Zafran Ke Faide Urdu Benefits Saffron Beauty Tips Saffron During Pregnancy In Hindi

  Lal Gulab      
Saffron Benefits In Urdu Zafran Beauty Tips Aur Lajawab Fawaid Samaitay Hue Mehangi Soghat
Zafran Ke Faide In Urdu: Zafran mein kitni khubiyan hain aap shayed nahin jantay ye kashmir mein paida hota hai isay aisi onchi zameen mein botay hain jahan pani bilkul nahin theharta is ki jar alu ki jar ki tarah hoti hai. Kashmiri zafran ke ilawa spain, italy aur iran mein bhi saffron bohat zayada paida hota hai. Zafran ka darakht chota patay lambay aur patlay hote hain is ka phool blue colour ka nazar ata hai jo december mein nikalta hai is ke andar orange colour ke reshay ko saffron kehte hain. Jub phool khilnay ke qareeb hote hain tou un ko bohat tarkay taron ki chaon mein tortay hain un ke andar ke reshay ko chun kar safed kaghaz par phela kar unhain hararat de kar khushk kar laite hain is ke 30000 phoolon se 250 gram ke qareeb zafran nikalti hai.

Saffron ko zuban par rakhain tou zuban par thori jalan hoti hai aur zuban se khushbu ati hai is ka rang zardi mael surk aur reshay ke donon siray barabar hote hain. Is ka sukha hua resha bareek aur halka hota hai is ka mazaj bohat zayada garam nahin hota ye dusre darja mein garam aur pehle mein khushk hai.

Zafran hindi mein kesar ke name se pehchana jata hai ye tabiyat ke liye farhat bakhsh hai kidney, masana aur jigar ko mazboot karta hai is se jism par har tarah ki sojan tehleel ho jati hai. Kidney pain khatam karne mein behtareen aur ankh mein pani mila kar salai dalne se aankh ke dard aur surkhi ko bhi door karti hai. Rozana raat aik aik salai ankh mein dalne se nazar tez hoti hai jism mein sardi ki wajah se hone wale dard aur pasli ke dard mein fayde mand hai. Jism mein agar mada manoya kam ho tou pura karti hai jin auraton ko hez ruk ruk kar ata ho ya mardon ke peshab mein rukawat ho usay jari karti hai agar peshab ana ruk jaye tou us ke munh mein is ka aik taar rakh dain chand minute mein peshab jari ho jaye ga. Jis ghar mein lizard bohat zayada hon wahan aik bartan mein thora sa zafran khula rakh dain lizards bhag jayain gi. Agar kisi mareez ko kharish ne bohat zayada tang kiya ho tou pani mein 3 masha zafran ghool kar pilayain kharish theek ho jaye gi. Tasheel wiladat ke liye sarhay 4 masha saffron pilane se bacha foran paida ho jata hai.

Aaj kal bukhar ka zamana hai aik rati zafran pani ki galori mein rakh kar mareez ko khilayain tou din mein 2 baar aisa karne se bukhar utar jata hai. Bhool lagna band ho tou aik bara chamach kaghazi lemon ka ras lay kar us mein 3 - 4 taryan zafran mix kar ke dain bhook khul jaye gi.
logoblog

Thanks for reading Zafran Ke Faide Urdu Benefits Saffron Beauty Tips Saffron During Pregnancy In Hindi

No comments:

Post a Comment