Burai Ka Anjam Story Urdu Burai Ka Badla Bhalai Kahani In Hindi With Pictures For Kids

  Lal Gulab      

Burai Ka Anjam Kahani Burai Ka Badla Bhalai Story In Urdu Burai Ka Anjam Story In Hindi Tasweeron Ke Sath The Evil

Aik garon mein biliyon ka aik khandan rehta tha us khandan mein 5 afrad shamil thay aik shohar, biwi aur un ke 3 bachay. Ye sub bari hansi khushi zindagi basar kar rahi thay. Shohar sara din kaam kaaj ke silsile mein ghar se bahir rehta aur biwi tamam din ghareelu kaam kaaj mein masroof rehti un ke 2 bachay bare thay, woh school jate thay jabkeh sub se chota bacha jis ka naam Mani tha ghar mein khelta rehta aur khoob shararatain kiya karta woh aksar unchi unchi jagahon par charh kar chalangain lagata jis ke baes kayi baar usay sakht zakham bhi atay thay. Maa usay pyar se samjhati rehti thi magar us ki sehat par koi asar nahin hota tha. Kayi baar Mani ko apni sharataron par baap se bhi dant parti woh us waqt tou seham jata magar junhi woh donon miyan biwi apne kisi kaam mein lag jate tou Mani ki shararatain phir se shuru ho jatien ye roz ka mamool tha usi ghar ke nichlay hisay mein 2 chohay bhi rehte thay ye donon bohat burhay ho chuke thay woh aksar chup kar apne liye khorak bil mein lay jate aur kayi kayi din usay khate rehte.
Biliyon ko un ke bare mein sub maloom tha unhon ne un ke burhapay ke paish-e-nazar unhain wahan rehne ki ijazat de rakhi thi. Donon khandan bare maze ki apni apni zindagi basar kar rahe thay. Mani ko jub burhe chohon ke bare mein maloom hua tou us ne un ko satane ki thani. Jub burhiya chohiya apne shohar ke liye khana lene ke liye bahir nikli tou Mani us ke pechay lag jata. Bechari chohiya kampti, girti parti ba mushkil apni bil tak wapas pohanch pati. Mani ko usay tang kar ke bara maza ata tha aik martaba us ki maa ne usay burhe chohon ko tang karte dekha tou us ne usay bare sakht alfaz mein tanbiya ki keh woh apni ye buri adat chhor de kyoun keh burhay logon ko tang nahin karna chahiye balkeh un ki khidmat karne se Allah Ta'ala khush hota hai. Mani ne khamoshi se apni maa ki nasihat suni aur phir hawa mein ura di. Mani jisamat mein be had chota tha
Is liye us ka chohon ki bil mein ghus jana zayada mushkil nahin tha woh kayi martaba chohon ki bil mein ghus jata aur wahan pohanch kar burhay chohon ko khoob satata burjay choohay us ki shararaton se tang thay burhiya chohiya ne aik din apne shohar ko kaha keh woh mani ke baap se baat kare tou us ne hans kar taal diya kyoun keh woh janta tha keh mani ka baap shikayat par us ki khoob pitai kare ga woh kisi bache ki pitai hoti dekhna nahin chahta tha.

Aik din Mani ko maloom hua keh store mein aik purana sandooq rakha hua hai jis mein khuch qeemti cheezain mehfooz ki gayi hain. Mani sandooq ko dekhne ke liye store mein chala gaya jub us ne sandooq apni ankhon se dekh liya tou us ke mann mein bay chaini hone lagi keh woh isay khool kar dekhe keh is ke andar kya hai? woh akela tou usay khool nahin sakta tha is ke liye kisi na kisi ki madad ki zaroorat thi us ne apni behan ko apna razdar bana kar amada kar liya keh woh us ke sath mil kar sandooq kholne mein madad kare. Aik sham ko woh moqa pa kar store mein ghus gaye aur koshish kar ke us
Sandooq ko khola tou us mein koi qeemti cheez tou nahin thi balkeh chand purane phatay purani kapre thay. Mani uchal kar sandook ke andar ghus gaya aur kapron ko tezi se ult pult karne laga behan ne usay mana kiya aur bahir nikalne ki hidayat ki mani us se bay parwah apne kaam mein laga raha phir kisi ki ahat pa kar us ki behan tou wahan se bhag gayi. Mani bhi sandooq se nikal kar store se bahir nikal aya usi doran usay apne baap ki ghuseeli awaz sunai di jo store mein khara sandooq ke bare mein daryaft kar raha tha mani bay bad dar gaya us ne socha keh ab tou shamat ayi woh jaan bachane ke liye tezi se chochon ki bil mein ja ghusa. Khuch dair tak woh wahin raha achanak mani ko apne jism mein khuch rengta hua mehsoos hua us ne khujana chaha magar nakam raha khuch hi dair guzri thi keh us ke sare badan mein aag si lag gayi woh buri tarah tapadne laga. Sandooq ke purane kapron mein kharish ke keeray mojood thay jo us ke jism par charh chuke thay. Kharish ke keeron ko jism se alag karna us ke bas ki baat nahin thi woh khoof aur takleef se dabay dabay andaz mein cheekhain maar raha tha us ki awaz sunn kar burha chuha bahir nikal aya us ne mani ko apni bil mein dekha tou preshan ho gaya thori dair mein usay mani ki takleef ka andaza ho chuka tha us ne mani se
kaha keh woh kisi aisi jagah gaya tha jahan kharish ke keeray mojood thay ab tou woh is ke naram balon mein ghus chuke hain jinhain nikalna us ke bas ki baat nahin ye sunn kar mani rone laga us ne bataya keh woh store ke purane sandooq mein ghus gaya tha mani ne tarapte hue madad ki darkhawast ki byrha chuha us ki faryad sunn kar soch mein par gaya mani us ke samne farsh par gira apne jism ko buri tarah ragar raha tha. Kharish ne mani ka saans tak laina mahal kar diya tha burhe chuhe ke zehan mein aik tarkeeb ayi us ne burhiya chohiya ko bula kar kaha keh woh zara bahir ja raha hai us ke wapas lautne tak woh mani ko taat ke kapre mein palait de takeh woh us ke jism ko garmai de kar kharish ke keeron ko halak karne ki koshish kar sake burhiya chohiya ne aik bara sa taat ka tokra nikal kar mani ko us mein lapait diya mani khamoshi se us taat ke kapre mein lipat gaya. Taat ki chubhan us ke liye na qabil bardasht ho rahi thi magar woh ab kya kar sakta tha? burha chuha bahir nikal kar mez par charh gaya  wahan aik gol sa pipe para tha chohe us usay wahan se uthaya aur bil mein lay aya.

