How To Remove Dandruff From Hair In Urdu Dandruff Home Remedies
Beauty Tips For Hair In Urdu: Kashmir ke maujood safar mein jahan mujhe kashmeri zalzala zadgan ke paas puhncha kar rubaru in ki khidmat ka moka dia kyun ke wo aise log the jin tak itne salon ke bawajood abi tak imdad puhncha to darkinar in ke ghar waise hi khali aur veran pare hue hein. Banda har sal is khidmat ki koshish mein chand qadam zarur uthata hai. Doran safar aik sahab mile kahne lage ke mere balon mein bohat khushki thi bal jhar rahe the in se bafa aur sakri musalsal utarti thi bohat ajiz aur tang agaya tha thak chuka tha ke is ka ilaj kia karun? Bohat shampoo, creams, aur mehnge mehnge soaps istamal kie lekin bajae faide ke nuksan barhta gaya mujhe khatra hogaya kahi aisa na ho ke ganja na hojaun. Aur wakai bal itne gir rahe the ke ganja hone ke khatrat bohat zayada barh rahe thay.
Isi kashmakash mein ilaj bhi ilaj chalta raha aukat bhi guzarte rahe lekin faide ki umeed bohat kam nazar ayi. Kisi tajarba kar ne mujhe ye totka bataya ke aik desi anda le lain isko tor kar aik piyali mein dalen jitna anda ho itni mehendi surkh desi pisi hui, chemical ke bagair ho itna sarson ka tail aur dahi. In sab ko mila kar paste banain aur ungliyon se balu ki jaron mein lagain aur kam az kam 4,5,6 ghante lagain. Is ke bad sar dhoain life boy sabun se kyun ke is waqt jitna nuksan balon ko shampoo de rahe hein itna shahyad koi cheez degi. Mosoof kahne lage mein ye musalsal amal karta raha batane wale ne to chand din kahe the mein ne 2,3 hafte karlie bas karte hi mujhe itna afaka hua aur itna faida hua ke mein hairan hogaya ke itna faida mumkin bhi hai. Kyun ke is dawa se jitna zayada faida mujhe hua itna zayada shayad kisi ko ho kyoun keh aik to mein ne dawai mein tawaja ki aur bakaida istamal kia phir mujhe ilaj par so fesad yakeen tha. Karain! Inhon ne mujhe ye apna azmuda formula bataya to achanak meri nazar is se Pehle guzre tajarbat par uth gai kyun ke meri mulakatain beshumar logon se hoti rahti hai aur mulakaton mein beshumar tajarbat mujhe milte rahte hein aik tajarba mujhe bar bar kai logon se mila to nazar foran in tajarbat ki taraf uth jati hai jo is se pehle mile the. Bilkul yahi nushka is se pehle bhi mujhe kai logon ne bataya phir maine ise bohat se logon ko age bataya phir in logon ne bhi is ko kia jis jis ne bhi kia is se is ki tasdik ki aur wah wah ke bagair na rah saka. Mujhe to aise log mile jo balun ko transplant bhi kara chuke the lekin phir bhi in ke balun ki jarain mazboot na hui.
Khushki in ke gale pari rahi hata ke jab subha so kar uth te the to balun se in ka takia bhara rahta tha aur khushki had se zayada thi. Pehle to inhon ne karahat ki ke na maloom is nuskhe se kia banega pata nahin balun mein badboo aegi lekin jab aik do dafa lagaya to phir achak ehsas hua ke nahin is dawa ne wakai faida puhnchaya aur balon ki jarain mazboot hui hain beshumar khawateen ke tajarbat samne ae jab inhain ye mushaida aur ye anmol nuskha bataya to inhon ne azmaya aur azmane ke bad iske anokhe tajarbat batae mere pas aik bewah khatoon jo ke ab beauty parlor chalati hain arsa daraz se ah rahi thi aulad jawan hogai burhape ne an ghera. Kisi ne sath na dia. Kisi samjhdar ne mashwara dia ke beauty parlor khol lo kyun ke is ka tajarba tha to beauty parlor khol lia. Mujhe khatoon kahne lagi ke koi agar aap ke pas totka ho to aap zarur batain mein ne arz kia han mein ne foran balon ka yahi nuskha batadia. Chonke in ki practice chalti hai inhon ne ye qudarti formula apne marizon ko dena shuru kia wakai kargar sabit hua mujhe kahne lagi ke wakai ye cheez lajawab hai. Jahan mein bari bari mehengi creams shampoo, soap, lotion azma kar thak chuki thi waha iska karishma jab samne aya to meri akal dang rah gai kia wakai Ye itni mosar thi mujhe yakeen nahin tha lekin ehsas hua ke itna kargar nuskha hai.
No comments:
Post a Comment