Salt Benefits Urdu Namak Ke Faide Namak Ke Nuksanat In Hindi Salt Benefits

  Lal Gulab      

Salt Benefits Urdu Namak Ke Fayde In Hindi Salt Khane Ke Nuksanat Disadvantages

Namak Ke Faide In Urdu: Agar salan mein namak siray se na ho ya kam ho tou aap ka rad amal kya hota hai? Yaqeenan khanon mein namak ki ahmiyat kafi hai lekin is hawale se hum aksar o baishtar apne mualjeen se suntay rahe hain keh namak ka istemal kam se kam rakhna chahiye kyoun ke is se blood pressure barh jata hai aur majmoi tor par sehat ko nuqsan pohanchta hai. Taham sachi baat ye hai keh ye adha sach hai aur dusri nisf sachai ye hai keh agar hum apne khanon mein zaroorat ke mutabiq namak istemal na karain tou hamari sehat ko sangeen nuqsan pohanch saklta hai yahan tak keh zayada age mein pohanchne se pehle hum dusri dunya mein pohanch sakte hain. Namak mein mojood sodium hamari sehat ke liye bilkul isi tarah naguzeer zaroorat hai jis tarah potassium. Taza tareen shawahid batatay hain keh agar khanon mein namak zaroorat se kam istemal kiya jaye tou is se qalbi sharyani bimariyon aur mooj ka imkan barh jata hai.

Amraz Qalb

Belgium ki university ke doctor ki qayadat mein researchers ke aik group ne aise 3681 arfad ka jaeza liya tha jin mein shuru mein high blood pressure ya amraz qalb ki koi alamat nahin thi. Is jaezay ke aghaz se lay kar 8 saal ke arsay ke doran ye dekha gya keh jin logon ne kam se kam namak istemal kiya tha un mein amwat ki sharah 500% zayada thi.

Blood Pressure

Bohat se logon ko ye jaan kar shadeed jhatka mehsoos ho ga keh namak ke parhez se blood pressure mein koi numayan kami waqia nahin hoti aur bohat se tibi jaezon se ye baat sabat ho chuki hai. 2003 mein aik jaeza Glasgow mein liya gaya tha jis mein ye dekha gaya keh jin logon ne taweel arsay tak namak kam istemal kiya tha un ka blood pressure ausatan 1.1mmHg kam hua tha. Namak mein bari had tak kami se heart attack ho sakta hai.

Kamzoor Hadiyan

Jism ko agar zaroorat ke mutabiq namak ke zariye sodium na milay tou is se aap ki bones bhi kamzoor ho sakti hain. Aik jaeze mein researchers ne Holland ke 55 saal se zayada age ke 5200 mardon aur khawateen ka jaeza liya tha aur ye dekha tha keh un mein se 8% afrad ne apne doctors ki hidayat ke mutabiq khane mein namak ka istemal mehdood kar diya tha taham is pabandi ke baes un mein rerh ki hadiyon ke fracture ka imkan 61% tha.

Kitna Namak Zaroori Hai?

Sara mamla aitdal ka hai jis tarah har chez ka zayadastemal nuqsan de hota hai usi tarah zayada namak khane ka nuqsan bhi hota hai jo sehat ko khatre mein daal deta hai. Zinda rehne ke liye humain puray din mein mukhtalif ghazaon aur mashrubat mein chai ke aik chamach ki maqdar namak lazman use karna chahiye us mein khuch izafa bhi mumkin hai jis ka inehsar is baat par hai keh kis mausam mein zindagi basar kar rahe hain aur aap ke jism se paseena kitni maqdar mein kharij ho raha hai.
logoblog

Thanks for reading Salt Benefits Urdu Namak Ke Faide Namak Ke Nuksanat In Hindi Salt Benefits

No comments:

Post a Comment