Agar Asaniyan Hon Zindagi Dushwar Ho Jaye Urdu Essay

  Lal Gulab      
Speech Agar Asaniyan Hon Zindagi Dushwar Ho Jaye Essay In Urdu: Zindagi mein insan ko beshumar na kamiyon ka samna karna parta hai. Lekin kamyab wohi log hote hein jo nakamiyon se ghabrate nahin balke in se sabak sekhte hein aur apni galtiyon aur khamiyon ki roshini mein age barhne ke liye musalsal jadojahad mein lage rahte hein aur manzil murad tak puhnch kar hi dam lete hein kyun ke zindagi musalsal jadojahad ka naam hai. Jo himat har jate hein aur dil chor bethte hein wo taraki ki dor mein peche rah jate hein. Kamyabi ka zena nakamiyon ke dandon se mil kar tayar hota hai. Jo nakamiyon se khofzada rahta hai wo kuch sekh nahin sakta agar kuch hasil karna hai to is ke liye khatra mol lena parta hai. Kisi ne baja kaha hai ke agar aap ki zindagi nakamiyon se pak hai to iska matlab hai ke aap katrat mein kodne ki jurat se ari hein hum azeem admiyon ke kamyabi o nakami ke bare mein saikron akwal nakal kar sakte hein.

Jin sab ka maksad zindagi mein kamyabi ehmiyat ko samjhna hai kisi ne kia khoob kaha hai ke kamyabi aur nakami aik hi sike ke do rukh hein nakami koi cheez nahin lekin is ke andar se kamyabi bahir ahjati hai. Jab hum kisi cheez ke hasool mein nakam rahen to mayoos nahin hona chahye. Aam tor par hum sirf apni kamyabiyon ko yad rakhte hein aur ye nahin dekhte ke hamari aik fesad kamyabi 99 fesad nakam jadojahad par mabni hoti hai. Jab pathar ko akhri zarb se tora jata hai to is ka ye matlab nahin hota ke pehle lagai jane wali zarbain raigan chali gai hein khamiyon ka ehsas hi kamyabi ki kunji hai goya nakamyabi ki pehli serhi hai. Kamyabi aur nakami ki istalah insani tarikh mein kai makamat par istamal hui hai is ki aik roshan misal taskheer kamar ka 13 wan appalomation hai jis ka mukhtasir ahwal yun hai ke jab khilai taskheer ke liye fiza mein khilai jahaz chora gaya to is mein 3 khila nord jim loval, Fraid hanes aur jack savgart sawar the. 11 april ko chand ke madar ke gird chakar kat te hue khilai jahaz mein kuch electronic kharabi paida hogai jis se khilanordon ko jan ke lale pargae. Phir hostan america ke zameni machine aur jahaz ke amla ki mushtarka kawishon se ye khilai machine 17 april ko janoobi behralkahil mein bahifazat utar gaya. Is machine ko kamyab nakami ka name dia gaya. Kyunke ye apne ibtadai machine mein nakam hua aur haqeqatan koi machine hasil na karsaka. Lekin apalo 13 machine ke commander loval ne takriban 4 dahaiyon baad writer television ko aik interview mein is machine ko sahara aur ise aik bari afat se nikalne ki logon ki salahiyat par ise aik kamyab recovery karar dia. Tarikh insani aur hamari roz mara zindagi se is tasawur ki wazahat ke liye kai misalen di jasakti hein. Azeem siyah crystofar colambas india ki daryaft mein nakam raha. Lekin is ne america daryaft kar liya. Ye bhi aik kamyab nakami thi ab Abraham Lincoln ne apne aik khat mein bete ke ustad ko likha ke mere bete ko ye sikhao ke imtehan mein nakal marne ki nisbat fail hona behtar hai to wo kamyab nakami ki bat kar raha tha. Hum muntaki tor par kamyab nakami ki 4 mukhtalif astilahat mein wazahat karsakte hein jo ye hein kamyabi o kamrani, kamyabi nakami, nakam nakami aur nakam shuda nakami. In istalahat par thora sa gor karen to ye baat puri tarah samjh mein ahjati hai kamyab kamrani ki khoobsurat misal fatah maka hai.

Nakam shuda nakamiya wo hoti hein jab log apni galtiyon se sabak hasil nahin karte aur wohi galtiyan bar bar karte chale jate hein jo pehle karchuke hote hein. Ye hakiki nakamiyon ka hargiz koi wajood nahin hai. Thomas Edision apni nakami par ye kaha karta tha ke mein nakam nahin hua balke meine aise hazar tarike daryaft karlie hein jo buroye kar laye ja sakte hein jab hum tin asaniyon ke daire se bahir nikal kar kam karte hein to hum aksar galtiyan karjate hein aur ye nai cheezain seekhne ka sahi tarika hai. Agar hum har kam mein kamyab hote chale jaen to darasal hum nakam ho rahe hote hein. kyoun ke is ka matlab ye hota hai ke hum koi khatra mol nahin le rahe kyoun ke jo koi bhi nakamiyon se darta hai wo seekh nahin sakta kamyabi khatrat mol lene mein mazmar hai.

Agar aap ki zindagi nakamiyon se pak hai to is ka matlab hai ke aap rasak nahin lerahe. Kamyabi aur nakami aik hi sike ke do rukh hein nakami kuch bhi nahin magar kamyabi is se phoot ti hai. Hamein na umeed hone ki zarurat nahin jab hum makasad ko hasil na karsaken to hum aam tor par sirf apni kamyabiyon ko yad rakhte hein magar is bat ko nahin pahchante ke hamari aik fesad kamyabi ke peche 99 fesad nakamiyon ka hath hai. Jab pathar akhri zarb se tot ta hai to is ka ye ka matlab ye nahin ke baki zarbain bekar thi. Nakami insani taraki ki aik aisi eham sargarmi hai jis ko USA ki universities ke iadaron ne aik makhsoos mazmoon karar dia hai misal ke tor par pain state university ne engineering ke talib ilmon ko failiar 101 course ki paishkash ki hai is course ke liye talba ko tajarbat ke liye khatrat mol Lene parenge. Wo farzi tor par aise kamon mein hisa lenge jo in ki salahiyaton se barh kar honge aur wo galti ke khoof se azad honge wo bajae is ko galti tasawur karne ke is ko aik moka tasawur karenge jo inhein sekhne takhliq karne aur nai rahen aijad karne ke liye farahim kia jae ga. In ki behtar karkirdegi ka mayar in ki galtiyon ki tadad par munhasir hai. Americi masnif, kalim nigar, editor, tajir aur tv producer maikal shawun mailon kahte hein har nakami insani ke liye sabak ki hasiyat rakhti hai. Bashartia wo is se kuch sekhna chahe is liye hamein nakamiyon ko bura bhala kehne ki bajae in ki taref karni chahye. Chala jata hon hansta khailta mauj hawadas se agar asaniyan hon zindagi dushwar ho jaye.
logoblog

Thanks for reading Agar Asaniyan Hon Zindagi Dushwar Ho Jaye Urdu Essay

No comments:

Post a Comment