Salman Khan History Urdu Salman Khan Information Salman Khan Biography Interview Hindi

  Lal Gulab      

Hindi Salman Khan History Urdu Salman Khan Information Biography Life



Salman khan ke beshumar kise har taraf mashoor hain ek in ke bare main kuch kehta hai to dusre ke paas bayan karne ke liye bohat si baten maujood hoti hain lekin wo kahe kahe koi naya kaam injam dekar nae sire se logon ko chonka daite hain....... kis tarah inhon ne fine arts main apni salahiyaton ka izhar karke sabko mutasir kia tha? koi soch bhi nahin sakta ke wo brush aur paint ka istamal bhi jante hain aur is waqt jabke naqdain in ke carier ka ikhtatam likh chuke the "wanted" ke hamra inki dhamake dar wapsi hui phir iske bad inhon ne peche mur kar nahin daikha aj inki film dekhne keliye log cinema gharon par toot parte hain. Hairat ki bat ye hai ke pehle tamam logon ki taan o tashniah ka shikar rahne wala nojawan yaka yak puri qoum ki ankhon ka tara ban gaya.

Hamari website ke visitors ye yaqenan ye janna chahte honge ke kabhi "bad boy" ke name s pukara jane wala ye larka yakdam sab ke dilon par kaise kabiz hogaya aur kyun ek alim akhir iski har har ada par fida hai...... khuwa kisi qadar ahmakana kyun na ho? lehaza karain ki maloomat ke liye salman se mutalik purani filmain khangalne par inki shaksiyat ka wo rukh samne aya jo sabhi ke liye ab tak ajnabi hai. yayun kaise ke wo in baton ko logon ke samne zahir karte hue sharmate the taham yahi wo be sakhta aur masoo mana si aur batain hain ke jin ki bina par salman logon ka dil jeetne nain kamyab hue. aiye jante hain salman ke bare main kuch raaz ki batain.

*Is hakikat se to sab hi wakif hain ke salman khan yak ke baad degar kai martaba ishq ki bemari main mubtala hue. lekin ye bat koi nahin janta ke is khilandare se lover boy ne aj tak apni kisi mehbooba se "I love u" kah kar muhabbat ka izhar nahin kia kyun ke in ke liye ye 3 alfaz ada karna goys kisi pahar ka bojh uthane se bhi zayada mushkil hai.

*Salman ki muhabbaton aur dostiyon ke charche har so aam hain. industry ki ek se barh kar ek hassena in ke dam e ulfat main giraftar nazar ati hai. lehaza in ke bare main ye guman dor az kiyas nahin ke in hasseno ko apni janib mutawaja karne ke liye wo najane kia kia hath kunde aur tarike azmate honge lekin hakikat ye hai ke wo kabhi apni kisi manzoor nazar ko rejhane ki khatir candle light dinner par nahin legae na hi kabhi kisi larki ko surkh gulabon ka dasta ya choclate paish kiye. is ke bawajood agar larkiyan in ke gird shahad ki makhiyon ki tarah mandrati hain to wo in takulfat main na par kar thek hi karte hain.

*Salman pehli martaba filmi parde par "main ne pyar kyun kia" main adakari ke johar dikhate nazar ae aur sedhe film bino ke dil main utargae. "maine pyar kyun kia" ki bemisal kamyabi ki bina par log am tor se salman ki isi film ko in ka agaz khayal karte hain. Lekin bohat kam afrad is baat se wakif honge ke adakari shuru karne se kabal wo modeling main bhi kismat azmai karchuke the. College ki taleem mukamal karne ke bad inhon ne filmi dunya main bator assistant director bhi kam kia.

*Jis tarha salman hasseno par apne andaz main hi sahi, apni muhabbatain aur inayatain nichawar karne ke liye mashoor hain isi tarah apni mehboo baon ke sath inka gusha bhi khasi shohrat rakhta hai. Ye sub jante hain ke salman ko agar kisi bat par gusha ajae to wo apni apni girl friend ko sar am thapar raseed karne se bhi nahin hichkichate lekin salman ki ek anokhi khasusiyat ye hai ke wo is ke liye koi jawaz gharne ya taweel Paish karne ki koshish nahin karte. Na hi apne gushe keliye kisi girl friend ko kasoor war thahrate hain. Balke khud ye aitaraf karte hain ke main waqai ek mushkil boy friend hoon. Ye keh kar inhon ne goya apne bare main ki jane wali tamam kiyas araiyon ka gala ghont dia hai.

