Hasad Essay In Urdu Hasad In Islam Hasad Kya Hai Speech

  Lal Gulab      

Hasad Essay In Urdu Hasad Speech

Dunya ke har insan mein kahen na kahen hasad aur jalan ke jarasem pae jate hein aur ye jarasem insan ko dimagi aur jismani tor par maflooj karne ke sath sath rooh mein bhi zehar phailate hein jiske natije mein dosti aur kai rishton mein darar dalte hein aur manfi asrat paida karte hein, muwashire mein degar kai mahlak nasooron ki tarah ye bhi aik aisa khatarnak nasoor hai jo insan ko mehsus aur tasleem kie bager andar hi andar khokhla karta rahta hai.

Dunya ka har insan hasad aur jalan se bakhoobi wakif hai kyun ke kabhi wo khud apne ird gird hansne wale insano se hasad karta hai jo nafrat ka roop bhi dhar leta hai ya ye mehsus karta hai ke koi dusra fard is se bhi jalan, hasad aur nafrat karta hai lekin insan kyun is bemari numa nasoor mein mubtala hota hai? Ye awamil hakaik par mabni hein insan ki nature hai ya qudrati amal? Madard university ke professor antoniyo cabrales ki tawel Tahkik ke bad kahna hai ke hasad aur jalan insan ki artaka mein eham kirdar ada karta hai kyunke ye aik gene hai aur jab insan masail masaib, mushkilat se mukabla nahin karsakta aur ye gene hadod tajaweez karta hai to iske nateje mein hasad aur jalan jarasem insani dimag mein gardish karte hein ibtadai tarikh gawa hai ke insan kisi dusre ko dekh kar is liye hasad nahin karta tha ke wo awla darja makam ya mal o dolat ka malik hai balke is liye hasad mein mubtala hota tha ke khud is ke pas kuch nahin, professor ka kahna hai hasad dunya ki satwien khatarnak aur mohliq bemari hai jis mein mukhtalif iksam ke ehsasat pae jate hein aur aisi bemari yakenan mazak nahin jo insan ko zehni tor par mukamal bemar karde is bare mein sab jante hein ke hasad karne se kuch hasil nahin hota lekin tasleem nahin karte ye aisi bemari nahin jo adwia ya surgery se khatam ki jae ye insani dimag mein palti hai barhti hai aur insan ko Khatam karne ke bad pecha chorti hai.

Goethe institut frankfurt ke professor jo samaji nafsiyat ke mahir hein ka kahna hai hasad aik qudarti amal hai aur ye zaruri nahin ke har insan is mein mubtala ho lekin aksar aukat kam amdani wale afrad ya khawateen manfi soch rakhne ke sabab is bemari mein mubtala rahte hein aisa bhi hota hai ke wo afrad jinhein apni mal o dolat ka andaza nahin wo bhi hasad aur jalan mein mubtala hein insani fitrat ko challenge karna na mumkin hai badegar alfaz ye aik matnaza amal hai jo har insan mein aik makhsoos umar tak puhnchne ke bad qudarti tor par is ke andar janam leta hai gusha ehsas jurm sharm o haya aur degar insani fitrat o qudarti awamil har insan mein paidaishi tor par pae jate aur eham kirdar ada karte hein lekin hasad o jalan ka taluk insani jazbat se mansilak hota hai aur jazbat hi fitoor ki bunyad bante hein jis mein ameer gareb mard aurat sab shamil hein ilawaazen koi siyasat dan ho, science dan ho mazhabi rahnuma ya paisha ho koi bhi hasad jaise jarasem se pak nahin hasad aur jalan aik complex emotion hai jis ka tamam daromadar gushe, narazegi, udasi aur bechaini se janam leta hai aur kai insan udas ya naraz bhi isliye hote hein ke in ke pas wo sab khuch kyoun nahin hai jiski inhain khuwaish hai ya kyoun in ki dastaris mein nahin aur hasil na hone ki surat mein dusre afrad ko dekh kar gushe aur taish mein ate hein jalan mehsus karte aur andar hi andar karhte hein ke jo mein chahta hon wo dusre ke pas hai mein kyun nahin hasil kar sakta aur yahan se hi jalan aur hasad ki ibtada hoti hai aik survey mein dhai hazar mukhtalif umron ke mardon aur aurton se is rujhan ke bare mein sawal kiye gaye jis mein adad o shumar ke mutabik khawateen ki aksiriyat is marz mein mubtala in ka kahna tha ke wo udas hone par hasad mein mubtala hojati hein ke dusre ke pas sab kuch hai aur mere pas khuch nahin numayan tor par mardon ke mukable mein khawateen ka palra bhari tha kyun ke sanaf nazuk mein zehni quwat aur adam bardast ka fikdan paya jata hai jabke mard hasad mein mubtala hokar depression ka shikar hojate hein ke jo marat aik paise wale ko hein hamein kyun nahin ye kaisa insaf hai aur yahi wajuhat hein ke ghum o gusha aur manfi soch insan ke andar hasad aur jalan ko janam deti hein hasad aur jalan kushedgi ko yakeni banata aur takhliq ke raste mein sab se bari rukawat hai maslan karobar ho khail ka maidan ho, awla afsiran ho ya kisi bhi shobe se taluk rakhne wale insan mein hasad o jalan paya jata hai ke fala ke chief se ache talukat kyun hein hamsaya ki dukan par zayada rush kyun hota hai khawateen waitress ko log zayada tips kyun dete hein wagera.

Mahren ne in sawalon ke jawab dete hue kaha ke hasad o jalan mein mubtala hone ki bajae insan ka rawaiya eham kirdar ada karta hai iska Ikhlaq aik aisa amal hai jis se wo tawun karne se har ko jeet mein badal sakta hai kyunke hasad o jalan mein mubtala rahne se kisi dusre ka bal bhi baka nahin hota ulta jalne wala aik aisi bemari ka shikar hojata hai jo la ilaj hai aur ye aisi bemari hai jo pal pal, har ghari, waqt hai waqt dusron ko dekh kar barhti rahti hai is liye insan ko chahye ke khud aitamadi ka muzahira kare jo hasad ke khilaf tahfuz farahim karti hai. Self confidence aur will power rakhne wale insan kabhi hasad o jalan mein mubtala nahin hote kyunke hasad insan ko tanha karne ke sath zehni, jismani aur roohani tor par bemar kardeta hai jis ke natije mein mamkina tor par yad dasht ki kamzori aur sochne samjhne ki salahiyat bhi salab hosakti hai apni khuwahishat aur jazbat par kabu pane aur tahamul mizaji ke ilawa khud aitamadi se insan sab kuch hasil karsakta hai hasad aur jalan mein mubtala hone se sehat ki burdbari aur bemariyon Mein mubtala hone ke bad kabal az waqt mout ka shikaar ho sakta hai.
logoblog

Thanks for reading Hasad Essay In Urdu Hasad In Islam Hasad Kya Hai Speech

No comments:

Post a Comment