Wadi Soon Sakesar Pictures Soon Sakesar Valley Location Travel Guide Sakesar History

  Lal Gulab      

Information Wadi Soon Sakesar Valley Tourism In Urdu

Wadi soon sakesar Pakistan ki qadeem aur khubsurat wadi hai jo qudarti nazaron ki waja se dunya bhar main shohrat rakhti hai noshahra is wadi ka sadar makam hai.  Sakesar pahar ki choti par wakia ek sehat afza makam ka name hai ye ek wasi pahari silsila ka unwan hai jis main kai wadiyan aur chote bare gaon hain. Is ilake ko " Wadi soon sakesar" kaha jata hai. Azeem musalman fatah zaheer uddin babar ka pothohar ke ilake se guzar hua tha. Raste main ek wadi thi jis ke hussun ne badshah salamat ko apni taraf mutawaja kia. Apne lashkar ke sath wahan parao dala. Qudrati husn to is wadi ka tha hi is badshah ne bhi is wadi ke hussun main izafa karne main apna hisa dala. Bagat ugane ka hukam jari kia aur is wadi ke bare main tarikhi kalmat ada kie. Jo is ilake ke logon ke liye aj bhi bais fakhar hain zaheer uddin babar ne kaha ke
"Is Wadi Bacha Kashmirast"
yani ye wadi chota kashmir hai.
Us badshah ki chand nishaniyan aj bhi is wadi main maujood hain. Is wadi ka naam soon sakesar hai.

Waja Tasmia

Soon ka lafz sanskirat main sohan bemaina khubsurat ke hain. Mard zamana ke sath sohan ka talafuz soon ki shakal ikhtiar kargaya." yu ye " sohan dharti" " wadi soon" ke name se pukari jane lagi. "Sakesar " markab hai. "saki" aur sar" se sanskirat hi "sar" talab se ibarat hai aur iski se murad mani go tum hai. Ek riwayat ke mutabik "sakia" ek qoum ka nbm hai aur "sakiyani" ka italak mahatama budh par bhi hota tha yu "sakesar" ka lafz saki sar se makhooz hai jis ke maina hain sakia ka talab docter dani ka khayal hai ke soon sanskirat main sone ko kaha jata hai. Sik kisi shakhs ya kabile ka name hai. Aisar darasal eswar yani dewta se lia gaya hai. Mazkora riwayat ki taidas se bhi hoti hai ke is pahar ke daman main wakia jheel o chali ko saki mani go tam ka "sar" kaha jata hai. Is lasani tajziya aur tehqeek ke zaman main ek waham ka azala zaruri hai aur wo ye ke daryae sawa aur wadi soon do alag alag name hain. Daryae sawa salt range main behta hai. Is ilake main qadeem tahzibon ke asar mile hain. Ye ilaka mahreen asar qadeema ki tawaja ka ek arsa se markaz raha hai lekin wadi soon is se alaida ilaka hai agar cha ye ilaka bhi qadeem tahzibon ka markaz raha hai magar asar qadeema ke mahreen ki tahkik ka mozu nahin ban saka. Wadi soon kohistan namak aur pothohar ek sedh main wakia hai is ilake main aise mahjirat aur dhanche mile hain jo sakht aur zamane ke aitabar se pothohar aur bilkhasus daryae sawa ke kareb dhok pathan ke asar o mahjirat se milte julte hain. Wadi soon ke sare par wakia gaon chinhchi aur is ke ird gird mahjirat ke wasi zakhair ka pata chala gaya hai. Wadi ke dusre gaon main bhi asar qadeema ke mutale se tarikh ka surag lagaya jasakta hai. Khayal hai ke ibtadai zamane main yahan Insani abadi na thi yahan mans rahte the bad main insan ne taraki ki aur garon main rahna shuru kia wo kacha gosht, phal aur sabziyan khate the. Is ilake main har mausam main jangli phal miljate the aur rahne kia garain thi jinhain ilakai zaban main "mahle " kaha jata hai. In asar se andaza hota hai ke yahan par insan abadi zamana qadeem se hai.

Soon Valley Picture
Wadi Soon Sakesar Image

Majmooi Rakba

Wadi soon sakesar valley ka majmooi rakba dus hazar aikar jabke kabil kashat 3 hazar aikar banjar ya na kabil kasht rakba 7 hazar aikar hai. Mashrik main jehlum chakwal ke kuch ilake shumal main tala gang magrib main mianwali jabke janoob main noor pur thal ka ilaka hai.