* Is haqiqat se bhi takriban sab hi bekhabar hain ke adakar banne se kabal salman ne 3 films ki script tahrir kie. Film "Baghi" in main se ek hai. Taham dusri do films "chandar mukhi" aur "veer" ka zikar karne ya na karne se farak nahin parta.

*Jab salman ne pehli martaba ek production house ko apni tasweerain dikhain to inhon ne sedha ise darwaze ka rasta dikhaya. Ehmak log ye nahin jante the ke in gair mutasir kun tasweeron ke peche kaisa mutasir kun adakar chupa hai.

*90 ki dahai main ek aisa nojawan, bandra ke ilake main rahne wali tamam larkiyon ka markaz nigha tha jo shirt utarde, be parda se andaz main apni jeep main har Taraf ghoomta phirta tha. Ye kayas karne ke liye ke wo nojawano kon tha. Kisi gair mamuli zahanat ki zarurat nahin. Kyunke shirt ke bagair ghoomna hamesha se salman hi ka pasandida mushgala raha hai.

*Ye bat sab hi jante hain ke salman mashoor film writer saleem khan ke bete hain ek zamane main jawed akhtar ke hamrah "saleem jawed" ke name se in ki jori khasi makbool rahi. Lekin ye kisi guman main bhi nahin hoga ke itne bare filmi musnif ka beta hone ke bawajood salman ne apne walid ki tahrir karda ek film main bhi kaam nahin kia.

*Ab salu bhai ke bare main ek intehai chonka daine wali hakikat bhi jan lijiye ke itne bare adakar hone ke bawajood kuch dino pehle tak wo apne mawze ke tamam checks daddy ke supurd kia karte the. Pyara bach....! Behar hal, sun ne main aya hai ke ab salman ne bila akhir apne mali mamlat ki daikh bhal keliye ek egency ki khidmat hasil karli hain.

* Salman ki zindagi main Anewali ek khatoon aisi hai ke jo bila gana inhain apne khuwab dikhti hai. Lekin koi andaza kaim karne main jaldi na karen kyun ke wo khatoon salman ki english teacher hai inhon ne school dor main khub khub sataya tha aur aj bhi darane ke liye in ke khuwabon main puhnch jate hain.

* Salman ke walid, saleem khan inke bare main kahte hain ke " is ka har masla rat ke giyara baje se lekar 3 baje tak hota hai... Han!"

* Woh kabhi apni filmo par likhe gae tabsare nahin parhte.

* Woh abi tak apni sabqa girl friend, Somi Ali ke sath rabte mein hain. Musadika zaraye ke mutabik Salman ne hal hi main somi ko dubai main ek flat kharid kar dia hai.

* Wo is bat par bare hairan hote hain ke box office pandit in ke kam ko itni sanjeedgi se lete hain. Jabke wo ise hanste khailte anjam dete hain. Kismat hai bhai....!

*Jab kapron ke intekhab ka mamla ae to salman hamesha achi fitting ko hi tarji daite hain achi fitting ke bais wo sasti shirt bhi kharid kar pehn lete hain lekin bare se bare designer ki kharab fitting wali shirt ki janib nigah karna bhi pasand nahin karte.

* Jab woh film "Tere naam" ke liye ganje hue to inhain apni ye waza is qadar bhai ke inhon ne apne makeup man aur spot boy ke sar bhi mundwa diye... Chich chich..... Bechare!

* Salman jaise bold insan ke bare main ye jan kar ap hairan honge ke kareena kapoor ke sath kam karte hue wo be had sharmate hain. Is ki waja ye hai ke inhon ne kareena ko bohat chota sa dekha tha jab wo 6 sal ki then aur frok pehne inki film ke set par ghooma karti thi.

*Woh mahaz do din main apni kamar ka size 32 inch se ghata kar 30 inch kar Sakte hain. Kash salman ye raz hamain bhi bata daite ke do dino main wo akhir kya jadu karte hain.

