How To Control Anger In Urdu Tip Anger Management Hindi Essay Anger

  Lal Gulab      

How To Control Anger In Urdu Tips Anger Management In Hindi Anger Essay In Urdu

Gusse Par Qabu Pane Ka Tareeqa: Sarkon par driving ke doran jin logon ko dusre drivers ki ghalat driving par shadeed ghusa aata hai ya sathi ki bay ja tanqeed unhain chiragh pa kar deti hai ya woh kisi aur baat par apay se bahir ho jate hain ya kabhi aap ke bache aap ki baton ko nazar andaz karain aur aap ka kaha na manain tou aap ko yaqeenan shadeed gussa aata ho ga aur aap ka blood pressure barh jata hai tou ghussa ana fitri amal hai ye aik aisi kefiyat hai jo har normal insan ko ho sakti hai lekin is kefiyat par aqalmandi aur darust tareeqay se kaam laina asal jeet hai.

Gussa par bar waqt qabu na pa kar hum apna aur dusron ka nuqsan kar baithte hain. Gussa insan mein kabhi kabhar aisi hadon ko paar kar laita hai jis se aap ke ghar walon aur aap ke dost ahbat ke sath aap ke rishte mutasir hote hain aise halat mein chahiye gusa par qabu pana lekin ye itna asan nahin magar na mumkin bhi nahin. Gusse par qabu pane ke liye in chand tadabeer, totke, upay par amal kijiye aur phir dekhiye aap ki apni personality par in baton par amal karne se kaise asrat muratab hote hain.

1 Se 10 Tak Counting To Remove Anger

Nihayat azmooda aur asan method tou aap ne bhi suna ho ga gusse ki kefiyat mein liya gaya fori qadam baad mein pichtaway ka baes ban sakta hai agar is lamhe mein aik se lay kar 10 tak gindi gin li jaye tou ye mamooli waqfa angriness door karne mein karamad sabat ho sakta hai.

Taluqat Mein Zara Sa Fasla Istwar Karain

Koshish karain ke jis insan se aap naraz hain ya jis se kisi baat par gussa hain tou khuch waqt ke liye us shakhs se thori doori ikhtyar ki jaye tab tak jub tak aap pichli purani baton ko na bhool jayain.

Apni Narazgi Ka Izhar Karain

Apni narazgi ka izhar karna achi adat hai khuch arsay mein dusron ko apni narazgi se zaroor waqaf karain magar aise events par tanziya jumlon se parhez karain keh ye halaat ke aur kharab hone ka sabab bante hain.

Halki Phulki Warzish Karain

Thori bohat jismani warzish aap ke ehsasat ko qabu karne mein madad gar sabat ho sakti hai khas tor se jub aap bohat shadeed gusse mein hon aap ko chahiye keh aap light exercise karain walk karain ya swimming aisi warzish aap ka anger control karne mein muawan kardar ada kare gi.

Rukiye Kehne Se Pehle Zara Soch Lijiye

Kehne se pehle sochna aap ko baad mein hone wale pichtawe se bacha sakta hai behtar hai keh problems ko solve karne se pehle un par baat karne se pehle thora soch liya jaye takeh taluqat ba asani aur jald az jald theek ho jayain.

Masail Ko Hal Karne Par Tawajah Dijiye

Maslom mein uljhane aur is baat par aray rehne jis baat se aap ko ghussa aya ho behtar hai keh aap un masail ke hal karne par tawajah dain jis shakhs se aap gusa hue hain us ke sath mil kar masail ka hal talash karain.

Maslon Ko Hal Karte Hue 'Main' Ka Lafz Istemal Karain

Aisa karne se aap aik dusre par ilzam tarashi karne se bach jayain ge aisa na karne se aap aik dusre ko naraz kar sakte hain aur surathal mazeed bad tar ho sakti hai. Misal ke tor par aisa kehna keh main preshan hon tumhain meri madad karni chahiye thi na keh ye kehna chahiye keh tum ne meri madad kyoun nahin ki.

Narazgi Ko Tool Mat Dain

Agar aap kisi ki ghalti ko maaf kar sakte hain tou bila wajah mamle ko tool mat dain keh hamara mazhab bhi hamain maaf karne ka dars deta hai tou dil bara karain aur dusron se pehle muamlay ko khud rafa dafa karain.

Mazah Se Kaam Lain

Sakht aur sanjeeda maslon mein bhi agar thora bohat ansar mazah ka shamil ho jaye tou kisi ke dil mein koi baat nahin rehti aisi surathal mein thore bohat mazaq se bare masail khare hone se pehle hi khatam ho jate hain.
logoblog

Thanks for reading How To Control Anger In Urdu Tip Anger Management Hindi Essay Anger

No comments:

Post a Comment