Qabz Ka ilaj Urdu Constipation Treatment Qabz Home Remedies Hindi Qabz Ka Desi ilaj

  Lal Gulab      

Qabz Ka ilaj Urdu Constipation Treatment In Urdu Qabz Ka Gharelu ilaj In Hindi

Qabz ko dor karne aur is se chutkara pane main adwiyat ke bajae qudarti gharailu nuske ya tadaber behad mufed aur kargar sabit hoti hain. Kyunke ye jism par kisi bhi kism ke manfi asrat martab nahin karte.

Qabz Ka Desi ilaj Fruits Aur Vegetables Se Aur Qabz Ki Alamat Symptoms

Shehad, dalia, dalain, gandum ki ashia, hari aur reshe dar ghizain jaise ke hari phaliyan, band gobi, gajar, palak, chakundar, alu, shaljam aur phal jaise ke papita, angor, nashpati ka istamal insan ko sehat mand aur qabz se dor rakhne main madad daite hain. Junk food aur daba band ghizaon ke istamal se guraiz karain. Kyoun ke ye na sirf sehat ke liye nuksan da hoti hain balke anton ki sargarmiyon ko bhi sust karne ka bais banti hain, kyunke in ghizaon main fibre mojood nahin hota jo anton ko qudarti tor par harkat dene main madad deta hai. Is liye zaruri hai ke apni ghiza mein tabdeeli lekar ayen.

Gharelu Upay For Constipation: Tazah sabziyan aur phal istamal karen, safaid chawal ke bajae brown rice istamal karen aise chawal istamal na karen jis par polish ki gai ho. Gosht ka istamal kam karden aik waqt ka bhi khana na chorain baqaidgi se waqt par khana khaen aur rat ko dair se khana khane ki adat ko tark karne ki koshish karen. Kyunke rat ke waqt insan ka metabolism bohat sust hota hai jis se ghiza ko hazam hone main waqt lagta hai in tamam chezon ke istamal se guraiz karen jo safaid refine bagair bosi wale ate se banai gai hon jaise ke double roti, cake, pastry, biscuit, paneer ya mehfooz ki gai daba band ghizaen iske ilawa sakht ubla hua anda bhi qabz ka mojib ban sakta hai.

Is ke ilawa apne khano main zera haldi aur sokhe dhanie ka istamal zarur karen kyunke ye chezain ghiza ko hazam karne main mawan sabit hoti hain.

20 Constipation Gharelu Nuskhe Fori ilaj Aur Na Koi Side Effect

Honey And Lemon

Subha nihar munh aik glass neem garam pani main ek chae ka chamch shehad aur adha lemo ka ras shamil karke pena qabz ke liye behad mufid hai.

Wafir Mikdar Mein Pani Piyain

Rozana kasrat se pani piyain am tor par 6-8 glass pani na sirf khane ko achi tarah hazam karne main madad daita hai balke tamam ghizai ajza ko puri tarah jazo badan banne mein eham kirdar ada karta hai. Pani ka wafir mikdar main istamal insani jism se jarasem kash aur fasid madon ke ikhraj aur insani nizam ki androni safai ke liye behad mufid hai. Is post ko parhain jo ke pani se mutaliq hai aap ko khud andaza ho jaye ga ke pani kis tarah taqreeban har bimari se bachane ka zariya hai.

Anjeer

Anjeer ka istamal qabz kusha asrat martab karta hai. 4-5 anjeer ko rat bhar keliye thore se pani main bhigo kar rakhdain aur subha nihar mun chaba kar khalain qabz ke tadrak keliye anjeer nihayat hi pur asar qudarti ilaj.

Sangtara

Vitamin c se bharpur sangtara ka istamal qabz ke liye behad faida mand sabit hota hai rat ko sone se pehle aur subha ek ya do sangtaron ka istamal na sirf ghiza ko hazam karne main madad daita hai balke anton ki harkat ko bhi fal batata hai.

Angoor

Qabz se chutkara pane ke liye angoor ka istamal nihayat hi pur asar sabit hota hai angoor main shamil salulose shakar aur namyati acid ka imtizaj angoor ko qudarti qabz kusha ghiza banane main madad daita hai. Angoor na sirf made aur anton ko fal batata hai balke daimi qabz keliye bhi behad faida mand hai rozana kam az kam 350 taza angoor zarur khain. Agar taza angoor dastiyab na hoto 10-12 bejon ke bagair khushk angoron ko doodh main bhigo kar rakhain aur phir ubal lain thanda hone par is doodh ko pene ke bad is main shamil angoron ko bhi chaba kar khalain. Grapes ko raat ke waqt istamal karna qabz keliye zayada mosar sabit hota hai.

Nashpati

Aam tor par tamam phal sawae kele aur jack fruit ko chor kar qabz ko dor karne main bohat eham kirdar ada karte hain jis main nashpati bhi shamil hai jo afrad damai qabz main mubtala hain inhain nashpati ko apni ghiza ka hisa zarur banana chahye. Kuch dino tak nashpati ka juice piyain raat ke khane ke baad subha ke nashte ke sath nashpati ka istamal qabz ko khatam karne main jadui asrat martab karta hai.

