Hamdari Urdu Essay Sympathy Note On Hamdari Speech In Urdu Humdardi Kya Hai

  Lal Gulab      

Short Note On Hamdardi Essay In Urdu Humdardi Par Mazmoon Harmardi Speech In Urdu Sympathy Essay In Hindi

Insan ashraf ul makhlooqat ke darjay par is liye faiz nahin keh usay dusri makhlooqat ke muqablay mein ghair mamooli aqal o adrak se nawaza gaya hai balkeh woh hamdardi mein bhi sub se agey hai. Hamdardi kya hai? ye aik qabil tareef jazba hai, dard mandi ka aur mohabbat ka, jo aik insan dusre insan ko ghum mein dekh kar mehsoos karta hai ye jazba makhlooqat mein sirf insan ke hisay mein nahin aya hai balkeh hewanat aur parindon mein bhi paya jata hai.

Insan ke dil mein jazba hamdardi sirf us ke dil mein nahin rehta balkeh degar makhlooqat ke liye bhi mehsoos karta hai chunancheh kisi dusre ko takleef mein dekh kar kisi ko musibat mein mubtala dekh kar insan bay cheni mehsoos karta hai, ye bechaini us ki dard mandi se paida hoti hai kisi insan ko gham zada dekh kar ya dard se cheekhte  hue dekh kar ya ansoo bahatay hue dekh kar insan ka dil paseejta hai aksar halaton mein kisi ki ashakbar ankhon ko dekh kar us ki ankhain bhi nam ho jati hain aisi misalain bhi kam nahin keh jazba humdardi ke teht kisi admi ko darma mein doobtay dekh kar usay bachane ke liye apni jaan ki parwah kiye baghair woh darya mein kood jata hai.

Harmardi insan ki ala sifaat mein shamil hai is se insaniat ki qadron ko taqwiat milti hai. Mere nazdeek hamdardi ki tareef (hamdardi definition) ya hardardi ka matlab ye hai keh insan ka aik lazmi hisa jisay insaniat ka jaz o azam samajhta hon hamdardi kehlata hai.

Yaad rahe hamdardi sirf dil mein mehsoos karne ki chez nahin ya kisi ko musibat mein dekh kar us ki hosla afzai karne ya khud aansoo bahane tak mehdood nahin balkeh ye amli tor par kisi ke kaam anay ya us ki dast giri karne ka kaam hai khawah us ka badla ya muawza milay na milay is ka sub se bara muawza ye hai keh woh insaniat ke aik fitri taqazay ki takmeel karta hai aur ghair mamooli tamaniat qalbi hasil  karta hai.

Bad kismati ye hai keh mojooda macheeni door mein insan bhi insani ausaaf se mehroom ho kar machine ban gaya hai jis wajah se ghair insaniat ka door dora hai khud gharzi ke is larza khez mahool mein bahmi hamdardi ka jazba sukar kar reh gaya hai chunancheh insan ko faqah kashi mazloomiat bebasi aur takleef mein dekh kar hamdardi paida nahin hoti agar yehi haal raha tou zindagi ajeeran ho jaye gi is bohran surat haal se nikalne ke liye insan ko tarjihi tor par hamdardi aur aisar se kaam laina ho ga.
logoblog

Thanks for reading Hamdari Urdu Essay Sympathy Note On Hamdari Speech In Urdu Humdardi Kya Hai

No comments:

Post a Comment