Banana Benefits In Urdu Kele Ke Faide Hindi Banana Diet Tips Kela

  Lal Gulab      
Banana Benefits In Urdu - Kele Ke Faide Bohat se logon ko kelay pasand nahin hain aur mumkin hai in logon main ap bhi shamil hon lekin is bat ka bohat zayada imkan hai ke is mazmoon ko parhne ke bad ap kele ki taraf is tarah na dekhain jaise pehle dekha karte the.

Kela mein 3 qudarti mithas sucrose, fructose aur glucose ke ilawa raishe bhi pae jate hain. Kela khate hi jism ko fori tawanai ki musalsal farahemi shuru hojati hai aur ye tawanai bhi aisi hoti hai jo mehsoos ho. Research se ye bat sabit hochuki hai ke sirf wo kele kha kar jism main itni tawanai bhar jati hai ke ap 90 minute tak sakht mehnat wala kam injam de sakte hain lehaza is bat par kisi ko hairat nahin honi chahye ke dunya ke mumtaz khiladiyon ka sab se pasandida phal kela hai aur yahi wo phal hai jise dunya main sab se zayada khaya jata hai lekin kela sirf tawanai farahim karke hamen fit nahin rakhta balke ye motad kabil zikar bemariyon par kabu pane aur in se mehfooz Rakhne main bhi kirdar ada karta hai. Iski yahi khubiyan ise hamari rozmara khorak main shamil karne ka takaza karti hain.

Depression

Ek falahi tanzeem mind ne hal hi main zehni afsurdgi aur riyasat ke shikar afrad ka survey kia tha jinhon ne bataya ke kela khane ke bad inki tabiyat main farhat ka ehsas hua aur mayusi bari had tak dor hogai. Iski waja ye hai ke kele main ek protein Tryptophan shamil hota hai jise Serotonin main tabdeel kardaita hai. Ye wo chemyai markab hai jo ap ko sukon ka ehsas bakhshta hai, ap ke mood ko behtar banata hai aur amumi tor par ap khud ko shadan mehsos karte hain.

Naswani Takleef

Baloghat ke bad khawateen ko har mah ayam ke marhale se guzarna parta hai jis main baaz  aukat alamat ke sath jazbati alamatain bhi dekhi jati hain. In niswani takalif ko (PMS) Premenstrual syndrome kaha jata hai jis se bachne keliye khawateen ko kabhi kabhi dawaon ka sahara bhi lena parta hai Lekin inhain chahye ke goliyon ko bhool jain aur ek kela khalia karain. Is main shamil vitamin b6 khoon main shakar ki satah ko munasib satah par lata hai jis se mood khushgawar hojata hai.

Khoon Ki Kami

Khawateen hi aam tor par khoon ki kami ka shikar hoti hain khoon ke ek intehai eham juzu hemoglobin ki kami se khawateen beshumar masail ka shikar hosakti hain. Kele main ye fawaid yani fayde hote hain ke wo khoon main shamil haemoglobin ki paidawar ko mutahrik kardaita kardaita hai aur youn Anemia ki shikar khawateen ki madad hojati hai.

Blood Pressure

Garam khiton main kasht kia jane wala ye phal apne andar potassium ki kabil zikar mikdar rakhta hai jabke is main namak ki mikdar bohat kam hoti hai. Is lehaz se blood pressure kam karne keliye ise misali phal karar dia jasakta hai. Kele ki is khasosiyat ko americi food and drug administration ne bhi tasleem kia hai aur hal hi main isne kele ki sanat ko is Bat ki kanoni ijazat de di hai ke wo is bare main dawa karsakti hai ke iske khane se blood pressure aur falij ka khatra kam hosakta hai.

Dimaghi Taqat

Englistan ke tomkan ham school ke 200 talba par is sal ye tajarba kia gaya ke inhain nashta break aur lunch main kele khane ki takid ki gai jis ke natije main inki zehni salahiyaton par acha asar para aur inhon ne imtehan main achi karkirdgi ka muzahira kia. Research se ye bat bhi sabit hochuki hai ke potassium bhara ye phal talib ilmo ke saikhne ki salahiyat barhata hai aur inhain chokas rakhta hai is liye kela khane ka faida aik ye bhi hai.

Qabz

Kele main chonke reshe (fibre) ki bohtat hoti hai, is liye anton ki tahrik ko ye bahal rakhta hai aur kabz main mubtala afrad kele khakar, kabz kushadaon ke bagair apna ye masla hal karsakte hain.

Sene main jalan, taizabiat: kela khane se jism main qudarti tor par taizabi made tehlil hojate hain isliye jab kabhi apko sene main jalan ki shikayat ho ya Khati dakarain ahrahi hon to kela khalain, aram milega.

Doran hamal ji matlana: wo hamla khawateen jo morning sickness ka shikar hoti hain yani subha uthte hi inka ji matlane lagta hai ya abkai ane lagti hai wo subha nashte aur lunch is tarah dophair ke khane aur rat ke khane mabain khalia karain to is se khoon main shakar ki satah behtar aur matli ki shikayat rafa hojati hai.

Asaab pur sukon: kele main B vitamins ki kabil zikar mikdar hoti hai jis se hamara asaabi nizam pur sakon rahta hai, austria ke institute of physology ke jaizon main dekha gaya hai ke jo log apne kam ki jaga par zehni dabao main hote hain wo chips, chocolate jaisi chezain zayada khate hain. Ispatalon main dakhil 5 hazar se zaid marizon ka jaiza lekar research ne ye sabit kia hai ke in main firbehi ke shikar afrad aise mahol main kam kar rahe the jahan zehni tanao apne urooj par tha, is liye wo fori tawanai bahal karne wali Ghizain zayada kha rahe the jis se in ka wazan barh raha tha. Aise logon ko chahye ke wo halke phulke nashte ke tor par kele khalain.

Ulcer

Banana ka guda beinteha naram aur chikna hota hai, is liye anton ke awaraz main iska istamal mufeed rahta hai, khas tor par anton ke zakham (ulcer) ke andmal main is se madad li  jasakti hai. Isi tarah made main taizabiyat aur sozish ko bhi ye iski andruni dewaron par hifazati laip charha kar kam kardaita hai.

Garmi kam karne wala phal: dunya ke bohat se khiton main kela thanda phal  tasawur kia jata hai. Khas tor par mutawaka maon ke jismani aur jazbati darja hararat ko kam karne ke liye unhain banana khilaya jata hai. Thai land main hamla khawateen ko is liye kele khilae jate hain ke dunya main ane wali bachi ya bacha thande dimag wala ho.

Machar Ke Katne Ki Sozish

Machar jab apni sondh hamari jild main piyost karke khoon choosta hai to is se jalan mehsoos hoti ha Is taklif ko kam karne keliye aksar log mutasira mukam par koi cream ya lotion lagate hain lekin inki jaga ap kele ke chilke ka andruni hisa jism par mal kar isi tarah ke fawaid hasil karsakte hain. Is se jalan aur sujan kam karne main bhi madad milti hai.

Is takleef ko kam karne keliye aksar log mutasira mukam par koi cream ya lotion lagate hain lekin inki jaga ap kele ke chilke ka andruni hisa jism par mal kar isi tarah ke fawaid hasil karsakte hain. Is se jalan aur sujan kam karne main bhi madad milti hai.
logoblog

Thanks for reading Banana Benefits In Urdu Kele Ke Faide Hindi Banana Diet Tips Kela

No comments:

Post a Comment