Titanic Ki Kahani Urdu Ship Titanic Ki Kahani In Hindi Titanic Jahaz Ka itihas

  Lal Gulab      

Titinic Ki Kahani Jo Aap Ko Maloom Nahin

Aap main se aksiriyat ne james kaimron ki tarikh saz film titanic dekhi hogi jis main heroine Kate Winslet aur Leonardo ne shandar adakari ke johar dikhaye. Is block buster film ne shaiqeen film ke dilon ko chowa aur sadi ki behtareen filmon mein shumar hui. Is film ne 100 saal pehle hone wale aik hadse ki yad taza kar di thi jis mein kai log mot ka shikar hue. 1912 main R M S Titanic nami jahaz 15 soo musafiron ko le kar manzil tak puhnchne se hi ice north atlantic samandar main ek barf ke pahar se takra kar tukre tukre hogaya. Is film main to mohabbat karne wala ek jora hi shaiqeen ki tawaja ka markaz raha jis main hero apni heroin ko bachate hue jan dai daita hai. Lekin film se hat kar is jahaz ke safar shuru karne se lekar tabahi tak kai aisi batain bhi mojood hon jo duniya ko maloom nahin hain. Is mazmon main chand ek aise hakaik paish kiye jarahe hain jo is se kabal inhain maloom na honge. Ye 14 april 1912 ki bat hai jab apne pehle safar main duniya ka sab se bara aur jaded behri saholaton se arasta mehaz dhai ghanton main doob kar fana hogaya.

1: Silver Screen Fankara Bach Gai: Ye khamosh filmon ka dor tha aur Gibson is dor ki maroof film star thin. Jab wo khud titanic jahaz main maho safar thin to inki film "lucky hold up" ne cinema gharon main dhoom macha rakhi thi. Wo first class ki musafir thin aur inki khush kismati thi ke 15 so musafiron main se zinda bach jane wale chand logo main wo bhi shamil thin. Shayad qudrat ne in se is tabahi ki dastan dunya ko sunwata manzor thi. Is hadse ke chand din bad dorthi ne apni ek nai film ki shooting main hisa lia. Gibson ne is film main wohi kapre pahne jo is ne doran safar tan zaib kiye the ye film bhi mega hit sabit hui thi.

2: Ye Sub Se Bara Hadsa Na Tha: Film daikh kar sab se pehla khayal yahi zehan main ata hai ke is se bura kia hosakta hai. Lekin hairan kun bat ye hai ke ye hadsa sab se tabah kun na tha. Behri jahazon main tabahi ki alam nak dastan darasal ek germany behri jahaz se mansoob hai jis ka name william gistaf tha. Is main marne walon ki tadad titanic ke mutasirin se kahin zayada thi. Gistaf main gunjaish se zayada musafir sawar hone se hadsa paish aya. In dono germany jang ki halat main tha. Gistaf ke hadse ke bare main logo ko is liye maloom nahin is liye ke kisi ne gistaf nami film bhi nahin banai. Gistaf main marne wale musafiron ki tadad 9400 thi jin main char hazar to nojawan aur bache bhi shamil the.

3: Samandar Mein Tairti Lashain: Hadse ke fori bad satah samandar se 306 lashain ikhati ki gain jin main se 119 ki halat bohat hi kharab thi. Kai lashon ki halat is qadar makhdosh thi ke inhain nikalna na mumkin tha. In ke liye faisla kia gaya ke inhain samandar main hi dafan kardia jae. Dusri mushkil thi ke lashon ki paihchan na mumkin thi. Alamati tor par in bikhre azaa ko kafan paihna kar samandar main hi dafan kardia gaya. 

4: Titanic Koi Bara Naam Na Tha

Film daikhte hue yahi khayal ata hai ke shayad ye jahaz bohat pur kashish tha is liye logon ne is main safar kia. Mahnge ticket kharide aur inki nazrain is sign board par thi jis par likha hua tha " ye jahaz doob nahi sakta" lekin aisa koi romance na tha in dino jahaz rani arooj par thi aur zayada tar behri jahazon par hi hote the. Is jahaz main musafiron ki bari tadad is liye safar kar rahi thi ke olympics horahe the aur log olympics daikhne ja rahe the. Titanic ke ilawa olympics nami jahaz ne bhi is doran safar kia tha aur wo south hamptan se newyork bahifazat pohnch gaya tha. Aur ek dosra talakh sach ye tha ke titanic ki rawangi ki koi kisi kism ki koi tasweer na thi jo is ke gair mamoli hone ki gawahi daiti. Jab ye hadsa paish aya to media ko sab se zayada mushkil is ke shandar agaz ya gair mamoli hone ki waja dhondhne main lagi. Sirf film ne is jahaz ko gair mamoli banakar paish kia.

5: Maut Ke Baad Bill

Is hadse main marne walon main arkastra bajane wale mawaishniz bhi the. Ath saznadon main se sirf 3 ki lashain daryaft hosaki in main ek john haim tha. John haim ko dafan karke ate hue is ke walid ko post man ne ek bil dia jis par darj tha ke "hamain aap ke bete aur honhar sazande john haim ki alam nak mot ka bohat afsoos hai. Is taziyat main mazed ye likha ke is khat ke hamrah 5 shaling aur 4  paniz kabul hai wo ada kardain. Ye bil aap ke bete john haim ki uniform ki mad main hai. Barah karm ada kardijiye.

6: Jahaz Ka Asal Hero

Har koi yahi kahega ke jahaz ka asal hero to liyonardo hai lekin hakekat main hone wale hadse ka asal hero bach jane wala ek sinere officer tha jiska nam charles har bart tha. Is ne afratafri main ek aisi kashti ka charj lia jis main bachane ke liye 30 musafir sawar hue. Bad kismati akele nahin ati. Samandar main utarte hi ye kashti ulat gai aur sab log dobne lage. Charles Hobart ne himat na hari ek aur kashti li aur mushafiron ko bachane main kamyab hua. Charles Hobart bhi bach gaya aur pehli aur dusri jang azem main wo birtish army ka hisa tha.
logoblog

Thanks for reading Titanic Ki Kahani Urdu Ship Titanic Ki Kahani In Hindi Titanic Jahaz Ka itihas

No comments:

Post a Comment