Zameenain Aur Pahar

Wadi soon ki mati zayada tar bhur bhuri hai aur yahan ke pahar patli chatano aur chone ke pathar par mushtamil hai yahan ki zarat ka daro madar barsat par hai. Dhalwani khait am hain pahar aur patharon ki mukhtalif kismain jin main chone ka pathar, pele rang pathar, Safaid pathar, sang mar mar wagera shamil hain. Wadi soon ke paharon se namak, gandhak, koyla, bajri ka pathar maujood hai. Mausam: yu to yahan bhi 4 mausam pae jate hain albata do mausam barae name hi hain. Yahan march se octber tak mausam intehai khushgawar rahta hai aur yahi wo mausam hai jab wadi soon main sair o siyahat ka maza dobala hota hai. Sardiyon main shadid sardi parti hai yahan ka darja hararat nukta anjamad chala jata hai. Zala bari aur barishain hone se sardi shadid tar hojati hai. Wadi soon main sair ke liye intehai mozon mahine march, april, july, augest aur september hain. Wadi main barsat ka mausam intehai pur lutuf hota hai jab paharon se behte nalon ka shor ek khubsurat sama paish karta hai. Phoolon aur sabze main ek tarotazgi ajati hai aur garmi ke mausam main sard hawain jare ka ehsas dilati hain. Barsat ka maza aisi surat main aur bhi barh jata hai. Jab ap kisi jheel ke kinare ya Kisi pahari par hon waha se wadi soon ke tol o arz main phaile hare bhare khait janat ka sama paish karte hain. Yahan ka mausam intehai dilfareb hai. Zara se badal bane aur pal main baras ke asman saf hojata hai albata sardiyon main barish kai kai roz tak jari rahta hai. Wadi soon ka ilaka apni dilkash wadiyon khubsurat jheelon aur bagat aur khush gawar mausam ki waja se siyahon ko apni taraf khench karle ati hai aur har sal beshumar siyah wadi soon ka rukh karte hain.

Zarai Paidawar

Wadi soon baki barani ilakon ki nisbat zayada behtar zarai paidawar ka ilaka hai. Yahan dono mausams ki faslain jabke phoolon main badam, aro, angoor, saib, nashpati kino, lokat wagera pae jate hain. Rabih ki faslon main gandum, sarson, chana kasht kiye jate hain inhain haryan kahte hain. Kharif faslon main jawar, bajra, makai, mung fali, mash wagera hain inhain sadaniya kahte hain gar mai sabziyon main kadu, bhindi ,karela Bengan, gobi, tenda, kheera, mirch, tamatar zayada aham hain. Yahan wazia kardu wadi soon ki ageti garmai gobi mulk ke tol o arz main bheji jati hai jis se wadi main khushali ki lahar ai hai rakam jab augest ke adail main wadi main phir raha tha har taraf log gobi ki faslon main aise nazar ate jaise bahar main kisi gulshan main phool khile hon. Sar sham tarakon par apni ajnas lad kar manzil ko rawana hote hue wadi ke mahanti nojawano ke chehron par riwayati tamaniyat nazar ati.

Mahjiraat

wadi soon ke mutalik wasok se kuch kahna to shayad na mumkin hai albata wadi se milne wale mahjiraat se iski umar ka andaza lagaya jasakta hai. Wadi ki kai makamat se mukhtalif insani dhanche, janwaron ke dhanche aur kai ek gharelu zaruriyat zindgi ki ashia mili hain. Kanhati ke karib dhanche mile hain mard wal se mukhtalif janwaron ke dhanche, qadeem tarz rahaish, saman harb, gharelu zaruriyat ki chezain aur sike mile Hain. Mahkiken ki rae main pothohar aur wadi soon ka zamana milta julta hai. Arya budh mat ke zamane ki jangon main baz wakiyat sabit karte hain maslan ragweed main shiranje badshah ne saroshoon aur warchi danto ke khilaf jang lari warchi danto jehlum aur sindh ke darmiyan abad the. Wadi soon ke muhari gaon warcha ke mutalik kayas kia jata hai ke ye wohi gaon hai jahan jang lari gai is jang ka zamana sare 5 so kabal masih ka hai. Mahkiken ne tah dar chatano se umar 50million sal shumar ki hai. Pakistan main sab se purani tah dar chatanain koh namak koyla ki kanain hain jin ki umar 60million sal jabke chune ke pathar wali chatanain 40million sal purani hain. Riwayat hai ke kabhi koh namak samandar ka hisa tha jo rafta rafta khushk hota gaya. Sikandar azam ke hawale se kai ek riwayatain maujood hain yahan se sikandar azam ke zamane ke sike mile hain. Sikandar azam 372 kabal masih main taiksila ward hua Sikandar azam ki foji chaoni ke hawale se syed noor ali zamin ne apni kitab tazkara sikandar azam aur pathan main koh namak aur yunan ki ost bulandi ko jawaz bataya hai.

Sikandar azam ki foji chaoni ke hawale se syed noor ali zamin ne apni kitab tazkara sikandar azam aur pathan main koh namak aur yunan ki ost bulandi ko jawaz bataya hai.

Sikandar azam ki foji chaoni ke hawale se syed noor ali zamin ne apni kitab tazkara sikandar azam aur pathan main koh namak aur yunan ki ost bulandi ko jawaz bataya hai.
logoblog

Thanks for reading Wadi Soon Sakesar Pictures Soon Sakesar Valley Location Travel Guide Sakesar History

No comments:

Post a Comment