Naiki Ka Badla Story In Urdu
Naiki Ka Badla Kahani In Urdu: Aik ghanay darakht mein bohat se parindon ne apne ghonsle bana rakhe thay. Un mein aik ghonsla fakhta aur dusra kawe ka bhi tha. Youn tou fakhta aur kawe ki dushmani bari mashoor hai kawe fakhtaon ke ande kha jate hai magar yahan jis kawe aur fakhta ka ghonsla tha wo apas main bohat ache aur hamsaye thay. Jub kawa kahin jata to fakhta ko apne ghonsle ka khayal rakhne ko kehta. Isi tarah jab fakhta kahin jati to kawa us ke ghonsle ka khayal rakhta.Din isi tarah hansi khushi guzar rahe the ke aik raat sakht tofan aya. Kayi darakhton ki tahniyan toot gayi kayi jar se ukhar gaye. Kawa aur fakhta apne apne ghonslon main apne ghar aur darakht ki salamati ki duain mangne lage jahan par in ke ghonsle the lekin Khuda ko khuch aur hi manzoor tha.
Aik taiz hawa ka jhonka aya aur fakhta ka ghonsla darakht se ur kar khaiton main jagira. Hawain itni taiz chal rahi thi ke kan pari awaz sunai na deti thi. Jab tufan Zara thama aur hawain kuch ahista hui to kawe ne fakhta ko awaz di. "Fakhta behan khariyat se to hona" lekin is ko koi jawab na mila. Is ne 3, 4 dafa fakhta ko pukara lekin jawab na pa kar sakht ghabraya aur apne ghonsle se nikal kar fakhta ke ghonsle ke kareb aya magar wahan to koi ghonsla na tha. Ab to kawe miyan sakht pareshan hue. Sath wali tahniyon par dekha ke shayad hawa se idhar na chala gaya ho lekin afsoos fakhta ka ghonsla kahen dikhai na desaka. Ab kawe miyan ne jugnu ke ghar ka rukh kia aur ise bataya ke iski hamsai fakhta ghonsle samait kahen gum hogai hai. Raat bohat andheri hai tum mjhe ise talash karne main kuch madad do. Jugnu foran kawe ke sath chal para. Ab jugnu age age tha aur kawa peche. Iski roshni main fakhta ko talash kar raha tha. Akhir ek khait ke kone par fakhta ka ghonsla para dikhai dia. Kawe ne jugnu ko awaz di. " Bhai thahro! Wo raha fakhta ka ghonsla". Jugnu fakhta ke Ghonsle ke kareb puhnch gaya jo khait main ondha para tha. Kawe ne ghonsla sedha kia. Fakhta aur is ke bachon ko kafi chotain ai thi. Akhir itni bulandi se gire the. Wo to khair hui ke kisan ne isi din khait ki mati naram ki thi warna inka bachna mushkil tha. Kawa aur jugnu mil kar fakhta ko tasali daine lage ke sab thek hojaega tum himat rakho. Subha ko fakhta ka ghonsla utha kar darakht par le aya. Ab is ne fakhta ka ghonsla apne ghonsle ke bilkul sath wali tahni par lagaya aur fakhta aur is ke bachon ke liye dana danka lekar aya. Kyun ke wo zakhmi the. Khud dane danke ki talash main na jasakti thi. 3, 4 roz ke bad fakhta thek hogai aur khud dane ki talash main jane lagi. Is wakiye ke bad fakhta kawe ko apna hakiki bhai khayal karne lagi. Wo is ka bohat shukria ada karti aur aksar kahti khuda kare main tumhare ehsan ka badla chuka sakoon.
Kawa hans kar kahta ye to mera farz tha akhir hamsaye kis liye Hote hain. Mushkhil main kaam ane ke liye aur kis liye? Fakhta bhi hans deti. Fakhta ek khait main aksar dana chun ne jati thi. Is khait ki ek taraf ek ghana darakht bhi tha jis main ek newla rahta tha. Fakhta ko wo newla bohat acha lagta tha kyun ke kai dafa wo dane phaink daita aur fakhta chug leti. Din is tarah guzar rahe the ke ek din ek bara sa sanp kahin se ah nikla. Is ke sath ek chota sanp bhi tha. Wo apas main batain karne lage ke kawe ke ande khane main jo maza hai kisi aur parinde ke andon main nahin. Ittefaq se fakhta karib hi bethi ye sab batain sun rahi thi. Sanp ahista ahista darkht ki taraf ah rahe the. Fakhta foran urgai aur apne newle dost ko bula lai sanpon aur newlon main zabardast larai hui aur akhir newle ne dono sanpon ka khatma kardia aur is tarah kawe miyan ke andon ko bacha lia. Sham ko jab kawa wapis aya to darakht ke karib do murda sanpo ko daikh kar fakhta se puchne laga ye Kya majra hai? To fakhta ne tamam aihwal bayan kardia. Kawe miyan ne bi fakhta aur is ke dost newle ka shukria ada kia to fakhta kahne lagi. " Bhaiya ek dafa tum ne meri aur mere bachon ki jan bacha thi. Ab khuda ne mujhe moka dia to maine apna farz ada kardia aur tumhare andon ki hifazat ki. Is main shukriye wali koi baat nahin". Dono khush khush apne apne ghoslon main chale gae. Sach hai Naiki kabhi raigaa nahin jati aur Naiki ka badla Naiki hi hota hai. Hamein bhi chahye ke dusron ki naiki ko yaad rakhain aur waqt ane par dusron ki madad zarur karain.
No comments:
Post a Comment