Pait Kam Karne Ka Tarika Urdu Pait Ki Charbi Khatam Karne Ke Tips Hinde Totke Upay Ghareelu

  Lal Gulab      

Pait Kam Karne Ka Tarika Urdu Pait Ki Charbi Kam Karne Ki Tips Hindi Mein

Ghareelu Nuskhe: Hosh raba taiz raftar zindagi, fast food aur warzish ki kami ka natija pait ki charbi ki surat main nikalta hai aur is se na sirf insan badbiyat lagta hai balke barha hua pait amraz kalb, blood pressure aur degar kai amraz ka paish khaima bhi hosakta hai. Tib mashrik aur ayurvadik tarika ilaj main barhte hue pait ko kam karne ki kai tadabir maujood hain jin par amal karke pait aur sene ko ek had tak ek hi satah par laya jasakta hai lekin is main mustakil mizaji aur sabar ki zarurat hai kyun ke pait na ek hafte main barhta hai aur na hi ek hafte main kam kia jasakta hai. Is keliye tib mashrik ki ye 8 tadabir bohat faida mand hosakti hain.

Din Ki Ibtada Lemo Ke Ras Se Karain

Apne din ki shuruat lemo ke ras se kijiye, ek glass nem garam pani main lemo ka ras shamil karke chutki bhar namak daliye aur pi jae iska rozana istamal na sirf apke jismani afal ko behtar rakhta hai balke rafta rafta barhe pait ko kam karta hai.

Safaid Chawal Se Ijtinab

Safaid chawal yani white rice ka istamal kam kardijiye aur iski jaga bhura chawal mufid rahega. Iske ilawa brown bread, jo aur daliye wagera ko apni ghiza ka hisa banaiye jis se fibre ki kami dor hogi aur dusri janib charbi galane main madad milegi.

Mithas Ko Khuda Hafiz

Shakar aur is se bani ashiya ka istamal band karna agar cha mushkil hai lekin is se parhaiz zaruri hai. Yad rahe ke soft drinks bhi inhi main shamil hain jo apne andar bohat cheeni rakhti hain. Dusri janib shakar wale mashrobat main tail maujood hota hai jo pait aur rano samait jism main kai makamat par charbi barhata hai.

Pani Ka Zayada Istamal

Agar aap kamar ki chorai kam karne main sanjeeda hai to zayada pani pena bhi iska ek behtren totka hai, pani khoon main shamil hota hai aur chiknai ke salmat ko gulata hai jabke zayada pani pene se badan ke Zaherile markabat kharij hote rahte hain.

Nihar Munh Lehsan Ka Istamal

Har subha desi lahsan ka ek ya do jo khana bohat mufid hota hai. Agar lehsan ka jo cheel kar ise chamche se pees kar khaya jae aur sath hi is par lemo ka pani pi liajae to ek janib to khoon ki rawani behtar hoti hai aur dusri janib pait ki charbi kam karne main madad milti hai.

Gosht Khate Rahain

Pait kam karne ke liye mukamal sabzi khor ban na durust nahin kyun ke gosht main maujood kuch eham ajza ka mutaba dal bhi gosht hi hai. Murgi aur machli ka istamal zayada munasib rahega.

Taza Sabziyon Aur Phaloon Ka Istamal

Sabziyon aur phaloon ka istamal barhane se pure jism ko faida hota hai, isliye har mausam ki sabzi aur phal ko apni khorak ka hisa banaiye in main maujood vitamin madniyat aur anti oxidant apko taro taza rakhte hue ghiza ki kami ko pura karti hai aur rogni ghizaon se dor rah kar ap smart rahenge.

Masalon Ka Munasib Istemal

Bar  e sagheer pak o hind ke masale jadui khawas rakhte hain dar chini blood presure aur sugar main mufeed hai to haldi anti oxidant ajza se bhar pur hai. Kali mirch, dhania, adrak aur meethi ke faide bhi ab dhake chupe nahin rahe, inka munasib istamal apke khoon main shakar ki mikdar control main rakhta hai aur motape ko bhi pare rakhta hai.
logoblog

Thanks for reading Pait Kam Karne Ka Tarika Urdu Pait Ki Charbi Khatam Karne Ke Tips Hinde Totke Upay Ghareelu

No comments:

Post a Comment