Appendix Ka ilaj Appendictis Ki Soozish Alamaton Se Khabardar Rahain! Appendix Disease In Hindi
Appendix Symptoms In Urdu What Is Appendix Kya Hai: Hamari bari aant jahan choti aant se milti hai, is ke ibtadai hise ke sath do, teen inch lamba nalki numa aazoo bahir ki taraf nikla hota hai jise aamae zaid ya fazil aant ya (Appendix) kaihte hain. Ab tak science yakeeni tor par ye nahin jan saki hai ke bari aant ke mutasil ye chota sa aazoo kia kam karta hai baaz science dano ka khayal hai ke Appendix ek "store room" ka kam karta hai aur is main " ache jarasem" mahfooz rahte hain aur jab bemar karne wale jarasem jism par hamla aawar hote hain to wo inka mukabla karke inhain maar bhagate hain.
Taham baaz aukat na maloom wajohat ki bina par ye appendix soozish ka shikar hojata hai. Baaz tibi mahaireen ke mutabik appendix main chota sakht fazle ka tukra dakhil hokar iske andar moojod siyal made ki bahao main rukawat dal daita hai jis se is main infection paida hota hai. Isi tibi kaifiyat ko (Appendictis) kahte hain aur ye ek khatarnak sorat e hal hoti hai jis main hangami tibi ilaj bohat zaruri hojata hai. Agar khuda na khuwasta matoram appendics ki surgery main takhair hojai to mareez ki jan par ban sakti hai. Infection ke baais sojan ka shikar hone wala appendics takhair sorat main phat sakta hai jis se zeherila mawad pait ke andar phail jata hai aur peritonitis ki mehlik sorat paida hojati hai jis main pait ki androni jheli khatarnak soozish main mubtala hojati hai. Agar fori tor par takat aur antibiotics se ilaj na kia jai to mareez ki mot wakia hosakti hai taham amoman is sorat hal ke paida hone se pehle hi docters amal jirahi ke zariye matoram appendics ko alag kardaite hain.
Cambridge health lines, mesa chostis ke gestro aintiar logist micheal pine ka kaihna hai ke appendics ki soozish ki tashkhish ek paicheeda aur waqt talab kam hai. Ye bemari agar cha aam hai lekin bohat se logon main iski makhsoos alamatain daikhne main nahin atain aur ham bhi jab mareez ke pait par hath na rakhain, iska pata nahin chalta. Taham agar mareez main darj zail alamatain nazar ayain to ise fori tor par emergency ilaj ke liye le jana chahiye.
Naaf Ke Kareeb Dard
Amae zaid ya appendics ki soozish ka dard aksar pait ke nichle hise main dain janib mehsoos hota hai. Ibtada main naaf ke kareb dard mehsoos hota hai jo pait ke nichle hise tak chala jata hai. Bachon aur hamla khawateen samait baaz afrad main ye dard pait ke dono janib mukhtalif hison main hosakta hai. Mareez agar apni tangon ya pait ko harkat de to dard ki shidat barh sakti hai. Khansi ya cheenk se bhi dard shaded tar hosakta hai. Mareez agar halat safar main ho to sawari ke jhatke lagne se bhi taklif barh sakti hai.
Intihai Tezi Se Barhne Wala Dard
Pait ke nichle hise main dard mehsoos hone ke bad iski shidat barhti jati hai. Doctor pine ka kaihna hai ke in ke bohat se mareez jo dard se behal horahe hote hain, is waqt ye kehte hain ke "aisa dard zindagi main pehle kabhi mehsoos nahin kiya." appendics ka dard itna shaded hota hai ke agar mareez gehri nend so raha ho to shidat taklif se wo uth baith ta hai aur chand ghanton ke andar dard shaded se shaded tar hojata hai.
