How To Clean Furniture Urdu Polish Wood Furniture At Home Furniture Cleaning Tips Hindi Naturally

  Lal Gulab      

How To Clean Furniture In Urdu / Hindi Furniture Ki Safai Aur Hifazat Kaise Karain? Wooden Furniture Cleaning Tips In Urdu

Furniture Saaf Karne Ka Tarika: Hamare ghar darasal hamari shaksiyat aur life style ke akas hote hain aur gharon main maujood furniture tamam tar kahani apni zabani suna raha hota hai. Amuman gharelu furniture ki safai suthrai mahaz jahran se kardi jati hai. Kabhi kabhar ghelay kapre se magar ye pehlu nazar andaz kardia jata hai ke is tarah furniture par mati aur mail ki ek kasif tah, jam jati hai jo ke furniture ke rang aur is ke ujle pan ko mand karke daiti hai jo ke bohat kam arse main barson purana mehsus hone lagta hai. Mahreen ke mutabik furniture ko saf kapre, toliya aur kagaz se saf karna hi kafi nahin hai kyun ke is tarah gair mehsus tarike se jam jane wali gird aur mail ki tah barhti jati hai aur is ki safai ane wale waqton main mazid kathin hojati hai.

Apne furniture ko chamakta damakta rakhne ke liye zaruri hai ke ek nam kapre se mati ya dhool ki tah halke hath se utardi jae aur Phir kisi halke detergent se jo ke ragar na phncha sake neem garm pani se dholain. Ek waqt main kisi ek hise ki safai karen aur fori tor par pani ko khushk karne ke liye kisi narm kapre ka istamal karen to apka furniture apni chamak damak bar karar rakh sakta hai. Darasal furniture ki safai achanak hi ek aise nukte par puhnch gayi hai jahan isay dusting ya polishing se kahen zayada ki zarurat hai khas tor par purane aur nayab furniture ko safai ke zariye hi mahfuz rakha jasakta hai.

Wood Furniture Polish Tips In Urdu: Kisi nayab chez ko jo ke achi condition main hai lailmi main ragarne aur na munasib andaz se saf karne ke sabab iski qadar o qeemat aur imtiyazi khasusiyat se mahrumi ke bajae ye janna azhad zaruri hai ke mukhtalif kism ke furniture ki safai ke liye mukhtalif tarike azmana parte hain. Lakri se bana hua furniture oil, varnish, lekar (lakh ka rogan) ya shailak (lakh ka chapra) se hi saf kia jasakta hai. Is noiyat ki safai ke liye Achi furniture polish cream, furniture cleaner ya conditioner ka sahara lain to behtar hai.

Range hue furniture ki safai kadre asan hoti hai kyun ke paint cleaner bazar se mah halat main am tor par mil jate hain jo ke powder ya paint ki shakal main hote hain. Mastah paint ke liye sab se mosar cleaner soap jelly hai paint kiye hue furniture ya rangi hui satah ko chamakdar banane keliye neem garam pani main bhigoya hua kapra istamal karen ya phir ek galan neem garam pani main ek chamcha washing soda mila kar is main bhigoya hua kapra furniture par ahista ragrain to rang nikhar jaega. Is ke liye soap se adi detergant bhi istamal kia jasakta hai. Yaad rahe ke tijarti tor par istamal kie jane wale baz cleaner jin mein trisodium phosphate bhi shamil hai furniture ko pheka kardaite hain aur sabun se ek jilhi si ban sakti hai. Lakri ka mayari furniture ek aisi numaya sarmaya kari hoti hai jis ke bare main tawaka Ki jati hai ke ye naslon tak apne fawaid puhnchaegi jis ki khubsurti aur paidari keliye munasib safai aur dekh bhal ki bohat zayada zarurt parti hai. Nami ko zayada dair tak furniture par na rahne dain aur is ke liye khushk karne wali cheez ke istamal ke bajae aisi chez ka sahara lain jo ke nami ko choos le kyun ke pani waqt guzarne sath hi safai ke bawajood safaid dhabon ka bais ban jata hai. Jabke alcohol, perfume, after shave aur baaz dusri tibi tor par istamal hone wali ashia jo ke is hawale se azmai jane lagi hain khatarnak nataij ko dawat de sakti hain lehaza furniture ki safai ke liye hamesha cleaner hi istamal karen.

