Samandar Ka Dil Drama Notes
Hawala: Ye tasrati kahani, samandar ka dil, mashoor drama nigar mirza adeeb ne likhi hai.Pas-e-Manzar: Samandar Ka Dil, aik aisa drama hai jo insani rishton, insani iqdar aur apas ki mohabbat ko paish karta hai.
Summary Samadar Ka Dil Khulasa
Is dramay ke 5 mukhtalif kardar hain jis mein sub se zayada aham Jantaan aur Rakhi hain Jantaan ghar ki malkah hai aur Shafee kimaa hai. Shafee ka inteqal jawani mein ho chuka hai jo shadi shuda tha chunachay ab us ki biwi bewa hai jo apne nomolood bache ko lay kar kisi aur shehar se rail gari mein baith kar susral arahi hai. Jis ki itla jantan ko pohanch chuki hai. Jantan apni prosan Rakhi ke sath mil kar apni bahu aur potay ke istaqbal mein masroof hai aur zabardast tayariyan ki ja rahi hain. Bache ke liye doodh ka intezam kiya gaya hai aur jhoola latkaya gaya hai. Khane waghera pak rahe hain. Aur ghar ko saaf suthra kar diya gaya hai. Jantan ne mohallay walon ke liye mithai ka bando bast kiya hai takeh is moqa par un ka munh meetha karaya jaye ga. Ganay bajane aur khushiyan manane ke liye mohallay ki larkiyon ko bhi dawat di gayi hai. Algharz bahu aur potay ke istaqbal ki tamam tayariyan mukamal hain aur Abbas aur Shabir (Abbas, Jantaan ke dil mein najanay kyoun tarah tarah ke waswasay janam laine lagte hain. Jo shayed phir kisi sadmay ka paish kheema hain. Jantaan bohat koshish karti hai keh is qisam ke waswason se nijat pa lay aur Rakhi bhi isay bohat samjhati hai lekin usay itminan hasil nahin hota aur woh sakht bay chaini mein mubtala ho jati hai phir Rakhi ka beta akar batata hai keh jis train se Abbas aur Jantaan ke mehmaan arahe thay us ko hadsa paish aa gaya hai. Us train se koi musafir aaya hai us ne bataya hai aur woh musafir bhi mamooli zakhmi hua hai. Jantaan ye sun kar sakht preshan hoti hai is moqa par Rakhi us ka hosla barhati hai keh shayed bahu aur pota us train mein hi na hon phir Abbas khali hath wapas aata hai. Train mein usay bahu aur pota nahin miltay. Baad mein Abbad ke naam aik khat aata hai jis mein us ke potay Mehmood ki moot ki hoti hai Jantaan ko ye manhoos khabar sunanay Rakhi bawarchi khanay mein aati hai woh donon aik dusre ko bad hawasi se dekhti rehti hain aur drama apne ikhtitam ko pohanchta hai. Dunya mein baaz log aise bhi hain jinhain har qadam par aram o masaib ka samna karna parta hai lekin woh un se harasan nahin hotay aur khanda paishani se unhain bardasht karte hain kyoun keh unhain Allah Ta'ala ki raza ka khayal rakhna parta hai.
Dunya Mein Musibat Ke Maray Bas Usi Ke Sharay Hain Zinda
Woh Jantay Hain Ye Raz, Ghamon Ke Baad Hi Rahat Aati Hai
No comments:
Post a Comment