Fasting Benefits In Urdu Roza Ke Fawaid Kya Hain
Roze se Bemariyon Ka Shafi Ilaj
Hum Musalmanon ki kitni bari khush kismati hai ke ramadan ka mahina hamain ata kiya jata hai jo bara pak ibadaton bhara hai. Ramzan ka asal maqsad tou takwa paida karna hai magar jismani aur health benefits ke lehaz se roza ke andar shafai asrat maujood hain.
Roze Se ilaj Ka Tarika
Zail mein bayan kiya jata hai ke roza kis kis tarah jismani bemariyon ka ilaj hai.
Dil Ke Amraz
Roza dil ke marizon par koi bure asrat nahin dalta albata baaz halat mein dil ke marizon ko apne malij ke mashoore se roza se parhez karna chahye. Marz kalb mein mohtat fake se faida hota hai. Arthiritis ki bemari aise faqey se bilkul dor hojati hai ya is mein kami ajati hai waja al mufasil mein bhi faka ilaj hai.
Zehni Amraz
Zehni amraz ke marizon ke liye roza kisi tohfa se kam nahin, roza se wo diciplane hasil hota hai jis se zehni amraz se nijat hasil hojati hai.
Danton ke Amraz
Roza ki halat mein kayi hours food se parhaiz kiya jata hai jis se food mashoron yani gums mein nahin atakta aur masorhay mazboot aur danton ki safai ho jati hai munh ki badbu door ho jati hai aur danton ke hilne ki takleef aur darhon ke soorakhon ka bhi ilaj ho jata hai.
Dama Ka Marz
Dama ke marz mein bhi roza shifai hai aur illergy se paida hone wala dama bhi is se dor hota hai aur gale ki soozish aur tahrik kam hojati hai.
Zanana Amraz
Roza zanana amraz mein bhi mufid sabit hota hai ayam ki beqaidgi is se dor hojati hai. Hormones ke adam tawazun ki halat jism ko farba banati hai chunacha roza is se bhi bachata hai aur firbahi kam karne ka roza behtren ilaj hai. Doran hamal ke ki shikayat is se dor hojati hai aur askat hamal ka marz bhi roze se dor hota hai.
Gurde Ke Amraz
Roza gurda ki bemari ka bhi ilaj hai aur roza rakhne wale shakhs ka peshab sab bemariyon ka khud ilaj karleta hai. Roza se jismani bafat mein jama shuda pani jal jata hai aur gurdon ke sukarne se blood pressure ka marz paida hota hai wo bhi roza se dor hojata hai.
Jildi Amraz
Jild ki sehat par tamam jism ki sehat ka daromadar hai Jo shakhs kisi jismani taklif ka shikar hota hai aur us mein koi andruni bemari hoti hai us ki jild saaf nahin hoti. Jildi amraz yani phore, phansiyon mein bhi roza bohat mufeed hai. Baz log chehre ke muhason aur dano ka shikar hote hain inka ilaj bhi roze mein posheeda hai.
Made Ke Amraz
Roza made ki taklif bhi dor karta hai ye nizam hazam ko mazboot banata hai aur jism mein charbi aur nimkiat ko matadil banata hai chunacha sara sal jo made par izafi bojh parta hai ramzan ul mubarak ke aik mah ke roze made ka worm, khichao, ulcer, cancer, ke, dakar, mun mein pani bhar ana aur bhook ki kami jesi bemariyan kafi had tak dor kardete hain.
Bachon Ke Amraz
Chote bachon ko jab roza rakhwaya jata hai to is se bhi hairat angaiz fawaid hasil hote hain surkh bukhar, halaq ke zakham, khanak, kali khansi aur bachon mein falij ki alamat paida hote hue roza rakhwane se bohat faida hota hai.
Blood Pressure
Roza buland fisar khoon ke marizon ke liye nehayat faida mand hai. Roza blood pressure ko barhne se rokta hai. Khoon ka dabao, tafkirat, gair mamuli masroofiyat aur tarah tarah ki nafsiyati uljhano se barh jata hai. Mustakil gusha se bhi ye shikayat paida hojati hai jism mein charbi ki sharah barh jane se is ke ajza sharyano mein phansne lagte hen to dil ko zayada zor lagana parta hai jis se blood pressure high hojata hai. Faqey se zaid charbi jalti hai aur is tarah blood pressure ke marizon ko roze se bohat faida puhnchta hai. Roza Wazan ko kam karne aur blood pressure ko aitadal par rakhne mein nehayat eham kirdar ada karta hai.
Daibetes Ka Marz
Jo sugar ke mariz goliyon ya khorak ke zariye ilaj karwa rahe hote hain. In ke liye roza bohat mufid hai. Sehar o iftar mein munasib khorak ka istamal karke sugar ko control kia jasakta hai. Diabetes ke marez ke khoon mein insulin ki mikdar kam aur sugar ki zayada hoti hai kyun ke doran roza khane pene se parhaiz kia jata hai is liye khorak se hasil shuda sari glucose doran roza istamal hojati hai aur sahri o iftari tak insulin ki kafi mikdar hasil ho jati hai jo marez ke liye mufid hai aur marez sehat ki janib gamzan hota hai. Baz aukat sugar ke marizon ko malij ke mashoore se roza se parhaiz karwaya jata hai.
Jismani Kamzori Ka ilaj
Jab Insan zayada lagar hojata hai to ise ghiza se bohat kam faida pohnchta hai. Kyoun ke phir na iski ghiza hazam hoti hai na jazobadan banti hai. Chunacha aisi Halat mein roza mufid sabit hota hai kyun ke ghiza ki mikdar kam karna akhir main amuman taqaj o shaguftegi ka bais banta hai. Baz log kafi khane ke bawajood lagar rahte hain in ke liye roza mufid hai.
Junoon Aur Deewangi Ka ilaj
Roza is deewangi ko bhi door karta hai jo khoon mein zeherile made shamil hophali duble aur kamzor afrad ke liye mufeed hai.
No comments:
Post a Comment