Aries Personality In Urdu - Aries Star Ke Log Kaise Hote Hain?
Aries Information In Urdu Aries Star Ka Matlab In Hindi
Jald Bazi
Jaldbazi in ki fitrat ka ek aisa pehlu hai jo in ke liye aksar faidamand aur baaz aukat nuksan da sabit hota hai, ye log baishtar kamon main ajlat ka muzahira karte hain. Apni adat ko ye log khoob pehchante hain, isi waja se chot khane ke bad ye faisla karte hain ke ayenda jald bazi nahin karnge lekin jab koi aur kam shuru karte hain to ye sab batain bhool kar ek bar phir jald bazi ka muzahira karne lagte hain.
Ikhtilaf Raye
Aksar mamlat main ye log dosron se ikhtalaf rae rakhte hain. Ye inki adat bhi hoti hai. Aur inka ikhtalaf rae bara barmala aur be dharak hota hai jo aksar talakh kalami aur jhagron ka bais banta hai. Bohat se log in se bat cheet karne se is liye garizan hote hain ke ye afrad zara si bat par koi na koi ikhtalaf ka pehlu nikal laite hain, in se wohi log kamyab guftagu karsakte hain jo inki is khami se wakif hon wo inke ikhtalaf ko bari khobsurti se nazar andaz zayada kardaite hain.
Nukta Cheeni
Aries afrad ki ek kharabi ye bhi hai ke ye aksar dosron ki khamiya aur kamzoriyan dhondhte rahte hain aur is hawale se in par nukta chini bhi karte hain. Jis tarah degar kuch barjon se taluk rakhne wale afrad dosron ko tanz aur tankeed ka nishana banate hain isi tarah aries logon mein bhi ye adat pai jati hai lekin ye log apni is khami par kabu pane ki bhi qudrat rakhte hain.
Mohtat
Waise to ye afrad aksar aukat kisi kam ki takmeel main gair muhtat rawaiya ikhtiyar kar laite hain is waqt ye sirf aur sirf maksad ka hasool chahte hain lekin aam halat main bare muhtat hote hain har kam bohat soch samjh kar karte hain jis kam main khatra nazar ae is main apni fitrat ke mutabik hath zarur dalte hain lekin nihayat muhtat andaz main.
Khudnumai
Inhain khudnumai hoti hai jis tarah degar kuch barjon se taluk rakhne wale afrad khud numai ke shokeen hote hain isi tarah inhain bhi ye adat hoti hai. Is mamle main aksar galat zarae ka istamal karte hain aur galat raston ka intekhab bhi karlaite hain ye alag bat hai ke inhain bad main apne rawaiye par pachtata hai. Ye khud ko numayan aur mumtaz karne ke chakar main aksar dosron ko kota nazar sabit karne se bhi darig nahin karte aur degar tarikon se bhi inhain kam tar sabit karna chahte hain in ke is rawaiye se bhi aksar log in se kinara kash hojate hain.
Zehan Ki Pukhtagi
Ye log burj hot ki tarha duhri shakhsiyat ke malik hote hain. Lekin burj hot se taluk rakhne wale afrad han ya na ke kail hote hain. Agar inka manfi rawaiya hai to wo inteha pasandana hota hai agar musbat rawaiya hai to bhi inteha pasandana hoga jabke burj aries se mutalik afrad ka ek rawaiya aur manjha hua hai jabke dusra rawaiya gair pukhta aur bachkana sa, is burj se taluk rakhne wale afrad main alag alag rawaiye pae jate hain lekin kisi ek fard main bhi ye dono rawaiye pae jate hain.
Khatrat Se Khelne Wale
Bilashuba ye khatrat se khailne wale hote hain. Ye khatarnak se khatarnak kam karne se bhi nahin ghabrate ye be khof log hote hain ya you kaha jae ke jis tarah khof dosre logo par galib ajata hai in par is tarah asar andaz nahin hota balke bohat kam hota hai. Ye log khof par kabu palaine ke mahir hote hain.
Waqt Ka Ehsas
In logon ko waqt ke qeemti hone ka bara ehsas hota hai. In ki koshish hoti hai ke ek ek lamhe ko kisi kam main masroof karlaite hain. Isi liye ye mukhtalif kamon main uljhe nazar ate hain ye ek kam se farig hone ke bad kisi dusre kam main masroof hojana pasand karte hain.
Zindagi Ka Maqsad
Ye log apni zindagi ka koi na koi maksad banalaite hain aur phir apne maksad ki khatir ye anthak aur shabana roz mehnat karte apne raste main ane wali har rukawat ko dor karna bakhoobi jante hain agar koi inhain inke maksad se hatane ki koshish kare to ise pehchan late hain aur is se bari sakhti se nimat te hain warna kam se kam is se talukat to khatam kar hi laite hain.
Amli Log
Jis tarah kai degar burjon se taluk rakhne wale afrad khuwabon ki dunya main rahna pasand karte hain aries log in ke baraks hote hain ye amli log hote hain ye khuwabon ki dunya se dur rahne ke sath sath in logon se bhi dor rahte hain jo khuwabon ki dunya main rahne wale hote hain. Han in logon se in ki achi dosti hoti hai jo inki tarah amli hote hain ye khud takdir se zayada tadbeer par yakeen rakhte hain. Jin baton ko dusre log takdir ka likha kah kar is par sabar karlaite hain. Aries people isi baton ko takdir ka likha nahin balke tadbeer se taber karte hain inka kahna hota hai ke agar achi tadbeer karli jae to ye kam sanwar sakta hai.
Nakami Ko Pasand Karne Wale
Ye afrad nakami ko sakht na pasand karte hain balke ye kahna be ja na hoga ke kam main ye nakami ke pehlu ko sarasar nazar andaz kardaite hain in ke samne sirf aur sirf kamyabi hoti hai aur ye is kamyabi ko hasil karne ke liye itni mehnat karte hain ke nakami khud ba khud in ke pairon tale rondi jati hai.
No comments:
Post a Comment