Taleem-e-Niswan Essay In Urdu Aurton Ki Taleem e Niswan Speech Aurat Par Mazmoon

  Lal Gulab      

Taleem-e-Niswan Essay In Urdu Taleem e Niswan Speech

Aurton Ki Taleem: Daulat-e-ilm ko hasil karna mardon aur auraton ke liye lazmi amar hai. Taraqi sirf ki meras hai jis ke afrad zewar-e-ilm se arasta o perasta hon. ilm ke baghair insan kisi bhi kaam ko karne se qasar hai kyoun ke jub ilm na ho ga tou us par amal daramad kese ho sake ga. Islami nuqta nigah se bhi husool-e-ilm lazmi hai yehi wajah hai keh Islam ne mard-o-aurat donon ko husool-e-ilm ki takeed ki hai.

Khwah is ke liye door darz ka safar hi kyoun na karna pare ilm aik aisa behta darya hai jis se jo jitna chahe seerab ho sakta hai lekin mehnat aur lagan shart hai. Zindagi ke aqdar mein nikhar aur waqar ilm se hi aa sakta hai. Hamare muashray mein aurat o mard donon ki ahmiyat yaksan hai. Taraqi ki rahon par agey barhne ke liye auraton ke liye bhi ilm itna hi zaroori hai jitna ke mardon ke liye hai. Goya aurat aur mard aik gari ke 2 pahiye hain jin mein se aik bhi ilm se la taluqi kainaat ke nazam ko darhan barham kar sakti hai. Khawateen ke faraiz mein se aik aham fareeza bachon ki parwarish un ki nighedasht aur sahi tarbiyat hoti hai. Bache ki ibtidai dars gah darasal maa ki gaud hoti hai. Agar maa taleem yafta aur saleeqa shuar ho tou aulad bhi sahib ilm aur muhazab ho gi. Bache apni maa se tor tareeqay aur har adaab hasil karte hain. Aik maa ne apni aulad ke khayalat ko sanwarne ki zumaidar hoti hai. Jub maa ki bunyadain mustehkam hon gi tou bache bhi muashray ke aham fard ki hesiyat se ubhar sakte hain. Isi liye kehte hain keh
"Wajood e zan se hai tasveer e kainat mein rang"
Aik taleem yafta maa hi qaum ki is imanat mein ikhlaqi hamdardi aur aisar paida kar ke jazba hubul watni bedaar karti hai. Baap bhi taleem o tarbiyat mein aham kardar ada karta hai lekin fikar-e-muash ki wajah se pura waqt nahin de sakta isi liye bachon ki parwarish ki haqeeqi zumaidari maa par ayed hoti hai. Maa jo ibtidai tehzeeb sikhati hai yehi bare ho kar us ki fitrat mein rasakh ho jati hai. Agar salahiton aur zahanat ka muqabla kiya jaye tou auratein marton se kisi bhi tor par kam nahin hotein. Tarikh is baat ki shahid hai keh ab tak kayi khawateen iqtidar saltanat hasil kar chuki hain. Lekin jinhon ne ye karnamay anjaam diye hain woh sub taleem ke zewar se arasta thien.

Sahib aqal logon ki samajh mein ye baat aani chahiye keh auraton ki taleem ko sirf nazrah aur Quran Majeed tak mehdood rakhna aur degar aloom se door rakhna koi aqal mandi nahin. Baaz logon ka khayal ye hota hai keh taleem yafta auratain fashion parast ho jati hain. Fazool kharchi un ki adat ho jati hai aur apne faraiz ke anjaam dahi sahi tareeqa se nahin kar patein. Lekin ye soch bilkul ghalat hai kyoun keh ye tamam adaat kisi ko ghareelu mahool se milti hain. Taraqi pasand logon ko is haqeeqat ko tasleem kar laina chahiye keh agar hum unhain pakeeza aur buraiyon se paak mahool mein taleem dain gey tou koi wajah nahin keh taleem e niswan muashre mein kisi bigar ka baes bane. Isi tarah se hosla afza nataij bar amad ho sakte hain. Humain chahiye keh qudrat ne aurat ko jo fitri salahitein ata ki hain un ko baroye kaar laya jaye isi tarah un mein woh matlooba sifaat paida ho sakti hain jo khush ayenda mushtaqbil ki zamanat hain.
logoblog

Thanks for reading Taleem-e-Niswan Essay In Urdu Aurton Ki Taleem e Niswan Speech Aurat Par Mazmoon

No comments:

Post a Comment