Mazmoon True Friendship Essay In Urdu My Best Friend Essay In Hindi
Friendship Definition: Dosti ki tareef tou yehi hai keh aik insan dusre insan ke dukh sukh mein badalnay ke liye jo jad o jehd karta hai us ko dosti kehte hain ye khoobi sirf insanon mein hi payi jati hai janwaron mein ye sift nahin. Jese jese waqt badalta ja raha hai insan janwar aur phir janwar se bad tar hota hai ja raha hai wese wese insan ki ye sift bhi khatam hoti ja rahi hai par phir bhi dunya mein aise bohat se log hain jo aik dusre ke bohat ache dost hain jese keh mera dost Imran.
Imran aur main intihai gehre dost hain woh mera bohat azeez dost hi nahin bhai bhi hai humara ghar bhi aik dusre ke ghar ke qareeb hai aur dil bhi jis mein hum aik dusre ke liye naik jazbaat aur ehsasat rakhtay hain. Ye ehsasat hi hotay hain jo har rishtay mein kamyabi aur nakami ka baes bantay hain aur hamare ehsasat dosti ki mamlay mein aik dusre ke liye bohat mazboot hain. Mujhe Imran ki aik adat bohat pasand hai keh woh har kisi se muskurahat ke sath paish ata hai aur sabit karta hai ke ikhlaq shakhsiyat ka husn aur barha detay hain yehi wajah hai keh hamare ustad ka bhi woh farmabardar hai jis wajah se woh us ki misal puri jamat ke bachon ko detay hain is liye har koi us ki izzat karta hai.
Aam zindagi mein bhi dosti ka tajarba ghair mamooli ho sakta hai bilkhasoos bachpan aur nojawani ki dostiyan ajeeb hoti hain un mein aik talisam ki kefiyat hoti hai hamain yaad hai keh nachpan aur nojawani ke dor mein hamare kayi dost aisay thay keh woh agar raat 2 bajay hamain neend se bedar kar ke kehte keh isi waqt kisi jagah jana hai aur agar humain dar bhi lagta tou tab bhi hum aik lamhe ki takheer kiye baghair un ke sath chal detay. Dosti ki taqat aur is ka husn dosti ki masawat mein paya jata hai. Insan ke qareeb tareen rishtay us ke khandan mein hotay hain lekin khandan mein koi chota aur koi bara hota hai lekin dosti mein koi chota aur bara nahin hota sub barabar hotay hain
Dosti Allah Ta'ala ka aik bohat bara inaam aur us ki khaas rehmat aur khas naimat hai is ka andaza is baat se kiya ja sakta hao keh mohabbat sona haia ru dosti mohabbat kundan yani khalis sona jo har tarah ki milawat aur mail kuchail se pak azaesh ki bhati se baar baar guzar kar aya hua sona. Azmaesh ka tasawar dosti ke hawale se bunyadi ahmiyat ka hamil hai is ki wajah ye hai keh azmaesh ke baghair dosti mehz aik tasawar hai sirf aik qayas hai. Aik adh baar azmaesh se guzri hoi dosti, dosti ko chakh lainay ke mutradif hai albata baar baar ki azmaeshon se guzri hoi dosti haqeeqi aur thos dosti hai. Aisi dosti jis ke liye jaan detay hue bhi admi ko mehsoos ho keh hum ne dost ke liye kya kiya hai?
Barhal jub bhi humain waqt milta hum donon dost imran aur main subah saweray namaz fajar parh kar nehar kinare chehal qadmi bhi kartay hain parindon ki sureeli awaz nehar ka chalwa hua pani subah ki thandak sar sabz darakhton ki tehniyon ka dilkash manzar se hum donon khoob mehzooz hotay hain aur hamari dosti aur inhi raston par subah ki chehal qadmi aaj bhi qaim hai.
No comments:
Post a Comment