India History Urdu Bharat Information Hindi Hindustan Ki Tareekh Rajdhani India

  Lal Gulab      

India History In Urdu Bharat Information Hindi Hindustan History In Urdu

India Information In Urdu: India ki rajdhani (capital city) new delhi hai hindustan ya bharat janoobi asia mein waqia aik mulk hai jo bar-e-sagheer ke zayada tar raqbay par pheela hua hai bharat abadi ke lihaz se dunya ke bare mumalik mein shamil hai. India ke aik arab se zayada bashinday 100 se zayada zubanain bolte hain. Bharat ke mashriq mein Mianmar aur Bangladesh hain aur maghrib mein Pakistan hai. Bharat ke sub se bare shehar Mumbai, Kolkata, Delhi hain.

Naam Ki Bunyad

Darya-e-sindh ke mashriq mein waqia jagah ka naam arab tarikh nigaron ke haan hind tha. Isi tarah indus river se naam India para. Mazi mein is khitay ko amooman hindustan ya bharat kaha jata tha.

Qayam-e-Pakistan ke baad Muhammad Ali Jinnah bani Pakistan ne bharat ko hindustan kehne ki shadeed mukhalfat ki aur kaha keh hindustan woh mulk hai jo 1947 se pehle tha. Is wajah se bharti rehnuma apne mulk ke liye hindustan ko baqaida naam ki haisiyat na de sake.

India Ki Tareekh Hindustan

Bar-e-sagheer sirf 3 adwar mein aik mulk raha aik chandragupta maurya ke ehd mein aur dusre mughliya door mein aur teesre angreezon ke zamane mein. Aurangzeb Alamgir ke dor hukumat mein mughliya saltanat nisbatan sub se bari thi. Angreezon ke zamane mein saltanat mughliya door se qadre kam thi in 3 adwar ke ilawa ye alaqa hamesha choti choti riyasaton mein bata raha. Bharat mein pathron par musawari ki shuruwat 40,000 saal pehle hoi. Sub se pehli mustaqil abadiyan 9,000 saal pehle wajood mein ayien un muqami abadiyon ne taraqi kar ke sindh tas tehzeeb ko janam diya. 17th sadi mein Arabon ne maghribi bar-e-sagheer ke alaqay sindh par hamla kar keh qabza kar liya. Is se pehle bohat se log Islam qabool kar chuke thay. 19th sadi mein angreezon ne mughlon ko apne mateht kar liya aur is tarah hindustan ke hakam ban gye.

1962 mein india ki mutnaza alaqon par Cheen se jang hoi 1965 mein Kashmir par bharat ki Pakistan se jang hoi 1971 mein Pakistan mein khana jangi hoi aur us mein bharati mudakhlat bhi hoi aur bangladesh wajood mein aya.

Guzashta khuch arsa mein bharat ki sarmaya kari aur paidawar mein izada dekha hai is ke bawajod bharat ke samne bunyadi masail Pakistan ke sath kashmir ka tanaza, abadi ka zayada hona, mahoolyati aloodgi, ghurbat, mazhabi aur nasli ikhtilaf hain.

Saqafat

India ki saqafat mein bohat tanu mojood hai bharat ki saqafat ka aghaz 8000 saal qabal masih se hota hai aur is ki mehfooz shuda tarikh taqreeban 2500 saal par muheet hai.
logoblog

Thanks for reading India History Urdu Bharat Information Hindi Hindustan Ki Tareekh Rajdhani India

No comments:

Post a Comment