Sir Isaac Newton History Urdu Newton Information In Hind Newton Ki Kahani Jankari

  Lal Gulab      

Sir Isaac Newton History Urdu - Newton Kon Tha Hinde Mein

Newton Information In Urdu: 1642 mein christmas ke din issac newton lankan shair England mein apne bap ke khandani pathar ke bane hue khait ghar (Faim House) mein paida hua. Is ka baap is ke paida hone se pehle hi marchuka tha. Unes baras ki umar mein wo cambridge university mein dhakhil hua aur jald hi ilam e riyazi ke in tamam darjon aur masail se agha hogaya jo is ke professor paish kar sakte the. Is ne ilam e riyazi mein apni taraki jari rakhi aur kuch aisi aur daryaften bhi ki jo sahi maeno mein daryaften then. Maslan masla shanai aur takmeli ehsa ( akhir umar mein is ne ikhtalafi ehsa aijad kiya). 

Kaha jata hai ke ek roz newton ghr ke baag mein ek darakht ke neche betha tha. Is ne ek saib ko zamen par girte dekha. Is bat par is ne sochna shuru kardia. Isne apne ap se sawal kiya ke saib uper jane ke bajae zamen par kyun gira? Log kehte hein ke ye kashish sakal hai. Kashish sakal kiya hai? Ain mumkin hai ke kashish sakal sirf zamen par hi kar farmana ho, hosakta hai ye chand tak faili hui ho. Kon jane? Hosakta hai ye kashish sakal ek alamger qowat ho. Is waqat newton ke qaida ne janam liya. 

Newton ne jab kashish sakal ke masle par jadojahad ki thi, is ke takreban bees baras bad ise france ke ek science dan ka paigam mosool hua. Jis ne zamen ke mutalik aj tak paish kiye gae adad o shumar mein shaded galtiyan dhondh nikali then. Khat e astawa aj tak jitna lamba samjha jata tha wo is se char hazar mail lamba nikla. Garz bald ka darja sath mail ke barabar hone ke bajae sadhe unhatar mail tha. Jis waqt newton ne ye khabar suni to wo phir apne in takhmino ki taraf palta jinhein wo kai baras pehle tarak karchuka tha. Ab durust adad o shumar ki badolat wo akhirkar durust nateja nikalne mein kamyab hogaya. Iska azem josh o khurosh sacha tha. Kashish sakal wakai ek alamger zabta thi. Magar newton itna minkasar mizaj tha ke is ne apne kagzat ek taraf rakhdiye aur apni tawaja dusre amor ki taraf muzadal kardi. Ek din is ke dost aur azem mahir filkiyat haili ko, jis ke name par ek saiyare ka name "Haili " rakha gaya hai, ye malom hogaya ke newton ne kashish sakal ke silsala mein kuch kam kiya hai. Wo is ke mutaliq is se milne aya. " kya tum waqai ye banasakte ho ke suraj ke gird ek saiyare ki guzar gah kiya hai?" "Han" "Tumhein ye kaise malom hua?" "Mein ne takhmena lagaya hai." " kya kaha...... Wo adad o shumar kaha hein?" Newton ne inko talash kiya, lekin wakya ye hai ke wo kagzat ise mil na sake. Wo bhol gaya tha ke is ne wo kagaz kaha rakhe the. Behar hal wo apne dost ki khatir kam karne beth gaya aur is sawal ko dubara hal kardiya. Hali ise tarefi nighaon se dekhte hue bhonchka reh gaya aur bola " ye ek hairat nak daryaft hai, tarekh ki sab se bari daryaft. Ise shaya kiya jana chahye. " Agar hali na hota to shahyad ye kitab kabhi shaya na hoti. Iska nateja ye hua ke 1687 mein wo kitab shaya hui jis ne issac newton ke name ko science ki tarekh se hamesha ke liye munsilak kardiya. In dino chonka alimon ki bain ul akwami zaban abi tak lateni thi. Lehaza ye kitab bhi lateni zaban mein likhi gai aur is ka unwan buhat lamba tha. Ab is kitab ke name ko isi ke ek lafz "principia" tak mukhtasir kardia gaya hai. Ab ye kitab "riyazati asool" (methematical principles) ke name se maroof hai. Ye bat kat an hairan kun nahin hai ke aisa zahen admi chobees saal tak har sal kyu royal society ka sadar chuna jata tha. Wo is ehad par apni mot tak faiz raha. 1704 mein malka ain ne ise sar ke khitab ka aizaz bakhsha aur is din se wo sir Issac newton hogaya. 