Bukhar Aur Sardi Lagna
Baaz aukat appendics ki soozish main isi tarah bukhar aur sardi mehsoos hoti hai jaisi made aur aanton ki soozish ke bukhar main hoti hai. Doctor pine ka kaihna hai ke agar pait ke dard ke sath 100 degree farhenheit ka bukhar hoto ye koi itni tashwesh nak bat nahin lekin agar bukhar 103 degree ho aur dard itna shaded hoke mareez ke liye sedha khara hona dushwar hojai to ye "appendics" hosakta hai.
Matli, Ulti Aur Bhook Ki Kami
Doctor Pine ke mutabik agar mareez ko ek do din se bhook kam lag rahi hai aur iska ji matla raha hai ya kai jaisi kaifiyat hai to hosakta hai ke made ke jarasem iska sabab hon. In alamat ko ek do din main thek hojana chahye lekin agar taklif barhne lage khas tor par bukhar aur pait ke neche dain janib dard bhi ho to docter se rujo karne main takhair na ki jai. Agar 12 ghante se zayada waqt guzar chuka hai aur ulti rukne ka naam nahin le rahi ya guzishta ek do roz se dast bhi lag rahe hain to aisi sorat main bhi tibi tawaja ki zarurat hai.
Qabz Ya Dast
Ijabat na ho ya bohat zayada dast hojai to aisi sorat main bhi pait main dard hosakta hai aur koi zayada pareshani wali bat nahin lekin agar dast matadil kism ka ho is main lajlaja, lacedar mada bohat zayada ho aur sath main pait ke neche dain janib dard bhi ho to fori docter se rabta karna chahye.
Pait Mein Gas
Agar charbi dar ghost wali biryani pait bhar kar khali jai ya pizza ke 5,6 tukre kha kar cold drink ye samajh kar pi li jai ke is se khana hazam hojaiga to lamahala pait main gas bansakti hai aur bad hazmi ki shikayat paida hosakti hai taham agar khana khane ke bad aap sone ki koshish karain aur pait main dard ki waja se nend uchat hojai aur ye dard barhta hi jai to motalka shakhs ko hoshiyar hojana chahye. Ise is waqt bhi chokana hojana chahye agar pait phoolne ki shikayat do char roz se jari ho, gas ke sath pait main dard bhi ho ya riyah kharij hone main doshwari ho rahi Ho. Ye agar cha amomi alamatain hain lekin inke sath bukhar aur pait ke nichle hise main dain janib dard bhi horaha hoto ye appendix ki soozish ki alamatain hosakti hain.
Pait Dabane Ke Baad Dard
Mareez ke pait ke nichle dain hise ko agar dabaya jai aur dabao ke hatne ke bad dard mehsoos hoto docter pine ke mutabik aisi sorat main dobara pait ko dabane se goraiz kia jai isliye ke ye dar Appendicitis ki waziya alamat hai. Khas tor par is waqt jab iske sath bukhar, matli aur degar alamatain bhi mojood hon.
Appendix Ki Wajah Ya Alamat Aur Kon Si Hai
Hamari jild ke neche intehai ehsas asab mojood hain jo mamoli taklif, chot, khirash ya zarb ki fori itlah dard ki sorat main dimag ko bhaijte hain yahan tak ke shahaid ki makhi dang mare ya machar kat le to isko bhi dimag note karlaita hai lekin appendix ki taklif jild ke uper nahin jism ke andar ki taklif hoti hai. Agar reham ke bahir istakrar ho ya kabz tol pakar le to pait main dard hota hai. Isi tarah crohn's disease aur petrol ki soozish main bhi dard ho sakta hai. Agar kisi ko pait ke andar aisa koi dard mehsoos ho to khud koi rai kaim karne ke bajai docter se rujo karna chahye. Agar alamatain riwayati na hon to bhi doctor ultra sound ya khoon main safaid khaliyat ki tadad ke paish nazar appendix ki dorust tashkhish kar sakta hai. Waziya rahe ke infection ki mojoodgi main khoon ke safaid khaliyat ki tadad barh jati hai.
No comments:
Post a Comment