Kalabagh Dam History Urdu Essay Kalabagh Dam Issue In Urdu Kalabagh Dam Advantages

  Lal Gulab      

Tareekh Kalabagh Dam History In Urdu Essay Kala Bagh Dam Issue Urdu

Information Kalabagh Dam Mazmoon Aur Maloomat Kalabagh Band hakumat Pakistan ka pani ko zakhira kar ke bijli ki paidawar aur zarai zamino ko sairab karne ke liye ek bara mansuba tha jo ta haal mutanaza hone ki waja se kabil amal nahin hosaka. Is mansuba ke liye muntakhib kia gaya makam kalabagh tha jo zila mian wali main wakia hai. Zila mian wali suba punjab ke shumal magrabi hise main wakia hai. Yad rahe ke zila mian wali pehle suba khyber pakhton khuwa ka hisa tha jise ek tanaza ke bad punjab main shamil kar diya gaya.

Kalabagh band ka mansuba is ki tayari ke marahil se hi matanaza raha hai. December 2005 main is waqt ke sadar general parvaiz musharaf ne ailan kia ke, " wo pakistan ki wasi tar mufad main kala bagh band tameer karke rahenge". Jabke 26 may 2008 ko wafaki wazir barae pani o bijli raja parvaiz musharaf ne ek akhbari bayan main kaha, " kala bagh band kabhi tameer na kia jaega" inhon ne mazid kaha, "suba khyber pakhton khuwa, sindh aur dusre mutalka firkain ki mukhalfat ki waja se ye mansuba kabil amal nahin raha.

Aitrazaat

Kala bagh band ki tameer ke mansube ko paish hote hi pakistan ke 4 subon khyber pakhton khuwa, sindh, punjab, balochistan ki talkhi ka samna karna para. Is mansuba ki tameer ke hak main sirf suba punjab hai jo ke tamam 4 subon main siyasi o muwashi lehaz se intehai mustahkam hai. Markazi hakumat ki tashkeel bhi am tor par suba punjab ki siyasat ke gird ghoomti hai. Punjab ke ilawa dusre subon ne is mansuba ki tameer ke khilaf subai assembly main mutafika karardadain manzoor ki aur sakht tahfuzat ka izhar kia.

Tab se ye mansuba khatai main para raha aur is par koi tameeri kam mumkin na hosaka. Siyasi o ilakai mukhalfaton ke ilawa ek bari rukawat jo is mansuba ki rah main hail hai wo almi kanon barae takseem pani ki hai jis ke mutabik kisi bhi darya ke akhri hisa par Maujood farik ka ye na sirf kanoni balke qudarti hak hai ke pani ki tarseel is tak mumkin rahe. Isi waja se daryae sindh ke akhri hisa par maujood farik yani suba sindh ki marzi ke bagair is mansuba ki tamer mumkin nahin hai. Albata is kanon main ye bhi shamil hai ke agar darya ke akhri hisa par maujood farik darya ke pani ko istamal main nahin lata to band ki tamer mumkin banai jasakti hai. Go is mansuba se hasil hone wale fawaid main bijli ki paidawar aur pani ke zakhira karna jis se zarai zameen sairab hosakti hai shamil hai magar iske mahol par bhi kai mozar asrat hain jo kisi bhi aise hi bare mansube ki waja se mahol ko lahak hosakte hain.

Is ke ilawa ye mansuba ek bari abadi ki hijrat ka bhi sabab banega. Is mansuba ke mukhalfen ne hasil hone wale fawaid ki nisbat is ke nuksanat ko wazia tor par ujagar kia hai jis ki waja se 3 mukhalif subon main awami rae ama is mansuba ki tameer ke hawale se Hamwar nahin hai. Almi kanon barae taksem pani awami rae ama aur firkain ka nukta nazar wo chand awamil hain jin ke sabab 1984 se ab tak is mansuba ko amli jama na pehnaya jasaka. Is hawale se aitrazat aur is mansuba par tahfuzat ko samjhne ke liye subon ka nukta nazar ka mutala sod mand rahega.