*Woh guzishta 7 sal se ek shadid kism ke azabi marz main mubtala hain is arze ke bais wo sahi tor se bol pate hain na adakari karsakte hain chehre ke asab ke mutalik ye arza paishani, rukhsaron aur jabre main nakabil bardast dard ka bais banta hai. Kaha jata hai ke is marz ki waja se dunya bhar main sab se zayada afrad khud kushi karte hain.

*Jab se wo is mozi marz main mubtala hue inhain mahaz ek omlate khatam karne ke liye dedh ghanta darkar hota hai. Sharab ke 2,3 jam pene ke bad kahen jakar wo kuch khane pene ke kabil hote hain kaha jata hai ke alcohol inke asab ko shal karti ja rahi hai.

*Salman ko sun glasses dhoop ke chashme kharidne aur inhain jama karne ka bohat shoq hai. Logo ko yakenan is bat ka ilam nahin hoga ke salman chasmo ke apne is qeemti zakhire par bara fakhar karte hain.

*Aik martaba unhain maloom hua ke in ke sath film set par kam karne wali 35 khawateen ko pehn ne keliye sarhiyan darkar hain. Inhon ne foran apne ek mulazim ko bazar bhaij kar sariyan mangwali aur karkun khawateen main takseem kardi.

*Aik martaba salman ne film "Janeman" ki shooting ke doran is waqt director suresh kundar ki van ke bahir "Do Not Distrub" ka board laga dia jab wo apni van main aram kar rahe the. Zahir si baat hai ke is ke bad kisi ne inhain distrub karne ki jurat nahin ki. Phir jab suresh set par khasi takhir se puhnche to salman ne inhain khub cherha. Is par suresh ji ka jo hal hua hoga is ka ap khob andaza laga sakte hain.

*Salu ko jadid technology se kuch dilchaspi nahin hai. In ka har andaz nirala hai so inhain apne bhai arbaz se shikayat hai ke is ne kha makha inhain twitter se mutaradif karadia....!

*Jab wo apni car se ek shakhs ko marne ke ilzam main jail main the tab apne sathi qaidiyon ki khatir sab ke liye ghar ka paka hua khana mangwate the. Ye bhi kaha jata hai ke reha hone ke bad salman ji ne jail main kaidiyon ki tafrih tabah ke liye Tv set bhijwae the.

*In ka kahna hai ke mayusi aur depression ki kafiyat se nikalne ke liye wo apne ird gird maujood kismat ke mare logo par nazar dalte hain aur phir foran khuda ka shukhar ada karte hain.

*Salman ka khayal hai ke log in ke liye 5 minute se zayada khare nahin hosakte jabke in ki films ki kamyabi aur box office se hasil ki jane wali kaser amdani kuch aur kahti hai.

*Unhon ne 13 sal ki umar main dating shuru ki aur ye silsila aj tak jari hai.

*Zara andaza lagaiye ke film " Bazigar" ke liye bator hero pehla intekhab kon tha? Ji... Is martaba ap ka andaza bilkul durust hai ye salman khan hi the. Behar hal salu ji ke pas films ki kami thori thi.

*Salman ka khayal hai ke biography ki shakal main apne halat zindagi tahreer Karne ka koi sawal hi nahin paida hota. Kyun ke sach wo bayan karenge nahin aur jhoot main zahir hai kisi ko dilchaspi nahin hogi. Ye to bilkul sach kaha salman ne!

*Salman bachpan main apne walid se bohat darte the kyun ke jab wo chote the to ek martaba inhon ne apni balkoni main akhbar jala kar ag laga di thi. Is ke bad zahir hai ke daddy ne in ki khub pitai lagai. Taham in ke chote bhai arbaz khan bachpan main daddy ki mar khane se bache rahe. Is ki waja ye thi ke salman hamesha inhain bachane ke liye puhnch jate the. Kitni pyari baat hai ke bhai ki muhabbat, daddy ke dar par bhi ghalib ajati thi.
logoblog

Thanks for reading Salman Khan History Urdu Salman Khan Information Salman Khan Biography Interview Hindi

No comments:

Post a Comment