Kaan Dard Ka ilaj Urdu Kan Band Hone Ka ilaj Band Kaan Kholne Ka Tarika Hindi

  Lal Gulab      

Tips For Kaan Dard Ka ilaj In Urdu Band Kaan Kholne Ka Tarika Band Kan Ka ilaj Desi Home Remedies

Karain! Asslam o Alaikum aaj mein kaan se mutalik chand mufid batain aap ko batana chahta hon to chalen shuru karte hen. Jaisa ke aap sab jante hen ke kaan bhi dusre azaa ki tarah hamare jism ka aik eham aur nazuk hisa hai jiski ahtiyat nehayat zaruri hai. Aur aap ye bhi jante honge ke kaan ki hadi jism ki sab se nazuk aur patli hadi hai.

Hamara kaan 3 hison par mushtamil hota hai aik beruni hisa, dusra darmiyani aur tesra andruni hisa hai. Kaan ke bahar wala hisa beruni kahlata hai beruni kaan se aik sorakh andar ki taraf aik air drum ke sath jura hua hota hai. Is air drum ke pechle hise ko darmiyani hisa aur age wale hise ko jheli dar hota hai andruni hisa kahte hain aur ye saip ki shakal ka hota hai.

Jab koi jarasem, bacteria ya virus hamla awar hokar jism mein maujood cells ko nuksan puhchate hain jis se infection hota hai aur agar ye bacteria ya virus andruni hisa mein dakhil ho jaye tou wahan bhi ye infection kardaita hai agar ye infection hojae to kafi taklif hoti hai ye do tarah se infection hosakta hai. Aik Otitis Media aur dusra Otitis Extema kahlata hai in dono se kaan ke darmiyani aur andruni hise mutasir hote hain. Kaan ke dard ki kai wajuhat hosakti hain jin mein illergy, infection, zakham, pani par jana, ear drum ko nuksan puhnchna, kaan mein kisi cheez ka par jana, gale ke gadod ka worm iske ilawa aise bache jo dant nikal rahe hon inko bhi kaan mein dard hosakta hai.

Baaz aukat kaan mein kuch par jata hai aksar in mein gale ke beej, moti ya kere wagera kaan mein chale jate hain. Is ke liye aap taiz roshni mein kaan ka maina karsakte hain koshish karen khud se tajarbat na karen foran marez ko kisi karibi doctor ke pas lejain jo maina ke bad tibi alat se phansi hui cheez nikal dega. Aksar marez kaan ka bahne ki shikayat karte hein iski kai wajuhat hosakti hain maslan khasra wagera hone ki surat mein kaan ke darmiyani hisa mein worm hojata hai jiski waja se kaan behna shuru hojate hain. Baaz aukat bachon mein nazla o zukam aur sardi ki surat mein bhi kaan se ratobat nikalti hai iske ilawa naak aur halak ki taklif mein bhi kaan bahna shuru hojate hein.

Ahtiyati Tadabir

Kaan mein kabhi bhi match box ki teeli soi numa tinka wagera na dalain. Kaan ko bar bar na kuraidain bazari adwiyat kaan mein dalne se parhez karen. Mustanid doctor aur company ki adwiyat ka istamal karain. 

Kaan Ka Desi ilaj

  • Kaan se peep ane ki surat mein sarson ke tail ke 2 katre neem garam kar ke dalain.
  • Kaan mein agar koi kera chala jae to glycerine dalain jis se wo cheez bahar ayjae gi.
  • Subha nehar mun pani se lemo ka rus mila kar pene se kaan ka behne main madadgar hai. Lehsun ko sarson ke tail mein jala kar kaan mein dalne se dard aur peep khatam hojati hai.
  • Piyaz ka rus garam dalne se behra pan mein faida hota hai.
  • Sarson ka neem garam tail dalna bhi behra pan main mufid hai.
  • Mooli lay kar bareek bareek kaat kar sarson ke tail mein garam karain phir oil ko utna thanda hone dain jitna aap ka kaan bardasht kar sakay aur kaan mein dalne se kan ka dard kam ya khatam ho jata hai.
Note: Kaan ke ilaj ke liye totkay jo yahan bataye gaye hain woh sirf maloomat ke liye faraham kiye ja rahe hain in mein se koi bhi tareeqa istemal karna chahain tou isay apne doctor ko zaroor batayain phir woh ijazat de tou istemal karain.
logoblog

Thanks for reading Kaan Dard Ka ilaj Urdu Kan Band Hone Ka ilaj Band Kaan Kholne Ka Tarika Hindi

No comments:

Post a Comment