Suba Punjab ka Nukta Nazar

Punjab jiski barhti abadi, sanat o zarat ki zaruriat ko pura karne ke liye pani darkar hai, kala bagh band ka mansuba bila shuba iski in zaruriyat ko na sirf pura karsakta hai bilke ye pure mulk ke liye sasti bijli ka aik mustakil zaria bhi sabit hosakta hai. Punjab main ek am rae ye hai ke bahera arab main daryae sindh ka shamil hona darasal pani ke zakhire ka "zaya" hojana hai. Ye pani mulk main in zameno ko sairab karsakta hai jo ke pani ki adam dastyabi ki waja se banjar hain. Punjab ka nukta nazar main kala bagh band ke ilawa bhi do bare mansube bhasha band aur sakar do band bhi Tameer kiye jane chahye. Kala bagh band chonke in 3 mansubon main behtar wasail ki dastyabi ki waja se kabil amal hai to ise sab se pehle tameer hona chahye. Bahawalpur aur bahawal nagar ke ilake kala bagh band ke zakhire se sab se zayada mustafid honge. Punjab main kala bagh band ki tameer ke hak main kai muzahire bhi kiye gae hain balke waktan fa waktan awami satah par aise muzahire nuks aman ki waja bane hain. 1960 ke adail main bharat ke sath pani ki taksem ke maidon par pakistan ne dastakhat kiye. Is maide ke tahat satlaj aur biyas ke hakok bharat ko de diye gae. Tab se bharat daryae rawi, satlaj aur biyas ko sirf sailabi pani ke ikhraj ke liye istamal karta aya hai. Pakistan aur bharat ke maben hone wale maide ki ro se in daryaon par band ki tameer ka hak rakhta hai. Pakistan ki wafaki hakumat in main se kisi bhi mansube par wazia kamyabi hasil nahin kar saki jis ke nateje main suba punjab ko Farahim kia jane wala pani sirf 3 daryaon tak mehdod hogaya. Punjab ke nukta nazar main kala bagh dam do daryaon yani daryae satlaj aur biyas ki bharat ko hawa lagi ke natije main hone wale subai nuksanat ka behtar naimal badal sabit hosakta hai, ye subai nuksan bilashuba wafaki satah par hone wali ziyadti hai, jis ke zimedar dusre sube bhi hain.

Suba Sindh ka Nukta Nazar

Suba sindh jis ne kala bagh mansube ki sab se pehle mukhalfat ki, is mansuba se mutasir hone wala eham farik hai. Go suba sindh is mansuba ki katar mukhalfat karta hai lekin is ka nukta nazar "Punjab ke hathon pani ki chori" ke nazriye par kaim hai. Is nazriya ki intehai himayat suba sindh main dekhne main ati hai lekin kisi bhi tarah se is chori ko sabit nahin kia jasaka hai. Suba sindh darasal tarikhi lehaz se daryae sindh par apna hak taslem karta hai aur awami rae main daryae sindh par sube ka hak tarikh aur iske name se ayan hai. Tarbela band aur mangla band ki tameer ko suba sindh darasal punjab ke hathon pani chori ka nukta samjhte hue ab kala bagh band ki tameerat ki ijazat daine se inkar karta aya hai, jiski qeemat sindh ki zarai zameen ki tabahi ki surat main ada karni pari hai.

