Swat Summer Festival In Urdu Sair Swat Kalam Festival 2016-2017

  Lal Gulab      

Swat Summer Festival In Urdu


Zila sawat ka name sunte hi khoobsurat nazaron, janglat, saf pani, qudarti abshar aur saf suthra mahol zehin main ajata hai. Qudrat ne zilae sawat ko bari fiyazi se husun dia hai. Yahan par siyah ek bar ajain aur yahan ke dil faraib manazir ka muzahira karlain to wo umar bhar yad rakhte hain ke dubara ane ki arzoo karte hain. Zilae sawat main siyahat keliye kalam, behrin, malim jiba o degar ilake duniya siyahat main bohat mashoor hain aur siyah har saal bari tadad main in ke sehar angaiz manazir se lutuf andoz hokar wapsi ikhtiyar karte hain. Guzhista kuch salon se sawat main summer festival ka inakad kia jaraha hai jaise awam ne bohat pasand kia hai.

Sawat summer festival do mukhtalif makamat aoshu ke khobsurat janglat aur mehoo dhand ki dilkash jheel par munakid hue. Jis main paira jump, ghoron ka dance, naiza bazi, horse jumping, pakistan rangers dril ka muzahira, military band ka muzahira, remote control flying, khatak aur chitrali dance, fan mosiki, sawat kahani, jeep race, school ke bachon ke muzahire, bachon ke mukhtalif kisam ke khail, show, stalls, atish bazi, paira gliding aur moto rised gliding, jeep race, ghur sawari, bike race, mountain bike park, water sports, water fall repeling, rock climbing, aar chari jheel ka aboor karna, patang bazi, paint bal park aur fishing ke intazamat kiye gae the. Jis main mulk bhar se ae hue logon ne barh charh kar hisa liya. Hamara sooba jo ke guzishta kahain salon se dehshat gardi aur bad amni ka shikar hai jis ki waja se sair o tafree aur khushiyon ke mawake bhi mehdod hokar reh gae hain. Is liye log aise mokon ke intazar main hote hain jo ke sair o tafree ka baais banain.

Ham Sawat summer festival lutuf andoz hone ke liye peshawar se barasta mardan, mala kand, bat khalia, kabul, kanju, mata , baag dhairi pul, madain aur kalam ki wadi sar sabz o shadab nazaron se hote hue oshoo forest puhnche aur phir matlatan se hote hue meho dhand puhnche. Is tarah hum ne 260 kilo meter ka fasla tai kia. Sawat summer festival 2013 kalam ke pur fiza makam oshoo ground main bare josh o kharosh se shuru hua. Festival ka bakaida iftatah khyber pakhton khuwa ke governor engineer shokat ullah ne kia. Iftatai takreb main pak foj ke awla afsaran, civil beuro crasy aur mulk ke kone kone se ae siyahon ne bharpor shirkat ki. Festival ke baais kalam, baihren aur madain ke hotel aur restaurant siyahon se bhar gae the. Festival ki kamyabi ke liye security ke full proof intazamat kiye gae the. Paharon ki chotiyon par foj ke jawan tainat kiye gai the.

Festival main mukhtalif khailon, music shows aur ranga rang takribat munakad ki gain. Iftatai takrib main major abid ki sar barahi main SSG ke nojawano ne pri pool jumping ka shandar muzahira kia. 190 se 280 kilo meter fi ghanta ki raftar se shandar jump ke muzahire ke waqt log is se bohat mehfooz hue. Rifal movement ke doran qadam se qadam milakar shandar kartab ka muzahira kia gaya jab ke sharka in tamam shandar muzahiron se mehfooz hote rahe. Riwayati khatak dance aur mehfil mosiki ne logon ke dil jeet liye. Sawat summer festival panch hison par mushtamil tha jin main advantures, sports, tafrih, sakafati rang, fan fair aur siyahat shamil the. Is festival main hamain jo makamat daikhne ko mile in main malim jaba, miyandam, madeen, baihren, darya e sawat, wadi atror, wadi gehral, oshoo, matlatan, mehoo dhand jheel, maingora, syed o sharif, sawat ka ajaib ghar, akhaz sawat ka makbara, bot kara ke qadeem khandarat , margazar aur white palace shamil hain. Karain ke liye in makamat ki mukhtasir wazahat karonga. Satah samandar se 9200 fit buland malim jiba maingora se 50 kilo meter ke fasle par wakiya hai ye mashoor siki reside siyahon ko garmiyon main lahlihati sar sabz charaga hon aur khobsurat chotiyon se lutuf andoz hone ka moka aur mausam sarma main skating keliye baihtaren makam paish karta hai.