Amrood

Bejon ke sath amrood ka istamal qabz keliye behtren qudarti tadrak hai kyunke ye ghiza ko sakht aur reshe dar banane main madad daita hai. Amrood ka bakaida istamal jism se fazle ke ikhraj ke amal ko normal batata hai har roz kam az kam ek ya do amrood zarur istamal karain.

Palak

Hairat angaiz ghizai khasosiyat ka hamil, palak ka istamal na sirf nizam hazma ko behtar btata hai balke bol o baraz ke nizam ko bhi saf rakhne main madad daita hai. Kachi palak ka juice qabz ko rokne aur daimi qabz se chutkara pane main madad daita hai. 100 ml kachi palak ke juice main itni hi mikdar main pani mix karke rozana do martaba zarur istamal karen. Shadid kism ki qabz bhi chand dino main afaka hojaega.

Alsi Ke Beej

Tibi khasosiyat ki hamil alsi ke beej qabz ke liye behad faida mand hain. 3-4 beej sada pani ke sath har khane se pehle istamal karain iske ilawa ek glass pani main ek chamch alsi ke beej shamil karke ise 3-4 ghanton keliye para rahne dain phir rat ko sone se pehle is pani ko piyain agle din apko normal ajabat mehsus hogi.

Molathi

Agar har roz molathi ki chand tukriyan chabali jain to ye qudarti qabz kusha ke tor par amal karaingi.

Papita

Papita ko behtreen qudarti qabz kusha phal tasawar kia jata hai nashte ke waqt adha darmiyane size ke papite ka istamal qabz ko dor karne keliye behad mufid sabit hota hai.

Sunflower Seeds - Suraj Mukhi Ke Beej

Suraj mukhi(sun flower) ke beej ek chae ka chamach, badam aur alsi ke beej 2-3 adad lain aur inhain pees kar barik powder banalain aur takriban ek hafte tak phalon ke juice ya phir salad ke sath is qudarti harbal powder ka ek chamch zarur karain. Kabz se mutalik tamam masail ke tadrak main ye nuska nihayat hi par asar aur nafah bakhsh sabit hota hai.

Zaitoon Ka Tail

Adha cup zaitoon ke tail main adha cup sangtare ka juice milakar piyain qabz keliye pur asar gharailu totka hai.

Soonf

Soonf ke bejon ko ek glass neem garam pani main shamil karke har roz sone se pehle piyain sonf na sirf nizam hazma ki karkirdegi ko behtar banati hai balke qabz ko bhi dor kardaiti hai.

Castor Oil

Agar ap daimi qabz main mubtala hain to garam dodh main do beej castor oil ke shamil karke piyain is nuske ko ek din chor kar istamal karen qabz keliye nihayat faida mand hai.

Tanbe Ke Bartan Mein Pani Piyain

Raat ko tanbe ke jag main pani bhar kar rakhain aur subha nihar mun is pani ko piyain qabz ke liye behad mufid hai.

Saib Ka Sirka

Saib ke sirka aur alsi ke beej ka istamal qabz keliye nihayat hi umda nuska hai ek glass pani main ek chae ka chamch alsi ke beej shamil karke is garha hone tak ubalain aur thanda hone par adha khane ka chamch saib ka sirka shamil kardain is qudarti harbal mixture ko ap subha ko istamal karsakte hain jiske insani sehat par koi bhi munfi asrat martab nahin honge,

Isabgol

Isabgol qabz ko rokne aur anton ko faal banane main nihayat hi eham kirdar ada karti hai ek glass pani main ispagol shamil kar ke ise subha nihar mun piyain. Ispagol ka istamal bari ant ke zairain hise ko fal banane main mufid sabit hota. Dafiah qabz ke liye pur asar jelly: 100gram safaid gulab ki taza patiyan ek khane ka chamach lemo ka rus do khane ke chamach sangtara ke ras do chamach shafaf khalis shehad aur 450gram gane ki cheeni aur 150ml pani ko stainless pain main dal kar chulhe par rakh dain jab cheeni hal hone lage to is main gulab ki patiyan shamil kardain aur is waqt tak chamach hilati rahen jab tak patiyan is main puri tarah tehleel na ho jain ab is mixture ko thanda hone par seal karke rakh dain rozana is jelly ka ek chamach istamal karain.

Yaga Ya Warzish

Baqaidgi se yoga karna, jismani sargarmiyon main hisa lena jaise ke swimmin, walking, wagera na sirf qabz ke khatrat ko kam karta hai balke insani jismani tor par bhi chust aur sehat mand rahta hai.
logoblog

Thanks for reading Qabz Ka ilaj Urdu Constipation Treatment Qabz Home Remedies Hindi Qabz Ka Desi ilaj

No comments:

Post a Comment