Plum Benefits Urdu Aloo Bukhara Ke Faide Alu Bukhara Ke Fawaid Hindi

  Lal Gulab      
Plum Benefits In Urdu Aloo Bukharay Ke Faide Aloo Bukhara mausam garma ke phalon mein se qudrat ka aik anmool aur sasta aur bay shumar shafa rakhne wala phal hai. Mausam ki munasbat se qudrat ne is ka mazaj sard o tar rakha hai jo keh mausmi asrat se paida hone wale garam amraz ke liye apne andar be shumar health benefits ka zakheera rakhta hai. Alu Bukhara ki aik khas qisam Russia ke shehar Bukhara mein paida hoti hai. Pakistan aur India ke ilawa degar countries mein bhi Aloo Bukharay paida hote hain. Pakistan mein bhi is ki kayi aik iqsam market mein farokht hoti hain jo keh tamam mazajon aur fawaid ke aitbar se yaksan tasawar ki jati hain.

Is khush mizaj aur hayateen bharay phal mein qudrat ne gosht paida kerne wale ajza ke ilawa folaad, calcium ke ajza bhi kafi zayada hote hain is qudrati fruite mein  glucose bhi kafi maqdar mein payi jati hai.  Isay plum fruit bhi kehtay hain is sastay phal mein Vitamin A B aur C bhi shamil hote hain. Is naqsha ko samne rakhte hue ghoor kiya jaye tou ye phal hamari ghazai zarooriyat ko pura karne mein kisi qadar kam nahin. Hamare jo bhai apne jism mein calcium aur iron ki kami mehsoos karte hon woh plum ko istemal kar ke is kami ko pura kar sakte hain. Qudrat ne Alu Bukharay mein jigar pitay ki bimariyon ka ilaj rakh diya hai.

Zayada tar mausam garma mein pitay aur jigar ki kharabi ki wajah se yarqan jesa muzi marz kayi tandrust admiyon ko lahaq ho jata hai jis mein mareez ke saray jism par pelahat ankhon ka rang bhi zard hoti hain aisay mareezon ke liye aloo bukhara behtar hai. Aisay mareezon ko plum fruit paka hua kalay rang ka din mein 2 - 3 martaba 100 garam aur is ke sath zeera safaid aur ghu kharu (khush pubjani behkra) barabar wazan safoof bana kar pani ke sath 3 - 3 mashay istemal karne se chand bhi dinon mein yarqan wale mareezon ko shafayab hote dekha gaya hai. Isi halat mein aloo bukhara yarqan ke mareezon ke liye aik zud hazam ghaza ka kaam bhi deta hai jo keh mareez ke liye zaroori hoti hai is ke ilawa aisay mareez ko dalia chawal waghera istemal karna chahiye.
logoblog

Thanks for reading Plum Benefits Urdu Aloo Bukhara Ke Faide Alu Bukhara Ke Fawaid Hindi

No comments:

Post a Comment