Saunf Ke Faide Urdu Benefits Fennel Side Effects Saunf Ke Nuqsanat Saunf Fayde Hindi

  Lal Gulab      

Fennel Seeds Benefits Urdu Saunf Ke Faide Sonf In Hindi

Health Benefits of Saunf In Urdu: Karain aaj main ne ap ke liye soonf ke fawaid par mabni mazmoon chuna hai aur ap ke liye beshumar fawaid laya hon ta keh aap is ko istemal kar ke Khuda ki naimaton ka shukar baja lain. Soonf pak o hind, japan, hong kong, malta aur wasti europe main pai jati hai. Kaha jata hai ke is ki do iksam hain ek bastani aur dusri jangali. In mein se aik ko ham khud ugate hain aur dusri janglon main khud ro paida hojati hai. Soonf ke arkiyat aur rogniyat nikale jate hain. Jin ke beshumar fawaid hain soonf ka mizaj garam aur khushk hai.

Soonf ek khushboo dar beej hai jis ko ham mukhtalif khano main istamal karte hain jis ke istamal se hamare khane bhi khushboo dar ban jate hain. Darasal ye ek tarkari jise ham soya ka naam dete hain is ka beej hai. Soya ki patiyan pakane ke kam ati hain. Qadeem yunani log is ka istamal bohat zayada karte the. Lekin jadid dor main abi hum is ke fawaid se inkar nahin Karsakte. Khushboo dar hone ki waja se soonf ka istamal pan main kia jata hai jis se mun main badbu khatam hojati hai. Aur pan ka zaika bhi dobala hojata hai. Ab hum tibi lehaz se saunf ke fawaid dekhte hain.

Medical Benefits of Funnel In Urdu

  1. Soonf khana jald hazam karne main hamari madad karti hai.
  2. Saunf pait ke dard main mufid hai is ke khane se pait saf hojata hai.
  3. Benai ko taiz karti hai yehi wajah hai log funnel seeds ka zayada istemal kar ke is ke zayada soonf ke fawaid hasil kartay hain aur apni nazar ko behtar kartay hain.
  4. Sonf motape ko kam karne main madadgar hai is liye motapay mein mubtala log jinhain apna wazan kam karne aur smart nazar anay ka shoq hai woh saunf ka istemal karain.
  5. Zukam ki surat main soonf ke sath long pani main ubal kar piya jaye to faida hota hai.
  6. Kaan ke dard mein roghan soonf neem garam kar ke kan main dalne se aram milta hai.
  7. Soonf ka joshanda pait ke maror, riyah aur kabz ko khatam karta hai.
  8. Aisi main jin ko dodh kam ata ho agar pani main soonf mila kar pilaya jae to dodh barh jata hai.
  9. Arq saunf joron ke dard aur soojan main mufid hai is liye woh log jo joron ke dard ki shikayat kartay hain woh fennel seeds ka istemal lazmi karain.
  10. Motape ka shikar aurtain rogan soonf ko mutasira jaga par malish karen jis se charbi kam ho gi.
  11. Behra pan aur kano ke zakhmo main iska istamal faida mand hai.
  12. Kamzori dimag mein soonf ka istamal mufid hota hai yehi wajah hai zaheen bachay apni taleemi sargarmiyon mein funnel seeds use kartay hain.
  13. Gurde ki pathri main soonf ka istamal faida mand hai is liye zayada pani ke ilawa kidney stone khatam karne mein ye achi ghaza hai.
  14. Jigar ki kamzori main faida daiti hai yehi wajah hai kamzoor jigar wale log isay kasrat se istemal kartay hain.
  15. Agar masane ka worm ho tou soonf ka istamal fayde mand hota hai.
  16. Dant dard mein bhi funnel seeds use kiye jatay hain is liye teeth pain khatam karne ke liye saunf bari naimat hai.
  17. Soonf ke istamal se peshab khul kar ata hai jo log is bimari mein mubtala hain unhain funnel istemal karni chahiye.
  18. Aurton main haiz ki bekaidgi main soonf ka istamal mufid hota hai par had se zayada saunf khane se pehle apne doctor se puch lain.
  19. Seenay ki jalan main soonf ka istamal faida deta hai.

Ahtiyati Tadabeer

Seeds Funnel Side Effects Urdu Saunf Ke Nuqsanat

Hamla aurtain soonf ka istamal na karain pregnancy mein is se parhez kiya jata hai kyoun ke saunf ke side effects aisay hain ke is se pregnancy mein masail hotay hain is liye behtar hai is se hamal ke dinon mein bilkul door rahain. 2 saal se kam umar ke bachon ko roghan saunf istamal na karwain. Mirgi ke marez bhi is se ijtinab karain. Saunf ya iski patiyan zayada miqdar mein istemal na karen is se nasha ho sakta hai.
logoblog

Thanks for reading Saunf Ke Faide Urdu Benefits Fennel Side Effects Saunf Ke Nuqsanat Saunf Fayde Hindi

No comments:

Post a Comment