Walking Benefits Urdu Paidal Chalne Ke Faide Chehal Qadmi Tips Walking For Weight Loss

  Lal Gulab      
Walking Benefits In Urdu Walking Tips Walking For Weight Loss

Labh Paidal Chalne Ke Faide In Urdu: Aaj ke taraki yafta dor main takriban har insan ko tamam asaish mayasar hain aur bagair kisi mehnat ke palak jhapakte hasil ki jasakti hain lekin is scienci dor main sub khuch hasil aur mayasar hone ke bawajood insan mukhtalif wajuhat ke sabab tawel umar nahin pasakta kyun ke tawel umar ka raaz na sirf sukoon, mukamal aram, makool aur vitamin se bharpur ghiza hai balke jismani harkat o saknat ka bhi eham kirdar hai mazi main insan ki tawel umri ka raz adwia, science ya therapy nahin balke sehat mand ghizain. Mukamal aram aur sukoon tha jis ki badolat takriban har insan kai sal tak zinda rahta, jari boti se ilaj kia jata aur sehat yab hone ke bad apni tibi mout marta jabke aj behtren ghiza bhi hai dawa bhi lekin insan tawel umar nahin pata aur mukhtalif hadsat ka shikar hokar kabal az waqt mout ka shikar hojata hai is ki kai wajuhat main ek khas waja insani Khuwaish bhi hai, tamam khuwaishat puri hone ke bad bhi har insan khuwab dekhta hai. 

Insani khuwaishat ek aisi bemari hai jo sehat mand afrad ko pal bhar main aise jakar leti hai ke wo apni khuwaish puri karne ke liye jaiz o najaiz awamil ki parwah nahin karta aur apni khuwaishat ki takmeel ke liye raste ke har pathar har rukawat ko apni sehat aur jaan ki parwah na karte hue thokar marta hai jis ke natije mein usay jaan se hath dhona parte hain lekin bashaoor insan tahamul mizaji aur gehrai se tamam halat wakiyat ko samjhne ki koshish karte hue kabhi apne andar khuwaishat ko jaga nahin dete. Khoob se khoob tar ki talash az had zaruri aur eham hai lekin har kam ka ek waqt hota hai, aj ke dor main sab kuch mayasar hone ke bad bhi kai afrad apni zindagi se mutmain nahin hote aur mehaz ye rona rote hain ke ye zindagi bhi koi zindagi hai, is se to behtar ke mar jain Aise afrad nafarman aur nashukre hain jo zindagi ki qadar nahin karte zindagi to ek bar milti hai aur mout bhi ek bar gale lagati hai lekin insani khuwaishat jo ke har insan main qadam qadam par janam leti aur lamehdod hain in par kai log kabu palete hain jabke kai kamzor dil afrad himat harne par jaraim ki taraf ragib hote hain ya khudkushi karne ki koshish karte hain aur ye dono awamil insan ko tawel umar nahin balke ankareb mout se hamkinar karte hain sehat se mutalik mahren ka kahna hai har insan ke liye kam se kam 12 ghanta masroof rahna lazmi hi nahin to zehan par shadid manfi dabao ke zair asar mustakbil karib main nafsiyati amraz main mubtala hosakta hai.

Paidal Chalna

Kisi bhi shobe se taluk rakhne wale aur har insan ke liye chehal kadmi lazmi hai kyoun keh paidal chalna behtren madicine aur masruf rahne ka eham jaz wo hone ke ilawa kai masaib o mushkilat ka sada ilaj bhi hai jo log rozana kam se kam 6 kilometer Chehl kadmi karte hain wo daibtes aur dil ke dore se mehfuz rah sakte hen kyunke paidal chalne se blood pressure normal rahta hai aur chehel kadmi karne wale afrad tawel umar tak active aur jismani tor par fit rahne ke sath sath kai khatarnak bemariyon se bhi mehfuz rahte hain kai mumalik main cycle sawari ko mayob samjha jata hai jab ke cycle sawari insani sehat aur tawel umri main behtren kirdar ada karti hai paidal chalne wale aur cycle sawar ke dimagi khaliyat aur blood circulation behtar aur hamesha fal rahte hain khud aitamadi aur musbat soch janam leti hai insan khush o khuram rahta hai ilawa azen in dono awamil se har insan motape ka shikar nahin hota kai mahren ka kahna hai jismani nasho numa ko barkarar rakhne ke liye aur motape main kami pane main adwia ke istamal ki bajae roz mara ghizaiyat aur vitamin se bharpur ajza ke istamal ke sath sath walking ya cycle chalana eham hai aur ap tawel umar Pasakte hain.

Walk Karne Par Tehqeeq

Nayi tehqeeq ke mutabik neurologist aur cardiologist ka kahna hai chehel qadmi na karne wale afrad bohat jald amraz kalb, falij, yad dasht ki kamzori aur heart attack ka shikar hosakte hain kyunke insani jism main kalb aur dimagi function hi eham kirdar ada karte hain aur agar ham koi insan inhain durust tarike se istamal nahin karta wo bohat jald uper bayan ki gayi bemariyon main mubtala ho sakta hai aur bemari main mubtala hone ka dusra naam mout hai.
logoblog

Thanks for reading Walking Benefits Urdu Paidal Chalne Ke Faide Chehal Qadmi Tips Walking For Weight Loss

No comments:

Post a Comment