Suba KPK Ka Nukta Nazar

KPK ke kala bagh band par do bare tahfuzat hain. Go kala bagh band ka zakhira suba khyber pakhton khuwa main wakia hoga, lekin bijli paida karne wale turbine aur tameerat subai sarhad ke bahir suba punjab main wakia honge. Suba punjab wafak se paida hone wali bijli par royality ka hakdar hoga. Isi aitraz ko rafa karne keliye darasal suba punjab ne wafaki royality se dastbardar hone ka faisla kia tha. Suba khyber pakhton khuwa ne behar hal is amar ka izhar kia hai ke suba sarhad ko wafaki royality ka hisa na milna darasal ziyadti hogi kyunke pani ka zakhira suba sarhad ki zameen par wakia Hai aur ye is ke liye kai masail ka sabab banega. Zila noshera ka bara hisa aur is ke mazafati ilaka pehle kala bagh band ki tameer ke doran zair ab aega aur bad main riyat ke jama hone se ek bara ilaka banjar hojaega. Aise halat tarbela band ki tameer ke bad zila subai aur zila hari pur main dekhne ko mile the. Iske ilawa jab kala bagh band ki tameer mukamal hojaegi to is main pani zakhira karne ke bad shahron se pani ki satah takriban 200 meter buland hojaegi. Ye hama waqt sailabon aur shahri ilakon ke zair ab ane ka khatra hai jo suba khyber pakhton khuwa main intezami, wasaili aur muwashi masail khara karsakta hai. Ye masail albata bare paimane par pani ki nehrain aur tube wel khod kar hal kiye jasakte hain jin ka kala bagh band ki tameeri mansuba main kahen zikar nahin milta.

Suba Balochistan Ka Nukta Nazar

Suba balochistan kala bagh band ki tameer se mutasir nahin hota magar kai parast sardar is Mansuba ki tameer ko suba punjab ki chote subon se ki gai ek aur ziyadti tasawur karte hain. Is mansuba ki mukhalfat se suba balochistan darasal gareb aur chote subon ke sath hone wali ziyadtiyon ki nishan dehi karna chahta hai. Hakikat main kala bagh band ki tameer se suba balochistan ko kachi nehar ki mada se apne hise ke pani ke ilawa izafi pani bhi dastyab hosakega. Tajzia: Tajzia kar kala bagh band ki tameer ke hawale se ehmiyat is bat ko dete hain ke ye mansuba darasal punjab aur baki 3 subon ke darmiyan adam aitamad ka sabab banega.

Tamam pakistani is bat par mutafik hain ke pakistan ko pani ki kami ka samna hai aur is bare jald hi koi mustakil hal dhondhne ki zarurat hai. Is bat ka izhar kia jata hai ke agar kala bagh mansuba par aj se hi kam shuru kar bhi dia jae tab bhi ise mukamal aur fal hone main kam az kam 8 sal ka arsa darkar hai, tab tak pani ki dastiyabi bare halat aur bhi kharab ho chuke hon ge. Tajzia kaar aur techniqi mahireen is baat par mutafik hain ke itne bare mansube par amal daramad ki bajae kai chote band, bairaj aur nahrain tameer ki jani chahye. Is se na sirf dusre subon ke tahfuzat bhi dor honge balke ye abi maholiyati aur zarai wasail ko mehfuz banane ke liye behtren tarika bhi hai jis ki wazia misal punjab sindh main nahri nizam ki shakal main maujood hai. Wapda jo ke pakistan main bijli aur tawanai ka wafaki idara hai kai salon se kala bagh band bare shumaryati adad main tabdiliyan karta aya hai aur hakikat ye hai ke is idare ki janib se paish kiye jane wale adad o shumar pakistan ke kisi hise main koi aitbar karne ko tayar nahin hai. Hakumat pakistan ne is zaman main ek techniqui commitee A-N-G abbasi ki sarbarahi main tashkel di.

Is commitee ka maksad kala bagh band ke mansube ki techniqi fawaid o nuksanat ka jaiza lena tha. Is commitee ne 4 jildon par mushtamil apni report Main wazia tor par rae di ke bhasha band aur katzar band ki tameer pani ke zakhair bare halat kharab hone se pehle tameer kiye jane chahye aur kala bagh mansuba mulki mufad main filhal pas pashat dal daina mufid hoga. Is report ki roshni main kala bagh band aur bhasha band darasal intehai mozu mansuba jat hain aur inki tameer mukamal ki jani chahye.
logoblog

Thanks for reading Kalabagh Dam History Urdu Essay Kalabagh Dam Issue In Urdu Kalabagh Dam Advantages

No comments:

Post a Comment