Pipe kafi bhari tha aur kisi qadar garam bhi burha chuha aik taraf baithne laga ke us ki nazar mani ki surat par pari tou woh uth khara hua us ne chohiya se kaha keh woh aik taraf pipe pakar lay. Chohiya ne us ki hidayat par amal kiya phir woh donon mil kar garam pipe mani ke jism par ghaseetnay lage thori dair baad mani ke jism ko garmai mili tou usay kisi qadar sakoon hua burjay chohe kafi dair tak pipe ko idhar se udhar ghumatay rahe. Unhin ne mani ki tabiyat khuch sambhalti dekhi tou pipe aik taraf rakh diya aur us ka taat khool kar hidayat ki keh woh seedha apni maa ke paas jaye aur baghair chupaye sari baat usay bata de takeh woh kisi doctor ka band o bast kar sake. Unhon ne jo khuch kiya woh mehz arzi hai kharish ke keeray garmai se preshan ho kar khamosh baith gaye magar woh thori dair baad phir harkat shuru kar dain ge mani ne wada kiya keh woh aisa hi kare ga achanak mani ki nazar burhe chohon ke hathon par pari tou woh hairaan reh gaya garam pipe ko pakarne se un ke hathon par chalay par chuke thay burhe chohe ne mani ko is bare mein fikar mand na hone ki talqeen ki aur foran maa ke paas pohanchne ki hidayat ki.
Mani ko apni shararaton ka khayal aya tou woh sharminda ho kar reh gaya woh seedha apni maa ke paas pohancha usay sub khuch sach sach bata diya maa ne us ke jism par baal hata kar dekha tou usay kharish ki bareek keeron ke reshay dikhai diye jinhain hathon se chunna bara mushkil tha fori tor par doctor ko bulaya gaya doctor ne mani ki halat dekh kar usay dusre bachon se alag rakhne ki hidayat ki aur aik teeka lagaya is ke baad us ne aik mehlool nama dawa di keh usay garam pani mein mila kar mani ko us mein khoob nehlaya jaye mani ki maa ne ilaj mein zara bhi kotahi nahin ki aur foran garam pani kar ke us mein dawa
mila kar mani ko nehlana shuru kar diya woh mehlool bara tez asar tha jahan jahan jism par lagta mani ki cheekhain nikal jati thien khuch dair ki musalsal koshish ke baad mani ke jism mein sakoon hona shuru ho gaya mani ko naye aur saaf kapre pehnaye gaye. Doctor ne aik baar phir us ka muaena kiya kharish ke keere mar kar us ke balon mein se nikal chuke thay doctor ne ahtyati tor par dawa ki aik aur khorak usay khila di mani ko garam bistar mein lita diya gaya jis mein ghuste hi woh gehri neend so gaya . Usay kafi saza mil chuki thi is liye us ke baap ne usay mazeed dantna munasib nahin samjha agle roz mani jub utha woh tandrust ho chuka tha woh bistar se bahir nikla tou usay burha chuha dikhai diya jo us ki khairiyat maloom karne aya tha mani us ki shakal dekh kar pani pani ho gaya burhe chuhe ne hans kar usay tasali di aur kaha keh bache tou aksar shararatain karte rehte hain magar unhain koshish karna chahiye keh woh aisi shararatain na karain jis se dusron ko koi takleef ho mani ne apne rawaiye par un se mafi mangi aur wada kiya keh woh ab kabhi bhi aisi shararat nahin kare ga jis se kisi ko takleef pohanche.
logoblog

Thanks for reading Burai Ka Anjam Story Urdu Burai Ka Badla Bhalai Kahani In Hindi With Pictures For Kids

No comments:

Post a Comment