Mango Benefits In Urdu Aam Ke Faide Hindi Mango Ki Taseer Fawaid

  Lal Gulab      

Mango Benefits In Urdu Aam Ke Fayde In Hindi

Aam Ke Faide In Urdu: Mausam garma aur garma ka mausam barsaat ka maza phaloon ke badshah salamat aam ke bagair adhura hai. Mard ho ya aurat bache hon ya burhe har fard ko mausam garma ke agaz ke sath hi is laziz phal ka shidat se intezar hota hai. Aam barsager pak o hind ka qoumi phal hai, isi bais ise pakistan o bharat mein phaloon ka badshah samjha jata hai. Log is ke methe zaike aur nirali khushboo par jan chirakte hain. Urdu aur farsi ke mumtaz shair, ameer khasro ne aam ko "fakhar gulistan" ka khitab dia tha. Aik bar akhri mughal badshah bahadur shah zaffar baag ki sair farma rahe the. Mirza galib bhi in ke hamrah the jo par tajsus nazron se aam ke darakhton ko daikh rahe the. Badshah ne pucha: "mirza sahab! Aap darakhton ko itni gehri nazron se kyun daikh rahe hain?" jis par mirza sahab goya hue "mein ne apne buzurgon se suna hai ke jo she jise milni ho is ke dane dane par is ki mohar lagi hoti Hai. Mein daikh raha hon ke kisi par mere naam ki mohar lagi hai ya nahin" ye sun kar bahadur shah zaffar muskurae aur mirza sahab ka matlab samjh gae, inhon ne amo ki aik tokri mirza sahab ko bator tohfa bhejwai. Is wakia se zahir hota hai ke mirza galib ko aam se kitni ragbat thi.

Dilchasp baat ye hai ke 20sadi mein urdu ke azeem taren shair Allama iqbal bhi aam ke behad shoqeen the. Nojawani mein aap ka dastoor tha ke amo ki dawaton mein sharik hote in dawaton mein ehal lahore sairon aam kha jate the. Mirza galib ke bakool aam mein 2 khasusiyat honi chahye awal wo meethe hon, dom ba kasrat hon." Aam tibi lehaz se bhi bara mufid phal hai. Malte ki tarah ye bhi vitamin c ka khazana rakhta hai. Sirf aik piyali aam khane se vitamin c hamara mamon nizam mazbut karta aur hamen amraz se bachata hai. Aik piyali aam mein takriban 50 milli gram vitamin c milta hai. Aam mein aik aur eham vitamin A bhi hai. Aik piyali aam hamari rozana ki 35 fesad ghizai zarurat puri karta hai. Vitamin A benai mazbut karta hai. Naiz wo jild ke liye bhi mufid hai. Aam mein vitamin B vitamin A vitamin K, thymine, riboflavin, folat, nainain bhi milte hain ye sabhi insani tandrusti ke liye bohat zaruri hain madniyat mein sab se zayada tanba aam mein milta hai is ke baad potassium, magnesium, calcium, magnese aur folad ka number hai. Ye sabhi madniyat apne apne tor par insan ko tandrust o tawana rakhte hain mahren tib ke mutabik aam khane se khoon barhta hai, chunach khoon ki kami ke marez is se bharpur faida utha sakte hain.

Aam Ki Taseer

Aam ki taseer garam hai is liye aam khane ke bad doodh ki lasi pena munasib hai. Atba ki ro se aam dil, dimag, lungs, made, anton, gurde, masane, dant aur ankhon ko taqat daita hai. Kabz kusha aur peshab awar hai. Hamla khawateen ke liye taqat bakhsh ghiza hai. Ye wahid phal hai jo apni afzaish ke har marhale Par kabil istamal hai. Warna beshtar phal sirf pakne hi par khae jate hain. Kache aam ka achar bohat laziz hota hai. Haqiqat ye hai ke barsager pak o hind ke aam admi ki zindagi mein aam bari ahmiyat rakhta hai. Aam ki kai iksam hain jin ki tadad 450 tak puhnchti hai, jin mein mashoor iksam desi, chonsa, dashari, fajri, langra, saharni, sindhri aur anoor ratol mashoor hain.

Multani Aam

Multan ka chonsa aam pechle dus pandra baras ke doran na sirf pakistan balke dunya bhar mein makbool taren aam ban chuka hai, ye jisamat mein bara hota hai magar nehayat shereen goda aur apni makhsoos khushboo rakhta hai. Jabke langra aam Allama iqbal ko bohat margoob tha. Aik mashoor shair Akbar Ala Abadi ne Allama iqbal ko langre amo ka tohfa bazaria dak bhejwaya, Allama iqbal ne parcel ki rasid par ye yadgar misrah likh bheja. "Alahbad se langra chala, lahore tak puhncha" chonke sindh mein garmiyon ka agaz pehle hota hai is liye Sindh ke sindhri Aam fasal pehle tayar hokar market mein ajati hai kaha jata hai ke aam ki is kisam ki kasht sab se pehle marhoom wazir Azam Pakistan, Muhammad khan junejo ke khandan walon ne ki thi, ye aam bhi bara meetha aur rasila hota hai aur iski paidawar kaseer tadad mein hoti hai chonke ye kisam amo mein sab se pehle ati hai is liye hakumat pakistan aksar sindhri aam hi beruni mumalik ke sarbarahon ko bator tohfa bhejwati hai.

Aam Ki Paidawar

Dunya bhar mein har sal takriban 4 crore tin Aam ki paidawar hoti hai is rasile phal ki 4o fesad paidawar bharat mein hoti hai is ke bad china, thailand, indonesia aur pakistan ka number ata hai. Watan aziz mein har sal 18 se 19 lakh tin ke lag bhag aam ki paidawar hoti hai watan aziz mein kisi season ye phal kaseer tadad mein hota hai to itna sasta hota hai ke aam admi bhi kharid sake jabke kabhi kabhi garibon ki puhnch se dor bhi hojata hai. Awla iksam aur quality ka aam Zayada tar export kia jata hai. Pakisan se ye laziz taren phal mashrik wasti, europe aur america samet darjano mulkon ko bar amad kia jata hai. Aam ki paidawar to kai mulkon mein hoti hai magar mithas, lazat aur zaike mein pakistani aam aur pakistan ke ilakon mein sab se zayada multan ka aam dunya bhar mein mashoor hai. Aam ki fasal ki tayari ke sath hi andhiyon ka silsila shuru hojata hai jin ke bais bohat se aam darakhton se jhar kar zaya hojate hain. Aam ke season mein aam se lade darakht aur dukano par rangeen tokriyon mein saje aam daikh kar aam ki lazat mun mein kholne lagti hai. Ye shaireni phal ehal Nabi Nooh insan ke liye qudrat ka Awla taren tohfa hain.
logoblog

Thanks for reading Mango Benefits In Urdu Aam Ke Faide Hindi Mango Ki Taseer Fawaid

No comments:

Post a Comment