwaza kaba sharif ke shumal mashrik deewar par maujood hai aur is ke karib tareen dihane par hijra sood nasb hai jahan se tawaf ki ibtada ki jati hai. 1942 se pehle pehle baab kis ne tayar kia aur kaise tayar kia is ka tarikh mein zayada tar tazkara nahin milta. Taham 1942 mein Ibraem badar ne chandi ka banaya tha, is ke bad 1979 mein Ibraem Badar ke bete Ahmed bin Ibraem Badar ne Khana kaba ka sunhaira darwaza banaya. Ye sunhaira darwaza takriban 300 kilogram sone se tayar kia gaya tha.

Note: Koshish ki gayi hai ke is Islamic Article about Khana Kaba ke mutaliq maloomat aur spellings sahi faraham ki jayain par agar aap ko yahan koi mistake nazar aye tou foran comment mein batayain takay jald is content ko mazeed behtar banaya ja sakay.
logoblog

Thanks for reading Khana Kaba Urdu History Khana Kaba Ki Maloomat Khana Kaaba Tareekh Waqia Information

No comments:

Post a Comment