Pachas baras ki umar mein mot ka paigam ane se zara pehle, jis waqt sari duniya is ke kirdar aur iski zahanat ka ehtaram karti thi, is ne ye alfaz kahe jo iski khuwe inkasar ke mazhar hein. " mein nahin janta ke mein duniya ko kya nazar ata hon lekin mein to apne apko ek bacha samajta hon jo samandar ke kinare khail raha ho, mein kabhi kabhar ek hamwar pathar ya khubsurat sepi dhondhne mein masrof raha jab ke sadaqat ka ek azem samandar (apne motiyon ke sath) mere samne mojod hai aur bari had tak naqabil daryaft". Ye alfaz is shakhs ne kahe hein jis shakhs ke mutaliq ye kaha jata hai. "iski zahanat ka andaza lagana namumkin hai." Issac Newton ka afsana hayat namukamal rahega, agar is ki mot ke bad bhi ek wakiya ko pas nosht ke tor par qalamband na kiya jae jo kashish sakal ke mutaliq is ke qaida ke dramai muzahira ke tor par ronuma hua. 1757 mein germany mein ek bansuri bajane wala ek foji band ke hamrah london aya. Is nojawan ne bansuri to ek taraf rakh di aur dorbin uthali. Is ne dorbin se mutaliq jo kam kiya is se isko bhi sar ka khitab mil gaya aur ise aj sir willam har shal kaha jata hai. 1781 mein is ne ye bat daryaft ki ke jis sitare ke mutaliq ye khayal kia jata hai ke wo apni jaga par qaim rahe. Wo darasal hamare nizam ka ek saiyara hai, is saiyare ka name hai. "uranus" . Jab maheren filkiyat ne ek nai dilchaspi se is saiyare ki taraf dekha to wo is ke bartao par buhat pareshan hue. Newton ke qaide ke mutabiq ye saiyara munasib dhang se amal nahin kar raha tha.



Ye saiyara apni guzargah par se majnunana andaz se karwat badalta hai aur is tarah koi bhi mazhab saiyara nahin karta. Kahen newton galti par to nahin tha? Barsu tak uranus saiyara maheren filkiyat ke liye ek mahma bana raha. Akhir kar 1845-46 mein ek angrez aur ek franci mahir filkiyat ne mashwara dia ke an dekha saiyara shahyad uranus ki ajeb o gareb harkat ka nateja ho. Inhon ne ye mazed takhmena lagaya ke an dekhe sitare ka to wo aur iski asal jae qayam bhala kya hogi? Yakenan is ajnabi sitare ko barlan grain wich aur bartania ke mushaida gahon mein ek sath dekha gaya. Asman mein is sitare ki asal jae qayam ke mutaliq pata chala ke wo pehle se batai gai jae qayam se ek darja se bhi kam fasla par waqiya h. Ye ek buhat bara saiyara sabit hua. Zamen se 85 guna zayada bara. Ye saiyara nizam e shamshi mein sab se zayada dor hai. Iska to wo hi uranus saiyara ke ajeb o gareb bartao ka zimedar tha. Lehaza nichpon saiyara ki daryaft newton ke qaida ka ek shandar sabot bangai. Ye sab daryaften sir Issac Newton ko west minster aybe mein dafnane ke ek sadi bad zahor mein aen.
logoblog

Thanks for reading Sir Isaac Newton History Urdu Newton Information In Hind Newton Ki Kahani Jankari

No comments:

Post a Comment