Hazrat Yousuf A.S History Urdu Kahani Hazrat Yousuf Waqia Urdu Information Hazrat Yousuf AS

  Lal Gulab      

Information About Hazrat Yousuf A.S History In Urdu Hazrat Yousuf Ki Kahani Qissa Story Maloomat

Waqia Hazrat Yousuf A.S Aap Allah Ta'ala ke Nabi thay Aap ka zikar Bible mein bhi milta hai. Aap A.S Hazrat Yaqoob A.S ke betay thay. Aap ka taluq Nabiyon ke khandan se tha. 11 saal ki umar se hi Nabi hone ke asar waziha hone lage Aap ne khwab mein dekha keh 11 sitaray, suraj, chand aap ko sajda kar rahe hain Aap ke walid ne Aap ko apna khwab kisi aur ko sunane se mana kiya. Quran Majeed ki aik Surah Aap ke naam par bhi hai. Surah Anaam aur Surah Ghafir mein bhi Aap ka zikar aya hai Aap ne 120 saal umar payi.
Aap A.S baittul muqadas mein dafan hue Aap A.S ke bhai us khwab ke baad un se hasad karne lage aur aik din un ko apne sath sehra lay gaye un ko aik kunwain mein  daal diya aur apne walid mohtaram ke paas aye aur kaha keh Yousuf ko bheriya kha gaya aur un ka kurta paish kiya jis par kisi janwar ka khoon laga kar laye thay. Aik kaflay walon ke hath woh kunwain se nikalay gaye aur usi kaflay walon ne unhain misar la kar azeez misr ko batoor ghulam baich dala azeez misar ne unhain achi tarah rakha aur kayi salon tak aap un ke ghar par rahe aur jawan ho gaye jawani aur khubsurati ke alam mein azeez misar ki biwi Zulaikha Aap A.S ke ishq mein mubtala ho gayi aur chaha keh Yousuf se jinsi taluq banaye aur un ko apne kamre bulwaya khwahish ka izhar Yousuf se kiya Aap A.S ne un ki ye khawahish rad kar di azeez misar ki biwi ne zabardasti karni chahi tou Hazrat Yousuf A.S darwazay ki taraf bhagey aur Khuda Pak ke hukam se saton darwazay khud ba khud khultay chalay gaye akhri darwazay par azeez misar ne un ko khara paya aurat ne jald chalaki se kaha. Jo tere ghar mein burai ka irada kare ya tou us ko qaid kiya jaye aur ya sakht azab diya jaye. Hazrat Yousuf A.S ne farmaya mamla is ke baraks hai ye hi mujh ko apna matlab pura karne ke liye phslati thi. Is moqa par Zulaikha ke khandan ke aik sher khawar bachay ne gawahi di keh qameez agar agey se phati hai tou aurat sachi hai aur agar kameez pechay se phati hai tou Yousuf sacha aur aurat jhooti hai. Ye Hazrat Yousuf A.S ka mojza tha keh doodh peeta gehwara mein jhoolta hua bacha Allah ke hukam se bol utha.
logoblog

Thanks for reading Hazrat Yousuf A.S History Urdu Kahani Hazrat Yousuf Waqia Urdu Information Hazrat Yousuf AS

No comments:

Post a Comment