Tomato Benefits In Urdu Tamatar Ke Faide In Hindi -Ye ek qaida hai ke ham aam milne wali cheez par ziyada dhiyan nahin daite khuwa wo kitni hi mufeed kyun na ho. Tamatar main insani sehat ke liye mufeed 3 tarah ki khataiyan milti hain jabke baki sabziyon main se kisi main ek ya do to kisi main teesri khatai mojood hoti hai. Tamator is lehaz se ek munfarid sabzi hai ke is main 3 khataiyan ek sath mojood hain. Pehli khatas mayak acid hai jo saib main milti hai aur ise khata zaika ata karti hai. Dusri khatai citric acid hai jo lemon, orange aur sangtare main hoti hai, ye khatai jarasem kash aur paishab awar hai. Ye beri beri ki bemari main bohat mufeed hoti hai. Tamatar se milne wali tesri khatai mastrok acid hai, iska istamal anton ke dard aur iski degar bemariyon ke liye mufeed hai.
Aam tor par pode ya bail se utar jane ke bad takriban tamam sabziyon ki tazgi kam hone lagti hai lekin tamatar dal se tore jane ke bad apni tazgi barkarar rakhta hai aur iska qudarti zaika kharab nahin hota. Tamatar bunyadi tor par ek phal hai jo batoor sabzi istamal hota hai. Ye janoobi aur wasti america ka phal hai jise pandharwi sadi eswi main baki duniya main bar amad kia gaya. Europ main iska istamal 16 sadi main shuru hua magar bartanwi shaihri 18 sadi ke agaz tak tamatar ke zaika se na ashna rahe. Kyun ke wahan ye zeharila samjha jata tha. Tamatar mufeed taren phalon aur sabziyon main numaya tareen hai. Ye hamare jism main jarasem se bachne ki qoowat hazma barhata aur lungs ki bemariyan khatam karta hai. Tamatar se jism ko ek aisa ansar milta hai jis se jism ke fasid made khatam hojate hain, misal ke tor par khoon ki gootiyan khatam aur made aur jigar ka fasid mada naram hokar nikal jata hai.
Ye masane ki pathri bhi tor daita hai taham tamatar ke zayada istamal se pathri banne ka khatra lahak rahta hai. Tamatar main magnesium zayada hota hai. Ye jism ki hadiyon aur dant mazboot aur sakht banata hai. Calcium se jism ki hadiyan banti hain aur magnesium se girft paida hoti hai. Jism ki dosri hadiyon ke mokable main danton main magnesium ek fesad se bhi kam hota hai magar yahi mikdar danton ko is qadar mazboot aur sakht bana daiti hai ke sakht se sakht ghiza chabane par bhi wo nahin ghiste. Magnesium jism ko nasho numa daita hai kyun ke iski madad se khoon ka zindagi bakhsh hisa albumin banta hai. Is ke ilawa ye jism se fazle ka ikhraj karta hai. Lungs ke liye taqat baksh hai, naiz khaliye banane main madad karta hai.
Magnesium ke istamal se pathe aur dimag ke rag o reshai bhi taqatwar aur mazboot hote hain. Tamatar main vitamin c bhi bohat hota hai. Jism main is hayatain ki kami se ja baja soojan hojati hai aur jism ke jor kamzor par jate hain. Jism nasho numa nahin karta aur insan pista qad rah jata hai. Dant aur mashoore kamzor hojate hain. Tamatar main vitamin A, B aur G bhi hote hain aur kam mikdar main soraj se milne wala vitamin D bhi. Tamatar ki apni ghizaiyat ke bais kuch mahairen kahte hain ke bachon ko zayada se zayada tamatar khilain. Tamatar jigar ke afal thaik karne ke liye bhi behad mufeed hai kyunke is main calomail bhi paya jata hai.
Ye mada jigar durust karne ki salahiyat rakhta hai jism se fasid made aur khoon saf karne ke liye ye nihayat mosar dawa hai. Tamatar khoon ki taizabiyat door karne ke liye ek mufeed sabzi hai. Tamatar main folad ki bari mikdar pai jati hai balke tamatar main ye dodh se dugna aur ande ki safaidi se 5 guna zayada hota hai. Tamatar main saib, nashpati, sangtara, angoor, kharboza, kheera aur aroo se bhi zayada folad paya jata hai. Mahairen ke mutabik saib aur kaile se zayada tamatar main calcium hota hai. Agar tamatar ko 60 se lekar 140 darja farhenheit main khushk kia jai to vitamin c zaya nahin hota. Agar iska marba dala jai tab bhi is main hayatain baki rahta hai. In bachon ko jinhain bottle se dodh pilaya jai tamatar ka ark zarur daina chahye. Ye sangtare ki nisbat arzan aur itna hi mufeed hai is se milne wale vitamin c ke zariye bacha tandrust rahta hai. Jaded taihkek ke mutabik tamatar khane se jaldi amraz se bacha jasakta hai. Is tarah tamatar ke istamal se jild ko soraj ki roshni aur barhti umar ke asrat se bhi mehfooz rakha jasakta hai. Bartania ki new kesal university ki taihkikati team ke mutabik tamatar soraj ki roshni main mojood ultra violet shuwaon se bachane main mawan sabit hota hai.
Tehqeeq karon ke mutabiq tamatar se tayar karta masnoat catchup, paste, soup aur is ke juice ke bakaida istamal se dhalti umar ke asrat se bhi jild ko mehfooz rakha jasakta hai. Taihkeek team ke sar barah aur maroof darmalogist professor mark brich maikan ne kaha hai ke tamatar khane se sooraj ki showaon ke mozar asrat se bacha jasakta hai. Royal society of madicine london ki taihkeki report ke mutabik khane main tamatar ke bakaida istamal se chehre ko dhoop ke mozar asrat se bachane main madad milti hai. Taihkek ke doran 20 khawateen ko bara hafton ke doran rozana 5 khane ke chamach 55 gram tamatar ki paste zaitoon ke tail ke sath mila kar khilai gai. 21 ta 47 sal ki umar ki khawateen jinhon ne tamatar ki paste rozana khai thi inki jild dusri khawateen ki nisbat soraj ki roshni aur dhoop se sorukh hone se 33 fesad tak mehfooz rahi. Australia ke tibi maihren ka kehna hai ke tamatar khoon main cholesterol ki satah ko kam karta hai aur high blood pressure ko normal karta hai.
Tamatar ko rozana apni khorak ka hisa bana kar dil ki bemariyon se bacha ja sakta hai. Maihren ka kehna hai ke tamatar main shamil ek juz kache tamataron ki nisbat ye tamatar ki paste ya pake hue tamataron main zayada mufeed hota hai jo dil ki bemariyon se mehfooz rehne ke liye zaruri hai. Ek haliya tibi taihkek main bataya gaya hai ke surkh tamataron ka istamal buland fishar khoon aur khoon main cholestrol ki satah ko kam karne main madadgar sabit hota hai. Australia main ki jane wali taihkek ke mutabik tamataron main pai jane wale juz (Lycopene) ki rozana 25 milli gram mikdar khoon main chiknai ki satah ko das fesad tak kam kar sakti hai.
No comments:
Post a Comment