Darakht Ki Aap Beeti Urdu Tree Autobiography Hindi Tree Story In Urdu

  Lal Gulab      
Tree Story In Urdu Autobiography Of A Tree In Urdu And Hindi (50, 100, 150, 200, 250, 300, 400, 500, 1000, 2000, 3000 Words For Students) Darakht Ki Zindagi Life Par Short Biography
Darakht Ki Aap Beeti In Urdu: Main 1 gamlay mein laga aam ka chota sa poda tha mujhe kisi ne gamle se nikal kar nehar kinare laga diya. Mere patay sunehri aur sabz rang k hain dhop aur pani ki mujhe bohat zaroorat hoti thi q k nehar mere samne thi aur main jis mulk mein tha wahan garmi ka mausam sardiyon se lamba hota hai is liye main chand hi salon mein 1 poday se 1 bara darkht ban gaya. Maine bohat se mausam dekhe chandni raat mein puray chand ki roshni jub meri shakhon ke paton se nikal kar mujh par lage phoolon par parti tou main raat k waqt aur b khubsurat nazar ata jis se nehar mein jub mera aks nazar ata tou sara manzar hi dilkash nazar ata.

Garmi ki dopehar mein aur thandi tez barishon mein log mujh ghanay darakht k nechay panah laitay par un mein se khuch log mujh par lagi tehniyon ko tortay b thay jis se mujhe bohat dukh hota tha bhala maine un ka kya bigara main tou unhain chaon deta tha aur sirf chaon hi nahin mujh par jub garmiyon ke dinon mein phal lagta tab bhi ye mujh par lage aam tor kar nehar mein apne paon dal ke aam khatay par baat yahin khatam nahin woh mujh par zulam khuch youn kartay ke mujh par lage kachay aam bhi tor laitay thay khuch un ka achar bana kar baichtay yani main un ke liye saman-e-mueshat bhi tha main janta hon jub tak mujh par aam lagtay rahain ge log mujhe katain ge nahin.

Mujh par lage aam dunya ke bohat se mumalik bhi jatay hain. Mere sath aik sumbal ka darakht bhi laga hua hai jo taqreeban mera hum umar hai aur us par lal rang ke bohat pyare phool bhi lagte hain hamara bachpan aur jawani sath guzri aur agar hum donon mein se kisi ko logon ne kata na tou hamara burhapa bhi sath hi guzre ga. Aaj kal bahar ka mausam hai mujh par naye patay ana shuru ho chuke hain aur phool bhi lagna shuru ho chuke hain is ke baad mujh par phal lagna shuru ho ga. Main aik aam ka darakht apni baqi ki zindagi bhi isi nehar kinare jeena chahton hon kyoun ke yahan ki nehar aur darakht mere bachpan ke sathi hain mere dost hain.
logoblog

Thanks for reading Darakht Ki Aap Beeti Urdu Tree Autobiography Hindi Tree Story In Urdu

No comments:

Post a Comment