Miandam lahlihate khaiton, phalon, ke bagat aur sar sabz o shadab pahari dhalwanon main ghara khosurat siyahati makam hai jo maingora se 56 kilometer ki masafat par wakiya hai. Garmiyon main yahan ka mausam thanda aur farhat bakhsh hota hai. Darya e sawat ke kinare par wakiya agla makam madain hai jo apni dastakari, qadeem aur jaded tarz par bani garm shawls , riwayati karhai aur kam wale lakri ke furniture ki waja se khasan mashoor hai. Maingora se 66 kilometer door wakiya bahrain darya e sawat aur darya e  daral ke sangam par wakiya hai. Ye ek qadeem basti hai jahan ke gharon ke darwazon aur khirkiyon par chobi kari ka nafees kam kabil deed hai.

Bahrain swat main siyahon ke kayam o taam ke liye kai hotel aur restaurant mojood hain. Fakhar sawat kehlaya jane wala kalam ghane janglat, sar sabz o shadab sharaghaon, jhiljhlati jheelon aur barf posh chotiyon ki haseen wadi hai. Ankhon ko khaira kar daine wale manazir se bhare kalam ko siyah garmiyon main ek intehai thande makam ke tor par jante hain. Kalam ke shumal main kai khobsurat wadiyan hain jo apne jharnon, glyshairs, jheelon aur charaghaon ki waja se siyahon main Ek arazi janat ka darja rakhti hain. Siyah darya e sawat ko shumal ki taraf jane wale raste aboor karte hue bain janib wakiya atror aur gehral ki wadiyon main utar sakte hain. Dain janib oshoo, matlatan aur mehoo dhand jheel wakiya hain. Satah samandar se 3250 fit ki bulandi par wakiya maingora aur syed o sharif ke shehar sawat ke bil tarbtaib kamarshal aur intaizami darul hakumat kaihlate hain. Maingora ek ba ronaq tijarti markaz hai. Jis ke bazar makami dastakaron ke fan pare kharaidne ki baihtarain jaga hain. Is ilake ke chand mashoor makamat main sawat main ajaib ghar, akhaz sawat ka makbara aur bot karake qadeem khandarat shamil hain.

Saidu sharif se 13 kilo meter ki masafat par wakiah mar gazar apne white palace ki waja se khasan mashoor hai jahan wali sawat garmiyan guzarne aya karte the is imarat ko ab ek hotel main tabdeel kardia gaya hai. Summer festival main inakad ka bunyadi maksad sawat main siyahat ko dubara firog daina aur puri duniya ko ye batana tha ke sawat roe zameen par janat ka ek tukra hai aur yahan par misali aman kaim hai mulki aur gair mulki siyahon ko dawat daina thi ke sawat ki janat nazeer wadi zarur ain aur yahan khobsurat manazir aur qudarti husun se lutuf andoz uthain. Kuch logon ko shahira hon ki khasta hali ka gila bhi raha kyun ke sarak kafi jaga se kharab thi kuch jaga par kam jari tha. Sawat ko daihshat gardi se pak karne aur aman gehwara banane main mala kandh ke awam aur pak foj ki qurbaniyan lazawal hain. Sawal festival ke char din guzarne ke bad main ye kaihne par majboor hua ke sawat summer festival ka inakad kabil sataish hai kyun ke is ikdam se kalam jaisi janat nazeer wadiyon ki ronakain bahal hui hain. Hakumat khyber pakhton khuwa ko aise program jari rakhe chahain aur har teen maah bad aisa hi entertainment ka program munakad karna chahiye take awam ko kuch tafrih ke moke mayasar ain.
logoblog

Thanks for reading Swat Summer Festival In Urdu Sair Swat Kalam Festival 2016-2017

No comments:

Post a Comment