Fabric Se Tayar Karda Furniture Ki Safai

Kapre se tayar karda furniture ki mosar safai isi waqt mumkin hai jab apko kapre ki noiyat ka ilam ho ke ye qudarti fibre hai. Synthetic aur ya dono ka imtijaz. Yu jab furniture ki safai ko mozu product ka intejab kia jasakega to tarika hi Behtar hoga. Tamam hi cleaning products jo ke bazar main dastyab hain lehaza is bat ka khayal rahe ke fabric furniture ki safai keliye aisi product ka sahara katai na lain jo ke na mozu aur mahol ke aitbar se nuksan da sabit ho, amuman sasti ya kam qeemat chezon ke kharidne se iska imkan rahta hai. Ek aur quality joke apki tawaja chahti hai wo hai ke qudrati ajzae tarkibi par mushtamil furniture cleaner kharidain jaise ke qudrati botiyo se tayar karda jo ap ki sehat keliye bhi khatra nahin ban sakte hain, furniture fabric cleaner ko pump spray, sponge ya kapre main bhigo kar istamal kia jasakta hai aur ye dekh kar k kis jaga kitni zayada zarurat hai ab chonke fabric par lagai jane wali koi bhi mah chez andar sarayat karsakti hai lehaza safai keliye taizi se hath chalain ta ke fabric par maujood safai ke liye istamal ki jane wali product apna dhaba bhi na chor sake. Agar cha ke furniture saf karne wali Beshtar masnoat is yaken dehani ke sath firokht ki jati hain ke in se dag ya dhabo ka imkan nahin hai magar iske bawajood behtar idea yahi hai ke fabric par se safai ka mahlol fori saf kar ke ise saf pani se dholia jae.

Hamesha kisi nae fabric safai ke mahlol ko azmate waqt khayal rahe ke is jaga laga kar dekhain joke bilkul samne ba asani se nazar nahin ati hota ke dhaba par jane ki surat main ise chupana na pare. Hamare yah fabric furniture ke sath fabric cod ki farahmi ka rujhan nahin hai jabke safai se mutalik bhi koi hidayat wazia nahin ki jati hai taham am asool ye hai ke fabric furniture ki safai karte waqt dag dhabo se bachao ke liye tezi se hath chalain ta ke in ka failao na hosake. Kisi jaga dag laga hai to ise ragarne ke bajae kisi sponge ke tukre se daba kar saf karen. Amuman fabric furniture ke liye pani se pak cleanser ki zarurat hoti hai naiz baz iksam aisi bhi hoti hain jin ke liye safai Ka koi bhi mahlol ya powder mozu nahin hota aise moke par gard ko saf karne keliye vacume cleaner ke ilawa brush ki madad li jasakti hai taham bari ahtiyat se ta ke dhabe parne ya kapre ke tar khench jane ka ahtamal na ho.

Chand Hidayat

Poshish wale furniture ko bara rast suraj ki roshni se bachaen kyun ke ultravoilet lahrain rangon ko pheka aur bhada kardaiti hai. Fabric par kisi sakht fibre ya steel ka brush katai na lagain kyun ke ye fabric ki shakal bigar dega. Lakri ke furniture ki safai aur polish mustakil bunyadon par karna is ki paidari main madadgar sabit hosakti hai. Musal gard aur miti gandgi ya khane pene ki chezain girne se furniture par beruni aludgi aur jarasem kosha milti hai jo ke apni jaga bana laite hain. Lather furniture ki masnoat ko ek naram khushk ya mamuli pani se namak pare se poncha jasakta hai taham ise khushk karne ke bajae az khud khushk hone dain aur dhabo ke imkan se bachain.
logoblog

Thanks for reading How To Clean Furniture Urdu Polish Wood Furniture At Home Furniture Cleaning Tips Hindi Naturally

No comments:

Post a Comment